doosra raja 25:1-30

  • nabookadnessar ne yarooshalem ko ghera (1-7)

  • yarooshalem aur mandir ka naash; bandhuai mein jaanevala doosra samooh (8-21)

  • gadalyah raajyapal bana (22-24)

  • uska katla; log misra bhaage (25, 26)

  • baibilon mein yahoyakeen ki rihai (27-30)

25  sidkiyah ke raaj ke nauvein saal ke dasvein maheene ke dasvein din, baibilon ka raja nabookadnessar+ apni poori sena lekar yarooshalem par hamla karne aaya.+ usne yarooshalem ke baahar chhaavni daali aur uske chaaron taraf gherabandi ki deevar khadi ki.+  yah gherabandi sidkiyah ke raaj ke 11vein saal tak rahi.  chauthe maheene ke nauvein din, jab shehar mein bhayankar akaal tha+ aur logon ke paas khaane ko kuch nahin tha,+  tab nabookadnessar ke sainikon ne sheharpanah mein darar kar di.+ jab kasdi shehar ko ghere huye the tab yarooshalem ke sabhi sainik raat ke vakt us faatak se bhaag nikle, jo raja ke baag ke paas do deevaron ke beech tha. aur raja sidkiyah arba ke raaste se gaya.+  magar kasdi sena ne raja ka peechha kiya aur yareeho ke veeranon mein use pakad liya. tab raja ki saari sena use chhodkar idhar-udhaar bhaag gayi.  kasdi log raja sidkiyah ko pakadkar+ baibilon ke raja ke paas ribla le gaye aur vahaan use saza sunayi gayi.  unhonne sidkiyah ki aankhon ke saamne uske beton ko maar daala. fir nabookadnessar ne sidkiyah ki aankhein fod di aur woh use tambe ki bediyon mein jakadkar baibilon le gaya.+  fir baibilon ke raja ka sevak naboojardan,+ jo pehredaron ka sardar tha, paanchvein maheene ke saatvein din yarooshalem aaya. yah nabookadnessar ke raaj ka 19vaan saal tha.+  naboojardan ne yahova ka bhavan, raajmahal,+ yarooshalem ke sabhi ghar aur sabhi khaas-khaas aadmiyon ke ghar jalakar raakh kar diye.+ 10  pehredaron ke sardar ke saath aayi poori kasdi sena ne yarooshalem ki sheharpanah dhaa di.+ 11  shehar mein jo log bache the, saath hi jo log yahooda ke raja ka saath chhodkar baibilon ke raja ki taraf chale gaye the, un sabko naboojardan bandi banakar le gaya. unke alava, desh ke baaki logon ko bhi woh le gaya.+ 12  magar pehredaron ke sardar ne desh ke kuch aise logon ko chhod diya jo bahot gareeb the taaki woh angooron ke baag mein kaam karein aur jabran mazdoori karein.+ 13  kasdiyon ne yahova ke bhavan mein tambe ke bane khambhon+ ke tukde-tukde kar diye aur yahova ke bhavan mein jo hath-gaadiyaan+ aur tambe ka bada haud+ tha uske bhi tukde-tukde kar diye aur saara taamba nikaalkar baibilon le gaye.+ 14  woh mandir mein istemal honevali handiyaan, belche, baati bujhane ki kainchiyaan, pyale aur tambe ki baaki saari cheezen utha le gaye. 15  pehredaron ka sardar aag uthane ke karchhe aur katore bhi le gaya jo shuddh sone+ aur chaandi ke bane the.+ 16  sulaiman ne yahova ke bhavan ke liye jo do khambhe, bada haud aur hath-gaadiyaan banayi thi un sabmein itna taamba laga tha ki uska taul nahin kiya jaa sakta tha.+ 17  har khambhe ki unchai 18 haath* thi+ aur donon khambhon ke oopar tambe ka ek-ek kangoora laga tha. donon kangooron ki unchai teen-teen haath thi. har kangoore ke chaaron taraf jo jaaleedar kaam kiya gaya tha aur anar banaye gaye the woh bhi tambe ke the.+ 18  pehredaron ke sardar ne pradhan yaajak sarayah+ ko aur uske sahayak yaajak sapanyah+ aur teen darbanon ko bhi pakad liya.+ 19  woh shehar se us adhikari ko le gaya jiski kaman ke neeche sainik the, saath hi woh raja ke paanch salahkaron ko bhi le gaya jo shehar mein paaye gaye. usne senapati ke sachiv ko bhi pakad liya jo desh ke logon ko sena ke liye ikattha karta tha. aur shehar mein ab bhi jo aam log bache huye the unmein se 60 aadmiyon ko woh pakadkar le gaya. 20  pehredaron ka sardar naboojardan+ un sabko baibilon ke raja ke paas ribla le gaya.+ 21  baibilon ke raja ne hamat+ ke ribla mein un sabko maar daala. is tarah yahooda ko uske desh se nikaalkar bandhuai mein le jaaya gaya.+ 22  baibilon ke raja nabookadnessar ne yahooda mein jin logon ko chhod diya tha, un par usne gadalyah ko adhikari thehraya.+ gadalyah, aheekam+ ka beta aur shaapan+ ka pota tha.+ 23  jab sabhi senapatiyon aur unke aadmiyon ne suna ki baibilon ke raja ne gadalyah ko adhikari thehraya hai to woh fauran gadalyah ke paas mispa gaye. ye the natanyah ka beta ishmael, kaareh ka beta yohanan, natopa ke rehnevale tanhoomet ka beta sarayah, ek maakati aadmi ka beta yaajanyah aur unke aadmi.+ 24  gadalyah ne shapath khaakaar senapatiyon aur unke aadmiyon se kaha, “tum log kasdiyon ke sevak banne se mat daro. tum isi desh mein raho aur baibilon ke raja ki seva karo. tumhein kuch nahin hoga, tum salamat rahoge.”+ 25  magar saatvein maheene mein ishmael,+ jo shaahi khaandan* ke natanyah ka beta aur eleeshama ka pota tha, das aadmiyon ke saath aaya aur unhonne gadalyah ko maar daala. is tarah gadalyah mispa mein un yahoodiyon aur kasdiyon ke sang maara gaya jo uske saath the.+ 26  iske baad chhote-bade sab log, yahaan tak ki saare senapati misra bhaag gaye+ kyonki woh kasdiyon se dar gaye the.+ 27  yahooda ke raja yahoyakeen+ ki bandhuai ke 37vein saal ke 12vein maheene ke 27vein din, baibilon ke raja eveel-marodak ne yahoyakeen ko kaid se riha kar diya. eveel-marodak usi saal raja bana tha.+ 28  woh yahoyakeen ke saath pyar se baat karta tha aur usne yahoyakeen ko un raajaon se badhkar samman ka pad saunpa jo baibilon mein the. 29  yahoyakeen ne kaidkhane ke kapde badal diye aur usne saari zindagi eveel-marodak ki mez par bhojan kiya. 30  yahoyakeen ko saari zindagi, roz-b-roz raja ke yahaan se khaana milta raha.

kai footnote

ek haath 44.5 c.m. (17.5 inch) ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
shaa., “raaj ke beej.”