doosra raja 6:1-33

  • eleesha ke chamatkar se kulhadi paani ke oopar (1-7)

  • seeriyai logon se uska saamna (8-23)

    • sevak ki aankhein kholi gayin (16, 17)

    • seeriyai log dimagi taur par andhe (18, 19)

  • gherabandi ke dauran saamriya mein akaal (24-33)

6  bhavishyavaktaon ke beton+ ne eleesha se kaha, “dekh, yah jagah hum sabke rehne ke liye kam pad rahi hai.  ijazat ho to hum sab yardan chale jaayen. vahaan hammein se har koi ek shahteer lekar aaye aur hum sab rehne ke liye ek ghar banayen.” eleesha ne kaha, “theek hai, jaao.”  unmein se ek ne kaha, “maalik, agar tu bhi hamare saath chale to badi meharbani hogi.” usne kaha, “achha, main bhi chalta hoon.”  woh unke saath chal diya aur woh sab yardan ke paas pahunche aur lakdi ke liye ped kaatne lage.  unmein se ek jab ped kaat raha tha, to kulhadi beint se nikaalkar paani mein jaa giri. woh zor se chillaya, “maalik, ab kya hoga! woh kulhadi maangi hui thi.”  sachche parmeshvar ke sevak ne poochha, “kulhadi kahaan giri?” usne eleesha ko jagah dikhayi. eleesha ne lakdi ka ek tukda kaata aur use usi jagah feinka. tab kulhadi paani ke oopar aakaar tairne lagi.  eleesha ne kaha, “kulhadi utha le.” us aadmi ne haath badhakar kulhadi utha li.  seeriya ka raja israel se yuddh karne nikaal pada.+ usne apne sevkon se salah-mashvira kiya aur unse kaha, “main tum logon ke saath falaan jagah chhaavni daaloonga.”  tab sachche parmeshvar ke sevak+ ne israel ke raja ke paas yah sandesh bheja: “tu us jagah se mat guzarna kyonki seeriya ki sena hamla karne vahin aa rahi hai.” 10  isliye israel ke raja ne us jagah sandesh bhijvaya, jiske baare mein sachche parmeshvar ke sevak ne use khabardar kiya tha. usne raja ko khabardar kiya aur raja us jagah se door raha. aisa kai baar* hua.+ 11  is vajah se seeriya ka raja* gusse se bhar gaya. usne apne sevkon ko bulaya aur unse kaha, “batao! hamare beech aisa kaun hai jo israel ke raja ka saath de raha hai?” 12  unmein se ek ne kaha, “mere maalik raja, hamare beech aisa koi nahin hai. israel mein jo bhavishyavakta eleesha hai, yah usi ka kaam hai. vahi jaakaar us raja ko woh saari baatein bata deta hai jo tu sone ke kamre mein kehta hai.”+ 13  tab seeriya ke raja ne kaha, “jaao, jaakaar pata lagao woh kahaan hai. main apne aadmi bhejkar use pakadva loonga.” baad mein raja ko khabar di gayi ki eleesha dotan+ shehar mein hai. 14  raja ne fauran ghodon aur yuddh-rathon samet ek badi sena bheji aur woh raat ko dotan pahunche aur unhonne shehar ko gher liya. 15  agle din jab woh aadmi jo sachche parmeshvar ka sevak tha, subah-subah utha aur baahar gaya, to usne dekha ki ghodon aur yuddh-rathon samet ek badi sena shehar ko ghere huye hai. woh fauran eleesha ke paas jaakaar kehne laga, “maalik, maalik, ab hum kya karein?” 16  magar eleesha ne kaha, “ghabra mat!+ unke saath jitne hain unse kahin zyada hamare saath hain.”+ 17  fir eleesha prarthna karne laga, “hey yahova, meharbani karke iski aankhein khol de taaki yah dekh sake.”+ yahova ne fauran sevak ki aankhein khol di aur usne dekha ki eleesha ke chaaron taraf+ ka pahadi ilaka aise ghodon aur yuddh-rathon se bhara pada hai jo aag jaise dikhayi de rahe the.+ 18  jab seeriya ki sena eleesha ki taraf badhne lagi to usne yahova se prarthna ki, “hey parmeshvar, is raashtra ko andha kar de.”