doosra raja 9:1-37

  • yehoo, israel ka raja bana (1-13)

  • yahoram aur ahajyah ki maut (14-29)

  • izebel ki maut; kutte maans khaa gaye (30-37)

9  fir bhavishyavakta eleesha ne bhavishyavaktaon ke beton mein se ek ko bulaya aur usse kaha, “apni kamar kas le aur tel ki yah surahi lekar fauran raamot-gilad+ jaa.  vahaan pahunchkar tu yehoo+ ko dhoondhna, jo yahoshapat ka beta aur nimshi ka pota hai. tu uske paas jaana aur use uske bhaaiyon ke beech se bulakar andar ke kamre mein le jaana.  yah tel uske sir par undelna aur usse kehna, ‘yahova ne kaha hai, “main tera abhishek karke tujhe israel ka raja thehrata hoon.”’+ iske baad darvaza kholkar turant vahaan se bhaag nikaalna.”  tab bhavishyavakta ka sevak raamot-gilad ke liye nikaal pada.  jab woh vahaan pahuncha to senapati baithe huye the. usne kaha, “hey pradhan, main tere liye ek sandesh laaya hoon.” yehoo ne poochha, “hammein se kiske liye?” usne yehoo se kaha, “pradhan, tere liye.”  yehoo utha aur ghar ke andar gaya. fir sevak ne uske sir par tel undelkar kaha, “israel ke parmeshvar yahova ne kaha hai, ‘main yahova tera abhishek karke tujhe apni praja israel ka raja thehrata hoon.+  tu apne maalik ahab ke gharane ko mita dena. main apne sabhi bhavishyavaktaon ke khoon ka aur yahova ke un sabhi sevkon ke khoon ka badla loonga jo izebel ke haathon maare gaye the.+  ahab ka poora gharana naash ho jaayega. main uske gharane ke har aadmi aur ladke ko maar daaloonga, yahaan tak ki israel ke besahara aur kamzor logon ko bhi mita doonga.+  main ahab ke gharane ka vahi hashra karoonga jo mainne nabat ke bete yaarobam ke gharane ka+ aur ahiyah ke bete baasha ke gharane ka kiya tha.+ 10  aur izebel ki laash ko yijrel ki zameen ke us tukde par kutte khaa jaayenge+ aur use koi nahin dafnayega.’” itna kehkar usne darvaza khola aur bhaag gaya.+ 11  jab yehoo raja ke doosre senapatiyon ke paas lauta to woh usse poochhne lage, “sab theek to hai na? woh paagal tere paas kyon aaya tha?” usne kaha, “tum to un aadmiyon ko jaante ho, besir-pair ki baatein karte hain.” 12  magar unhonne kaha, “nahin, kuch to baat hai. kya tu hamein nahin batayega?” yehoo ne kaha, “usne mujhse aisa-aisa kaha aur fir yah sandesh diya: ‘yahova ne kaha hai, “main tera abhishek karke tujhe israel ka raja thehrata hoon.”’”+ 13  tab un sabne fauran apna-apna kapda liya aur yehoo ke aage seedhiyon par bichhaya+ aur narsinga foonkkar kaha, “yehoo raja ban gaya hai!”+ 14  iske baad yehoo+ ne, jo yahoshapat ka beta aur nimshi ka pota tha, yahoram ke khilaf saazish rachi. yahoram poori israeli sena ke saath raamot-gilad gaya hua tha+ taaki seeriya ke raja hajael+ se us shehar ki raksha kar sake. 15  baad mein woh yijrel+ laut aaya kyonki seeriya ke raja hajael se ladte vakt woh zakhmi ho gaya tha.+ ab yehoo ne doosre senapatiyon se kaha, “agar tum meri taraf ho, to shehar mein se kisi ko bhi baahar mat jaane dena taaki yah khabar yijrel tak na pahunche.” 16  fir yehoo apne rath par savaar hokar yijrel gaya kyonki yahoram theek hone ke liye vahaan gaya tha. yahoram ko dekhne yahooda ka raja ahajyah vahaan aaya hua tha. 17  yijrel ki meenar par tainat pehredar ne dekha ki yehoo ke aadmiyon ka dal paas aa raha hai. unhein dekhte hi usne kaha, “mujhe aadmiyon ka ek bada dal aata dikhayi de raha hai.” yahoram ne kaha, “ek ghudsavaar se kaho ki woh unse milne jaaye aur poochhe, ‘tum shaanti ke irade se hi aaye ho na?’” 18  tab ek ghudsavaar nikala aur jaakaar yehoo se mila aur usne kaha, “raja ne poochha hai, ‘tum shaanti ke irade se hi aaye ho na?’” magar yehoo ne kaha, “tu kaun hota hai yah poochhnevala? mere peechhe chal!” tab pehredar ne yahoram se kaha, “doot un tak pahuncha to hai, magar abhi tak lauta nahin.” 