doosra shamooel 14:1-33

  • yoab aur takoa ki aurat (1-17)

  • daavid ne yoab ki tarkeeb bhaanpi (18-20)

  • abshalom ko lautne ki ijazat (21-33)

14  ab sarooyah ke bete yoab+ ko pata chala ki raja ka man abshalom ke liye taras raha hai.+  isliye yoab ne takoa+ se ek aurat ko bulvaya jo bahot hoshiyar thi. usne us aurat se guzarish ki, “tu shok manane ka dhong karna. maatam ke kapde pehanna aur shareer par tel mat malna.+ tu aise pesh aana jaise tu lambe samay se kisi ki maut ka maatam mana rahi ho.  tu raja ke paas jaana aur usse ye-ye kehna.” fir yoab ne aurat ko bataya ki use kya-kya kehna hai.  takoa ki woh aurat raja ke paas gayi aur usne munh ke bal zameen par girkar raja ko pranam kiya aur kaha, “hey raja, meri madad kar!”  raja ne usse poochha, “teri kya samasya hai?” usne kaha, “teri yah daasi vidhva hai, mera pati mar chuka hai.  teri daasi ke do bete the. woh maidan mein ek-doosre se ladne lage. unka beech-bachav karnevala koi na tha, isliye ek ne doosre ko maar daala.  ab mere parivar ke sab log mere khilaf ho gaye hain aur keh rahe hain, ‘tere jis ladke ne apne bhaai ko maar daala, use hamare havale kar de taaki hum use maar daalein aur uske bhaai ke khoon ka badla usse lein,+ bhale hi isse tere khaandan ka vaaris kyon na mit jaaye!’ woh mere bache huye angare* ko bujha deinge aur dharti se mere pati ka naam aur uski aakhiri nishani bhi mita deinge.”  raja ne aurat se kaha, “tu apne ghar jaa, tujhe zaroor insaf milega. main tere baare mein ek aadesh doonga.”  tab takoa ki us aurat ne raja se kaha, “hey raja, mere maalik, mere bete ke paap ka dosh mujhe aur mere gharane ko lage. tab raja aur uska shaahi khaandan nirdosh thehrega.” 10  raja ne kaha, “agar iske baad bhi koi tujhse kuch kahe to use mere paas laana. woh tujhe fir kabhi pareshan nahin karega.” 11  tab aurat ne kaha, “hey raja, teri badi kripa hogi agar tu apne parmeshvar yahova ko yaad kare taaki khoon ka badla lenevala+ mere bete ki jaan lekar mera dukh aur na badha de.” raja ne kaha, “yahova ke jeevan ki shapath,+ tere bete ka baal bhi baanka nahin hoga.” 12  us aurat ne kaha, “mere maalik, raja, teri ijazat ho to teri daasi ek aur baat kehna chahti hai.” raja ne kaha, “ijazat hai!” 13  us aurat ne kaha, “fir toone aisa kaam karne ki kyon sochi jisse parmeshvar ke logon ka nuksan ho?+ raja ne abhi-abhi jo faisla sunaya woh khud use doshi thehrata hai kyonki raja ne apne bete ko desh-nikaala de diya aur use vaapas nahin laaya.+ 14  yah sach hai ki maut hum sab par aati hai aur hum us paani ki tarah ban jaate hain jise zameen par ek baar undel diya jaaye to vaapas ikattha nahin kiya jaa sakta. fir bhi parmeshvar yoon hi kisi ki jaan nahin leta balki dekhta hai ki jise desh-nikaala diya gaya hai use vaapas laane ki kya koi gunjaish hai. 15  main apne maalik raja ko yah baat isliye batane aayi hoon kyonki logon ne mujhe dara diya tha. isliye teri daasi ne socha ki main raja se is maamle par bhi baat karke dekhti hoon. ho sakta hai woh apni daasi ki guzarish maan le. 16  kyonki mere maamle mein raja ne meri binti sun li aur woh mujhe us aadmi se bachane ke liye raazee ho gaya, jo mujhse aur mere iklaute bete se parmeshvar ki di hui virasat chheenne par tula hai.