doosra shamooel 13:1-39

  • amnon ne taamar ka balatkar kiya (1-22)

  • abshalom ne use maar daala (23-33)

  • abshalom gashoor bhaaga (34-39)

13  daavid ke bete abshalom ki ek behen thi jiska naam taamar tha.+ woh bahot sundar thi. daavid ke bete amnon+ ko usse pyar ho gaya tha.  magar taamar kunvari thi aur amnon ke liye uske saath kuch bhi karna naamumkin tha. isliye amnon bechain aur behal-saa rehne laga.  amnon ka ek dost tha yahonadab,+ jo daavid ke bhaai shimyah+ ka beta tha. yahonadab bada shaatir dimagvala tha.  usne amnon se poochha, “kya baat hai, raja ka beta aajkal itna maayoos kyon rehta hai? mujhe nahin batayega?” amnon ne usse kaha, “mujhe mere bhaai abshalom ki behen+ taamar se pyar ho gaya hai.”  yahonadab ne usse kaha, “tu ek kaam kar. beemar hone ka bahana karke bistar par leta reh. fir jab tera pita tujhe dekhne aayega to usse kehna, ‘meharbani karke meri behen taamar se keh ki woh mere paas aaye aur mujhe khaane ke liye kuch de. main chahta hoon ki taamar meri aankhon ke saamne woh khaana* taiyar kare jo beemaron ko diya jaata hai. fir main uske haath se khaaunga.’”  amnon ne aisa hi kiya. woh bistar par let gaya aur beemar hone ka dhong karne laga. jab raja use dekhne aaya to amnon ne usse kaha, “meharbani karke meri behen taamar se keh ki woh mere paas aaye aur meri aankhon ke saamne dil ke aakaar ki do tikiyaan taiyar kare taaki main uske haath se khaaun.”  tab daavid ne taamar ke paas yah sandesh bheja: “zara apne bhaai amnon ke ghar jaa aur uske liye khaana* bana.”  taamar apne bhaai amnon ke ghar gayi. woh bistar par leta hua tha. taamar ne gundha hua aata liya aur amnon ki aankhon ke saamne belkar tikiyaan banayin.  fir usne tave se tikiyaan lekar amnon ke saamne parosin. magar amnon ne khaane se inkar kar diya aur kaha, “pehale sab logon ko mere paas se baahar jaane ko kaho!” tab sab log uske paas se chale gaye. 10  fir amnon ne taamar se kaha, “tu khaana* lekar mere sone ke kamre mein aa. main tere haath se khaana chahta hoon.” tab taamar dil ke aakaar ki tikiyaan lekar apne bhaai amnon ke paas uske sone ke kamre mein gayi. 11  jab usne woh tikiyaan amnon ko di to usne jhat-se taamar ko pakad liya aur kaha, “aa meri behen, mere saath so.” 12  magar taamar ne kaha, “nahin mere bhaai, mere saath aisa neech kaam mat kar. yah israel mein ek bada paap hai.+ tu yah sharmnak kaam mat kar.+ 13  main badnami ka kalank lekar kaise jeeungi? aur tu bhi israel mein badnam ho jaayega. meri baat maan, mere saath aisa mat kar. agar tu raja se mera haath maange to woh inkar nahin karega.” 14  magar usne taamar ki ek na suni. usne taamar ke saath zabardasti ki aur uska balatkar karke use kalankit kar diya. 15  iske baad amnon ko usse nafrat ho gayi. woh pehale taamar se jitna pyar karta tha ab usse kahin zyada nafrat karne laga. amnon ne usse kaha, “chali jaa yahaan se!” 16  magar taamar ne kaha, “nahin mere bhaai, aisa mat kar. mujhe is tarah bhejna us kaam se bhi bura hoga jo toone abhi mere saath kiya hai!” magar amnon ne uski baat nahin maani. 17  usne fauran apne ek javan sevak ko bulaya aur kaha, “ise baahar le jaa aur darvaza band kar de.” 18  uska sevak taamar ko baahar le gaya aur darvaza band kar diya. (taamar ek khaas* kurta pehne hui thi jaisa raja ki kunvari betiyaan pehna karti thi.) 19  taamar ne apne sir par raakh daali,+ apna kurta faada aur sir par haath rakhkar roti hui vahaan se chali gayi. 20  taamar ko dekhkar uske bhaai abshalom+ ne usse poochha, “kya tera yah haal karnevala tera bhaai amnon tha? behen, ab tu yah baat kisi se na kehna. woh tera bhaai hi to hai.