doosra raja 7:1-20

  • eleesha ne akaal ke ant ki bhavishyavani ki (1, 2)

  • seeriyai sena bhaagi; uski chhaavni mein khaana (3-15)

  • eleesha ki bhavishyavani poori hui (16-20)

7  fir eleesha ne kaha, “ab yahova ka sandesh suno. yahova kehta hai, ‘kal isi samay saamriya ke faatak* par ek sa* maida ek shekel* mein aur do sa-aa jau ek shekel mein milega.’”+  tab sahayak sena-adhikari ne, jo raja ka bharosemand sevak tha, sachche parmeshvar ke sevak se kaha, “agar yahova aakash ke jharokhe khol de to bhi yah nahin ho sakta!”+ tab eleesha ne kaha, “kal tu khud apni aankhon se yah dekhega,+ magar usmein se kuch khaa nahin paayega.”+  saamriya ke faatak ke paas chaar kodhi baithe the.+ unhonne ek-doosre se kaha, “hum yahaan baithe-baithe maut ka intazar kyon kar rahe hain?  chahe hum yahaan baithe rahein ya shehar ke andar jaayen, hamari maut tay hai kyonki vahaan akaal pada hai.+ isliye kyon na hum seeriya ke logon ki chhaavni mein chale jaayen? agar unhonne hamein zinda chhod diya to achhi baat hai. lekin agar unhonne hamein maar daala to bhi koi baat nahin, marna to hai hi.”  isliye shaam ko jab andhera ho gaya to woh kodhi uthkar seeriya ke logon ki chhaavni mein gaye. jab woh chhaavni ke kinare pahunche to unhonne dekha ki vahaan koi nahin hai.  darasal yahova ne aisa kiya tha ki seeriya ke sainikon ko yuddh-rathon, ghodon aur ek vishal sena ka shor sunayi pada.+ woh ek-doosre se kehne lage, “lagta hai israel ke raja ne hamse ladne ke liye hittiyon ke raajaon aur misra ke raajaon ko kiraye par bulaya hai!”  isliye shaam ko jab andhera ho gaya tha, tab woh apni jaan bachane ke liye fauran chhaavni chhodkar bhaag gaye. unhonne apne tamboo, ghode, gadhe, yahaan tak ki poori chhaavni jaisi ki taisi chhod di thi.  jab woh kodhi unki chhaavni ke kinare pahunche to unke ek tamboo mein gaye aur khaane-peene lage. unhonne vahaan se sona, chaandi aur kapde liye aur jaakaar yah sab kahin chhipa diya. fir se woh chhaavni mein aaye aur ek doosre tamboo mein gaye aur vahaan se bhi kuch cheezen le jaakaar chhipa di.  kuch der baad woh ek-doosre se kehne lage, “hum jo kar rahe hain woh sahi nahin hai. aaj ka din khushkhabri sunane ka din hai! agar hamne abhi jaakaar yah khabar nahin sunayi aur subah sabko yah baat pata chal gayi to hum saza ke laayak thehreinge. chalo ab hum jaakaar raja ke mahal tak yah khabar pahunchate hain.” 10  woh vahaan se chale gaye aur unhonne shehar ke faatak ke pehredaron ko aavaz dekar bataya, “hum seeriya ke logon ki chhaavni mein gaye the, magar vahaan koi nahin tha. hamein kisi ki aavaz nahin sunayi di. vahaan sirf unke ghode aur gadhe bandhe huye the aur woh apne tamboo aise hi chhodkar chale gaye.” 11  yah sunte hi pehredaron ne raajmahal ke logon ko aavaz di aur unhein yah khabar sunayi. 12  raja raat ko hi utha aur usne apne sevkon se kaha, “yah zaroor seeriya ke logon ki chaal hai. woh jaante hain ki hum bhookh se mar rahe hain,+ isliye woh yah sochkar kahin maidan mein chhip gaye hain ki jaise hi israeli shehar se baahar aayenge hum unhein zinda pakad leinge aur unke shehar mein ghus jaayenge.”+ 13  tab raja ke ek sevak ne kaha, “raja se meri guzarish hai ki woh kuch aadmiyon se kahe ki woh shehar mein bache paanch ghode lekar jaayen aur is baat ka sahi-sahi pata lagayen. agar woh maare gaye to bhi koi baat nahin kyonki yahaan shehar mein rehkar bhi woh kaun-se zinda rehnevale hain. hum sab israeliyon ke saath woh bhi to mareinge hi.” 14  tab un aadmiyon ne ghodon ke saath do rath liye aur unhein raja ne yah kehkar seeriya ke logon ki chhaavni mein bheja, “jaao, jaakaar dekh aao.” 15  woh seeriya ke logon ko dhoondhte-dhoondhte door yardan tak pahunch gaye. unhonne dekha ki poore raaste mein kapde aur bartan faile pade hain kyonki seeriya ke log jab dar ke maare bhaagne lage to unhonne raaste mein ye cheezen feink di thi. raja ke dooton ne vaapas aakaar use khabar di. 16  fir israel ke log shehar se nikaalkar seeriya ke logon ki chhaavni mein gaye aur unhonne use loot liya. isliye ek sa-aa maida ek shekel mein aur do sa-aa jau ek shekel mein bikane laga, theek jaise yahova ne kaha tha.+ 17  raja ne apne sahayak sena-adhikari ko, jo uska bharosemand sevak tha, faatak ka adhikari thehraya tha. magar woh vahaan logon ke pairon ke neeche dabkar mar gaya. tab sachche parmeshvar ke sevak ki woh baat poori hui jo usne raja se us vakt kahi thi jab raja uske paas gaya tha. 18  sachche parmeshvar ke sevak ki yah baat poori hui jo usne raja se kahi thi, “kal isi samay saamriya ke faatak par do sa-aa jau ek shekel mein aur ek sa-aa maida ek shekel mein milega.”+ 19  magar sahayak sena-adhikari ne sachche parmeshvar ke sevak se kaha tha, “agar yahova aakash ke jharokhe khol de to bhi yah nahin ho sakta!” tab eleesha ne kaha tha, “kal tu khud apni aankhon se yah dekhega, magar usmein se kuch khaa nahin paayega.” 20  us adhikari ke saath theek aisa hi hua kyonki faatak par logon ke raundne se uski maut ho gayi.

kai footnote

ya “baazaron.”
ek sa 7.33 l. ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
ek shekel ka vazan 11.4 g. tha. ati. kha14 dekhein.