doosra shamooel 16:1-23

  • seeba ne mapeeboshet ko badnam kiya (1-4)

  • shimi ne daavid ko shaap diya (5-14)

  • abshalom ne hooshai ko sweekar kiya (15-19)

  • aheetopel ki salah (20-23)

16  jab daavid pahad ki choti+ se thoda aage badha to vahaan mapeeboshet+ ka sevak seeba+ usse milne aaya. seeba apne saath kaathi kase do gadhe laaya aur un par 200 rotiyaan, kishmish ki 100 tikiyaan, garmiyon ke falon* se bani 100 tikiyaan aur daakh-madira se bhara ek bada matka lada hua tha.+  raja ne seeba se poochha, “tu ye sab kyon laaya hai?” seeba ne kaha, “ye jaanvar raja ke gharane ke logon ke liye hain taaki woh in par savaar hokar jaayen. rotiyaan aur garmiyon ke fal raja ke javanon ke khaane ke liye hain aur daakh-madira isliye hai ki agar tummein se koi veerane mein safar karte-karte thak jaaye to pi sake.”+  fir raja ne poochha, “tere maalik ka beta* kahaan hai?”+ seeba ne kaha, “woh yarooshalem mein hi hai. usne kaha, ‘aaj israel ka gharana mere pita ka raaj mujhe lauta dega.’”+  tab raja ne seeba se kaha, “dekh! jo kuch mapeeboshet ka hai woh sab main tere adhikar mein kar deta hoon.”+ seeba ne kaha, “main tere aage jhukkar tujhe pranam karta hoon. mere maalik raja, teri kripa mujh par bani rahe.”+  jab raja daavid bahooreem pahuncha to shimi naam ka ek aadmi nikala jo shaaool ke gharane ke ek parivar se tha aur gera ka beta tha.+ woh daavid ki taraf aate huye chilla-chillakar use shaap dene laga.+  woh raja daavid par, uske sabhi sevkon aur uske saath aaye logon par aur uske daayen-baayen chal rahe veer yoddhaon par patthar feinkne laga.  shimi yah kehkar daavid ko shaap dene laga, “chala jaa yahaan se, nikaal jaa. tu kaatil hai, nikamma hai!  toone shaaool ke gharane ko maar daala, uska raaj chheenkar khud raja ban baitha. iseeliye yahova aaj tujhse un sabke khoon ka badla le raha hai aur yahova ne raaj tere bete abshalom ke haath kar diya hai. tu khoon ka doshi hai iseeliye tujh par yah museebat aayi hai!”+  tab sarooyah ke bete abeeshai+ ne raja se kaha, “iski yah majal ki mere maalik raja ko shaap de?+ yah to mare huye kutte ke samaan hai.+ tu hukm de to main jaakaar uska sir kaat daaloon.”+ 10  magar raja ne kaha, “sarooyah ke beto, ismein tum kyon dakhal de rahe ho?+ woh mujhe shaap de raha hai to dene do+ kyonki jab yahova ne hi usse kaha hai,+ ‘daavid ko shaap de!’ to kaun use rok sakta hai?” 11  fir daavid ne abeeshai aur apne sab sevkon se kaha, “jab mera apna beta, jo mujhse paida hua, meri jaan ke peechhe pada hai+ to main binyameen gotra ke is aadmi+ ke baare mein kya kahoon! agar yah mujhe shaap de raha hai to dene do kyonki yahova ne ise aisa karne ko kaha hai! 12  kya pata yahova mera dukh dekhe+ aur aaj mujhe jo shaap diya jaa raha hai, uske badle yahova mere saath fir se bhalai kare.”+ 13  daavid ke aisa kehne ke baad daavid aur uske aadmi aage badhte gaye. shimi us pahad par daavid ke saath-saath chalta hua chilla-chillakar use shaap deta raha+ aur us par patthar aur dher saari dhool feinkta raha. 14  aakhirkar daavid aur saare log jab tay jagah par pahunche to woh thakkar past ho chuke the isliye unhonne vahaan aaram kiya. 15  idhar abshalom aur israel ke saare aadmi yarooshalem pahunche. abshalom ke saath aheetopel bhi tha.+ 16  jab daavid ka dost* ereki+ hooshai+ abshalom ke paas aaya to usne abshalom se kaha, “raja ki jay ho!+ raja ki jay ho!” 17  abshalom ne hooshai se kaha, “tu apne dost ke saath kyon nahin gaya? yahi hai teri vafadari?”* 18  hooshai ne abshalom se kaha, “main to usi ka saath doonga jise yahova ne aur in logon ne aur israel ke sabhi aadmiyon ne chuna hai. main usi ke saath rahoonga. 19  main ek baar fir kehta hoon, uske bete ki seva karna mera farz hai. jaise mainne tere pita ki seva ki thi, vaise main teri seva karoonga.”+ 20  tab abshalom ne aheetopel se kaha, “ab hamein kya karna chahiye, teri kya salah hai?”+ 21  aheetopel ne kaha, “tu apne pita ki up-patniyon ke saath sambandh rakh,+ jinhein woh mahal ki dekhbhal ke liye chhod gaya hai.+ tab poora israel jaan jaayega ki toone apne pita ka apman kiya hai aur isse tera saath denevalon ki himmat badh jaayegi.” 22  isliye chhat par ek tamboo khada kiya gaya+ aur abshalom ne vahaan poore israel ke saamne apne pita ki up-patniyon ke saath sambandh rakhe.+ 23  un dinon aheetopel ki salah+ sachche parmeshvar ka vachan maani jaati thi.* daavid aur abshalom, aheetopel ki har salah ko bahot anmol samajhte the.

kai footnote

khaaskar anjeer aur shaayad khajoor bhi.
ya “pota.”
ya “raazdar.”
ya “tera atal pyar?”
ya “aisi thi maano koi sachche parmeshvar ka vachan poochh raha ho.”