+ is baare mein zyada mat soch.” fir taamar sab logon se door apne bhaai abshalom ke ghar rehne lagi. 21  jab raja daavid ko in saari baaton ka pata chala to use bahot gussa aaya.+ magar woh apne bete amnon ko thes nahin pahunchna chahta tha kyonki amnon uska pehalautha tha aur woh apne bete se bahot pyar karta tha. 22  jahaan tak abshalom ki baat hai, usne amnon se bhala-bura kuch nahin kaha. woh man-hi-man amnon se nafrat karne laga+ kyonki usne uski behen taamar ko kalankit kiya tha.+ 23  is ghatna ke poore do saal baad abshalom ne apni bhedon ke oon kataarne ke mauke par raja ke sabhi beton ko nyauta diya.+ uske sevak epraim+ ke paas baal-haasor mein uski bhedon ka oon kataar rahe the. 24  abshalom ne raja ke paas aakaar usse kaha, “tera sevak apni bhedon ka oon kataarva raha hai. raja aur uske sevak agar mere saath chalein to badi meharbani hogi.” 25  magar raja ne abshalom se kaha, “nahin bete, agar hum sab aayenge to tujh par bojh ban jaayenge.” abshalom ne raja ko bahot manaya fir bhi woh raazee nahin hua aur usne abshalom ko aasheervad diya. 26  fir abshalom ne kaha, “agar tu nahin aa sakta to meharbani karke mere bhaai amnon ko hamare saath aane de.”+ raja ne usse poochha, “magar vahi kyon?” 27  abshalom ne kisi tarah raja ko mana liya isliye usne amnon aur apne sabhi beton ko uske saath bheja. 28  fir abshalom ne apne sevkon ko hukm diya, “tum log hoshiyar rehna, jaise hi amnon daakh-madira peekar magan ho jaayega main tumse kahoonga, ‘maar daalo amnon ko!’ tum use fauran maar daalna. bilkul darna mat. yah mera hukm hai. diler banna aur himmat se kaam lena.” 29  abshalom ke sevkon ne theek vaisa hi kiya jaisa usne hukm diya tha. unhonne amnon ko maar daala. tab raja ke baaki sabhi bete uthe aur apne-apne khachchar par savaar hokar bhaag gaye. 30  jab woh raaste mein hi the to daavid ko yah khabar di gayi, “abshalom ne raja ke sabhi beton ko maar daala. ek bhi zinda nahin bacha.” 31  yah sunnae par raja utha aur usne apne kapde faade aur zameen par let gaya. uske sab sevkon ne bhi apne kapde faade aur uske paas khade rahe. 32  magar yahonadab+ ne, jo daavid ke bhaai shimyah+ ka beta tha, daavid se kaha, “mere maalik, raja ke saare bete nahin maare gaye. sirf amnon maara gaya hai.+ aur yah kaam abshalom ke kehne par kiya gaya hai. woh usi din se aisa karne ki saazish karne laga tha+ jis din amnon ne uski behen+ taamar ko kalankit kiya tha.+ 33  hey raja, mere maalik, tu is jhoothi khabar par yakeen mat karna ki raja ke sabhi bete mar gaye hain. sirf amnon ki maut hui hai.” 34  is beech abshalom vahaan se bhaag gaya tha.+ baad mein shehar ke pehredar ne dekha ki peechhe ki taraf pahad ke paasvale raaste se bahot-se log aa rahe hain. 35  tab yahonadab+ ne raja se kaha, “dekh! raja ke bete laut aaye hain. jaisa tere daas ne kaha tha vaisa hi hua.” 36  jaise hi usne apni baat khatm ki, raja ke bete vahaan pahunch gaye. woh sabhi zor-zor se ro rahe the. raja aur uske saare sevak bhi fut-futkar rone lage. 37  magar abshalom bhaagkar gashoor ke raja talmai ke paas chala gaya+ jo ammeehood ka beta tha. daavid ne apne bete amnon ke liye kai dinon tak maatam manaya. 38  abshalom jab bhaagkar gashoor chala gaya+ to woh teen saal tak vahaan raha. 39  jab itna lamba samay beet gaya to raja daavid abshalom se jaakaar milne ke liye tarasne laga. woh ab tak amnon ki maut ke gam se ubar chuka tha.*

kai footnote

ya “dilase ki roti.”
ya “dilase ki roti.”
ya “dilase ki roti.”
ya “zareedar.”
ya “ke maamle mein dilasa paa chuka tha.”