doosra raja 5:1-27

  • eleesha ne naaman ka kodh theek kiya (1-19)

  • gehji ko kodh hua (20-27)

5  seeriya ke raja ka senapati naaman ek mashhoor aadmi tha. raja uska bahot samman karta tha kyonki uske zariye yahova ne seeriya ko jeet dilayi thi.* naaman ek veer yoddha tha, iske baavjood ki use kodh ki beemari thi.*  seeriya ke sainik israel mein aksar lootmar karte the. ek baar jab woh israel se kuch logon ko bandi banakar le gaye to unmein ek chhoti ladki bhi thi jo naaman ki patni ki daasi bani.  us ladki ne apni maalkin se kaha, “agar mera maalik saamriya ke bhavishyavakta+ ke paas jaaye to woh theek ho sakta hai. woh bhavishyavakta zaroor uska kodh door kar dega.”+  isliye usne* jaakaar israel ki us ladki ki baat apne maalik ko batayi.  seeriya ke raja ne naaman se kaha, “tu abhi vahaan jaa. main israel ke raja ko ek khat bhejta hoon.” tab naaman israel ke liye nikaal pada. woh apne saath das tode* chaandi, sone ke 6,000 tukde aur das jode kapde le gaya.  usne israel ke raja ko woh khat diya jismein likha tha: “khat ke saath main apne sevak naaman ko tere paas bhej raha hoon taaki tu uska kodh door kar de.”  jaise hi israel ke raja ne khat padha, usne apne kapde faade aur woh kehne laga, “kya main parmeshvar hoon? kya zindagi aur maut dena mere haath mein hai?+ dekho to use! is aadmi ko bhejkar kehta hai main uska kodh theek kar doon. mujhe maaloom hai, woh bas ladai ki chingari bhadkana chahta hai.”  magar jab sachche parmeshvar ke sevak eleesha ne suna ki israel ke raja ne apne kapde faade hain to usne fauran raja ke paas yah sandesh bheja: “toone apne kapde kyon faade? meharbani karke tu us aadmi ko mere paas aane de taaki woh jaan jaaye ki israel mein ek bhavishyavakta rehta hai.”+  tab naaman apne ghodon aur yuddh-rathon ko lekar eleesha ke ghar gaya aur dvar par khada hua. 10  magar eleesha usse milne baahar nahin aaya balki ek doot ke haath yah kehla bheja, “jaakaar yardan nadi+ mein saat baar+ dubki laga, tab tera shareer durust ho jaayega aur tu shuddh ho jaayega.” 11  magar naaman gusse se bhadak utha aur yah kehkar vaapas lautne laga, “mainne socha tha, woh baahar aakaar mujhse milega aur yahaan khade hokar apne parmeshvar yahova ka naam pukarega aur mere kodh par apna haath ferkar use theek kar dega. 12  kya hamare damishk+ ki abana aur parpar nadi, israel ki sabhi nadiyon se badhkar nahin hain? kya main unmein dubki lagakar shuddh nahin ho sakta?” woh tamtamata hua muda aur vaapas jaane laga. 13  tab uske sevkon ne uske paas aakaar kaha, “mere pita, agar bhavishyavakta tujhe koi mushkil kaam karne ko kehta to kya tu nahin karta? fir jab usne itna hi kaha hai ki tu jaakaar nadi mein dubki laga aur shuddh ho jaa, to kya tujhe yah aasan kaam nahin karna chahiye?” 14  tab woh yardan nadi par gaya aur usne saat baar usmein dubki lagayi, theek jaise sachche parmeshvar ke sevak ne usse kaha tha.+ tab uski tvacha ek chhote ladke ki tvacha jaisi ho gayi+ aur woh shuddh ho gaya.+ 15  iske baad naaman apne sevkon ki poori toli ke saath vaapas sachche parmeshvar ke sevak ke paas gaya+ aur uske saamne khada hua. usne kaha, “ab main jaan gaya hoon ki poori dharti par sirf israel mein hi parmeshvar hai, aur kahin nahin.