19  fir ek aur ghudsavaar bheja gaya. woh jaakaar yehoo aur uske dal se mila aur usne kaha, “raja ne poochha hai, ‘tum shaanti ke irade se hi aaye ho na?’” magar yehoo ne kaha, “tu kaun hota hai yah poochhnevala? mere peechhe chal!” 20  tab pehredar ne yahoram se kaha, “doot un tak pahuncha to hai, magar abhi tak lauta nahin. mujhe koi tezee se rath haankta hua dikhayi de raha hai. uska rath chalana nimshi ke pote* yehoo jaisa hai kyonki vahi paagalon ki tarah rath daudata hai.” 21  yahoram ne kaha, “jaldi se mera rath taiyar karo!” uska yuddh-rath taiyar kiya gaya aur israel ka raja yahoram aur yahooda ka raja ahajyah+ yehoo se milne apne-apne rath par nikaal pade. woh yehoo se yijreli naabot+ ki zameen par mile. 22  jaise hi yahoram ne yehoo ko dekha, usne poochha, “yehoo, tu shaanti ke irade se hi aaya hai na?” magar yehoo ne kaha, “jab tak teri maa izebel badchalni+ aur tona-totka karti rahegi,+ tab tak kahaan se shaanti ho sakti hai?” 23  yahoram ne vahaan se bhaag nikaalne ke liye fauran apna rath ghumaya aur ahajyah se kaha, “ahajyah, yah ek chaal hai!” 24  tab yehoo ne apni kaman uthayi aur yahoram ki peeth par aisa teer maara ki woh uske dil ke aar-paar ho gaya aur woh rath par hi dher ho gaya. 25  yehoo ne apne sahayak sena-adhikari bidkar se kaha, “ise uthakar yijreli naabot ki isi zameen par feink de.+ yaad hai na, jab hum donon iske pita ahab ke peechhe-peechhe rath chala rahe the tab yahova ne ahab ko yah saza sunayi thi,+ 26  ‘yahova ailan karta hai, “kal naabot aur uske beton ka jo khoon bahaya gaya tha woh mainne dekha hai.”+ yahova ailan karta hai, “main isi zameen par tujhse unke khoon ka badla loonga.”’+ isliye bidkar, tu ise uthakar naabot ki isi zameen par feink de, theek jaise yahova ne kaha tha.”+ 27  jab yahooda ke raja ahajyah+ ne yah sab dekha, to woh bageeche ke ghar ke raaste se bhaag gaya. (baad mein yehoo ne uska peechha kiya aur apne aadmiyon se kaha, “use bhi maar daalo!” jab ahajyah apne rath par savaar oopar goor ki taraf jaa raha tha, jo yiblam+ ke paas hai, to yehoo ke aadmiyon ne us par vaar kiya. magar woh bhaagta hi raha aur bhaagte-bhaagte magiddo pahuncha jahaan uski maut ho gayi. 28  ahajyah ke sevak uski laash rath mein rakhkar yarooshalem le aaye aur daavidpur+ mein uske purkhon ki kabraa mein use dafna diya. 29  ahajyah,+ ahab ke bete yahoram ke raaj ke 11vein saal mein yahooda ka raja bana tha.) 30  jab yehoo yijrel+ aaya to iski khabar izebel+ ko mili. isliye izebel ne apni aankhon mein kaajal lagaya, apne baal sanvare aur khidki se neeche dekhne lagi. 31  jaise hi yehoo faatak se andar aaya, izebel ne kaha, “yaad hai, jimri ka kya hua tha jisne apne maalik ka katla kiya tha?”+ 32  yehoo ne oopar khidki ki taraf dekhkar kaha, “kaun hai meri taraf? kaun?”+ fauran oopar se do-teen darbaariyon ne use dekha. 33  yehoo ne unse kaha, “us aurat ko neeche feink do!” darbaariyon ne use neeche feink diya aur uske khoon ke chhinte deevar par aur ghodon par pade. yehoo ne apne ghodon se use raund diya. 34  iske baad yehoo andar gaya aur usne khaaya-peeya. fir usne kaha, “us shaapit aurat ki laash le jaakaar dafna do, aakhir woh ek raja ki beti jo hai.”+ 35  magar jab woh use dafnane ke liye vahaan gaye to unhonne dekha ki vahaan sirf uski khopdi, pair aur hatheliyaan bachi hain.+ 36  jab unhonne lautkar yah baat yehoo ko batayi to usne kaha, “aaj yahova ka woh vachan poora hua hai+ jo usne apne sevak tishbe ke rehnevale eliyah se kehalvaya tha, ‘yijrel ki isi zameen par kutte izebel ka maans khaa jaayenge+ 37  aur uski laash yijrel ki zameen par khaad ban jaayegi taaki koi yah na keh sake, “yah izebel hai.”’”

kai footnote

shaa., “bete.”