+ parmeshvar ne eleesha ki binti suni aur un sabko andha kar diya. 19  fir eleesha ne unse kaha, “tum log galat raaste aa gaye ho. tum jis shehar par hamla karne aaye ho, woh yah nahin hai. tum mere saath chalo, main tumhein us aadmi ke paas le jaaunga jise tum dhoondh rahe ho.” magar eleesha unhein saamriya+ le gaya. 20  jab woh saamriya pahunche to eleesha ne prarthna ki, “hey yahova, inki aankhein khol de taaki ye dekh sakein.” tab yahova ne unki aankhein khol di aur unhonne dekha ki woh saamriya ke beechon-beech hain. 21  jab israel ke raja ne unhein dekha to usne eleesha se poochha, “mere pita, kya main inhein maar daaloon? inhein khatm kar doon?” 22  magar usne kaha, “nahin, inhein mat maar. tu jin logon ko talvar aur teer-kaman ke dam par bandi banata hai, kya unhein maar daalta hai? inhein roti aur paani de taaki ye khaa-peekar+ apne maalik ke paas laut jaayen.” 23  isliye raja ne un sabke liye ek badi daavat rakhi aur unhonne khaaya-peeya. fir raja ne unhein unke maalik ke paas vaapas bhej diya. iske baad fir kabhi seeriya ke lutere-dalon+ ne israel desh mein kadam nahin rakha. 24  baad mein seeriya ke raja ben-hadad ne apni poori sena ikatthi ki aur jaakaar saamriya ko gher liya.+ 25  gherabandi kaafi samay tak rahi jis vajah se saamriya mein aisa bhayankar akaal pada+ ki vahaan gadhe ka sir+ chaandi ke 80 tukdon mein aur kab* ki chauthai-bhar faakhta ki beet chaandi ke 5 tukdon mein bikne lagi. 26  ek din jab israel ka raja sheharpanah ke oopar chalta hua jaa raha tha to ek aurat ne uski duhai di, “hey raja, mere maalik, meri madad kar!” 27  raja ne kaha, “jab yahova tum logon ki koi madad nahin kar raha, to main kaise madad kar sakta hoon? main kahaan se khaana, tel ya daakh-madira laakaar doon?” 28  fir raja ne usse poochha, “bol, kya baat hai?” usne kaha, “is aurat ne mujhse kaha tha, ‘aaj tu apna beta de, hum use khaayenge. fir kal main apna beta doongi aur hum use khaayenge.’+ 29  mainne apna beta diya aur hamne use ubaalkar khaaya.+ agle din mainne usse kaha ki tu apna beta de ki hum use khaayen, magar usne nahin diya. usne apne bete ko chhipa liya.” 30  jaise hi raja ne aurat ki baat suni, usne apne kapde faade.+ jab woh sheharpanah ke oopar chal raha tha to logon ne dekha ki woh apne kapde ke andar* taat pehne huye hai. 31  usne kaha, “aaj agar mainne shaapat ke bete eleesha ka sir na uda diya to parmeshvar mujhe kadi-se-kadi saza de!”+ 32  eleesha apne ghar mein baitha tha aur uske saath mukhiya bhi baithe the. raja ne apne aage-aage eleesha ke paas ek doot bheja. isse pehale ki doot vahaan pahunchta, eleesha ne mukhiyaon se kaha, “dekho, kaatil ke us bete+ ne mera sir katvane ke liye apna doot bheja hai. isliye tum dekhte rehna, jab woh doot aayega to tum darvaza band kar dena aur dabakar rakhna taaki woh andar ghus na sake. uske peechhe uska maalik bhi aa raha hai.” 33  eleesha unhein yah baat bata hi raha tha ki doot vahaan pahunch gaya aur raja ne kaha, “yah kehar yahova ne hi dhaaya hai. isliye main raahat ke liye ab aur yahova ki taraf kyon aas lagaun?”

kai footnote

ya “ek-do se zyada baar.”
shaa., “ke raja ka dil.”
ek kab 1.22 l. ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
ya “andar apne shareer par.”