+ ab meharbani karke apne sevak ke haath se yah tohfa* kabool kar.” 16  magar eleesha ne kaha, “yahova ke jeevan ki shapath jiski main seva karta hoon,* main yah tohfa nahin loonga.”+ naaman ne use bahot manaya, fir bhi usne nahin liya. 17  aakhir mein naaman ne kaha, “theek hai, magar tu apne sevak ki ek guzarish poori kar. mujhe is desh ki zameen ki itni mitti de jitni do khachchar utha sakein, kyonki main ab se yahova ko chhod kisi aur ishvar ko hom-bali ya koi aur bali nahin chadhaunga. 18  lekin yahova tere sevak ko sirf is baat ke liye maaf kar de: jab mera maalik raja, rimmon devta ke mandir mein jaakaar uske aage dandvat karta hai tab woh mere haathon ka sahara leta hai, isliye mujhe bhi mandir mein jhukna padta hai. jab main rimmon ke mandir mein jhukoonga tab yahova daya karke mujhe maaf kar de.” 19  eleesha ne kaha, “tu befikra hokar jaa.” tab naaman vahaan se chala gaya. woh kuch hi door tak gaya tha 20  ki yahaan sachche parmeshvar ke sevak+ eleesha ka sevak gehji+ man-hi-man sochne laga, ‘mere maalik ne yah kya kiya! seeriya ke naaman+ ka tohfa liye bina hi use bhej diya! yahova ke jeevan ki shapath, main abhi naaman ke peechhe bhaagkar jaaunga aur usse kuch lekar hi aaunga.’ 21  gehji naaman se milne dauda. jab naaman ne dekha ki uske peechhe koi bhaagta hua aa raha hai to woh usse milne ke liye apne rath se neeche utra. usne gehji se poochha, “sab theek to hai?” 22  usne kaha, “haan, sab theek hai. mere maalik ne tere liye yah sandesh bheja hai: ‘dekh! abhi-abhi epraim ke pahadi pradesh ke bhavishyavaktaon ke beton mein se do javan mere paas aaye hain. meharbani karke unke liye ek toda chaandi aur do jode kapde dena.’”+ 23  naaman ne kaha, “ek kya, do tode chaandi le jaa.” naaman usse baar-baar kehne laga+ aur usne do boriyon mein do tode chaandi aur do jode kapde baandh diye aur apne do sevkon ke haath mein diye aur woh unhein uthakar gehji ke aage-aage chal diye. 24  jab gehji opel* pahuncha to usne unke haath se boriyaan le lin aur apne ghar mein rakh di aur un aadmiyon ko bhej diya. unke jaane ke baad, 25  gehji apne maalik eleesha ke paas gaya aur uske saamne khada hua. eleesha ne usse poochha, “gehji, tu kahaan gaya tha?” usne kaha, “tera sevak kahin nahin gaya tha.”+ 26  eleesha ne usse kaha, “jab woh aadmi tujhse milne ke liye apne rath se utra to usi ghadi mera man yah baat jaan gaya tha. kya yah vakt chaandi aur kapde kabool karne ka hai? kya yah vakt jaitoon ya angooron ke baag lene ka hai? bhed-bakri, gaay-bail, daas-daasiyaan lene ka hai?+ 27  ab naaman ka kodh+ tujhe lag jaayega aur peedhi-dar-peedhi tere vanshajon ko bhi laga rahega.” tab gehji ko kodh lag gaya aur uska shareer barf jaisa safed ho gaya.+ isliye woh fauran eleesha ke saamne se chala gaya.

kai footnote

ya “uddhaar dilaya tha.”
ya “woh tvacha rog se peedit tha.”
yahaan shaayad naaman ki baat ki gayi hai.
ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
shaa., “aasheervad.”
shaa., “jiske saamne main khada rehta hoon.”
saamriya ki ek jagah jo shaayad ek pahadi ya kila hai.