+ 17  teri daasi ne socha, ho sakta hai raja meri yah guzarish bhi maankar mere man ko raahat de, kyonki mera maalik raja achhe-bure mein fark karne mein bilkul sachche parmeshvar ke swargdoot jaisa hai. meri dua hai ki tera parmeshvar yahova tere saath rahe.” 18  tab raja ne aurat se kaha, “ab main tujhse jo poochhoonga, sach-sach batana. kuch chhipana mat.” aurat ne kaha, “mere maalik raja, tujhe jo bhi poochhna hai poochh.” 19  raja ne poochha, “kya yah sab kehne ke liye tujhe yoab ne mere paas bheja hai?”+ aurat ne kaha, “mere maalik, raja. tere jeevan ki shapath, toone bilkul sahi kaha.* tere sevak yoab ne hi mujhe yah sab sikhakar bheja aur yah sab kehne ke liye kaha. 20  tere sevak yoab ne yah sab isliye kiya taaki is maamle ke baare mein tera nazariya badle. mere maalik ke paas sachche parmeshvar ke swargdoot jaisi buddhi hai aur woh jaanta hai ki desh mein kya-kya ho raha hai.” 21  fir raja ne yoab se kaha, “theek hai, main abshalom ke saath aisa hi karoonga.+ tu jaa aur us javan ko le aa.”+ 22  tab yoab ne munh ke bal zameen par girkar raja ko pranam kiya aur uski taareef ki. yoab ne kaha, “mere maalik raja, aaj tera yah sevak jaan gaya hai ki toone mujh par kripa ki hai kyonki raja ne apne sevak ki guzarish poori ki hai.” 23  tab yoab utha aur gashoor gaya+ aur abshalom ko yarooshalem le aaya. 24  magar raja ne kaha, “woh apne ghar laut sakta hai, par woh mujhe apna munh na dikhaye.” isliye abshalom apne ghar laut gaya, lekin raja ke saamne nahin aaya. 25  abshalom ek sundar-sajeela javan tha. sir se paanv tak usmein koi aib nahin tha aur poore desh mein uske jaisa khoobsoorat aadmi koi na tha. har kahin uske rang-roop ke charche hote the. 26  use apne baalon ka vazan dhona bhaari padta tha isliye har saal ke aakhir mein use apne baal katvane padte the. jab woh baal katvata to unka vazan shaahi baat-patthar* ke hisab se 200 shekel* hota tha. 27  abshalom ke teen bete+ aur ek beti thi. uski beti ka naam taamar tha aur woh bahot khoobsoorat thi. 28  abshalom ko yarooshalem mein rehte poore do saal beet gaye, magar woh kabhi raja ke saamne nahin gaya.+ 29  isliye abshalom ne yoab ko bulvaya taaki woh use raja ke paas bheje. magar yoab abshalom ke paas nahin aaya. abshalom ne use doosri baar bulvaya fir bhi usne aane se inkar kar diya. 30  aakhir mein, abshalom ne apne sevkon se kaha, “yoab ki zameen meri zameen ke paas hi hai. aur abhi uski zameen mein jau ki fasal khadi hai. tum jaao aur uski fasal mein aag laga do.” abshalom ke sevkon ne jaakaar uske khet mein aag laga di. 31  tab yoab ne abshalom ke ghar aakaar usse kaha, “tere sevkon ne kyon mere khet mein aag laga di?” 32  abshalom ne kaha, “dekh, mainne tere paas sandesh bheja tha ki mere paas aa taaki main tujhe raja ke paas yah poochhne ke liye bhejoon, ‘main gashoor se kyon vaapas aaya?+ yahaan aane se to achha hota ki main vahin reh jaata. mujhe raja ke saamne haazir hone ki ijazat di jaaye. agar mainne koi apradh kiya hai to woh mujhe maut ki saza de de.’” 33  tab yoab ne raja ke paas jaakaar use yah baat batayi. raja ne abshalom ko bulvaya. abshalom raja ke paas aaya aur usne raja ke saamne munh ke bal girkar use pranam kiya. fir raja ne abshalom ko chooma.+

kai footnote

yaani vanshajon ke liye aakhiri aasha.
ya “toone jo kaha hai usse koi bhi daayen ya baayen nahin jaa sakta.”
yah shaayad raajmahal mein rakha gaya baat tha ya ek “shaahi” shekel tha jo aam shekel se alag tha.
kareeb 2.3 kilo. ati. kha14 dekhein.