doosra shamooel 18:1-33

  • abshalom ki haar aur maut (1-18)

  • daavid ko iski khabar mili (19-33)

18  fir daavid ne un aadmiyon ki ginti li jo uske saath the aur unhein sau-sau aur hazar-hazar ki tukdiyon mein baantkar un par senapati thehraye.+  daavid ne ek-tihai aadmiyon ko yoab ki kaman ke neeche kiya,+ ek-tihai ko yoab ke bhaai aur sarooyah ke bete abeeshai+ ki kaman ke neeche+ aur ek-tihai ko gat ke rehnevale ittai ki kaman ke neeche kiya.+ fir raja ne apne aadmiyon se kaha, “main bhi tum logon ke saath chalta hoon.”  magar unhonne kaha, “nahin, tujhe shehar se baahar nahin jaana chahiye,+ kyonki agar hum bhaag jaayen ya hammein se aadhe log maare jaayen to unhein koi fark nahin padega. lekin tu hamare jaise 10,000 sainikon ke barbar hai.+ isliye achha hoga ki tu shehar mein hi rahe aur yahaan se hamari madad kare.”  raja ne kaha, “theek hai, tumhein jo sahi lagta hai main vahi karoonga.” isliye raja shehar ke faatak ke paas khada raha aur uske sabhi aadmi sau-sau aur hazar-hazar ki tukdiyon mein vahaan se ravana ho gaye.  fir raja ne yoab, abeeshai aur ittai ko yah aadesh diya, “tum log meri khaatir javan abshalom ke saath narmi se pesh aana.”+ jab raja ne sabhi senapatiyon ko abshalom ke baare mein yah aadesh diya to saare sainik sun rahe the.  fir woh sabhi aadmi israeli sainikon se mukabla karne yuddh ki jagah gaye. yuddh epraim ke jangal mein hua.+  daavid ke aadmiyon ne israeli sainikon+ ko hara diya+ aur us din bahot maar-kaat machi aur 20,000 aadmi maare gaye.  ladai poore ilake mein fail gayi. us din jitne log talvar se maare gaye usse kahin zyada log jangal ka kaur ho gaye.  fir aisa hua ki abshalom ne daavid ke aadmiyon ko apni taraf aate dekha. abshalom ek khachchar par savaar tha aur khachchar bhaagte-bhaagte jab ek bade ped ke neeche se guzra to abshalom ke baal ped ki moti-moti daaliyon mein ulajh gaye. khachchar aage nikaal gaya aur abshalom adhar mein latka reh gaya. 10  jab ek sainik ne use dekha to usne jaakaar yoab+ ko bataya, “mainne abshalom ko ek bade ped mein latke huye dekha hai!” 11  yoab ne usse kaha, “agar toone use dekha to use vahin maarkar zameen par kyon nahin gira diya? tab main khush hokar tujhe chaandi ke das tukde aur ek kamarband deta.” 12  lekin sainik ne yoab se kaha, “chahe mujhe chaandi ke 1,000 tukde diye jaate,* to bhi main raja ke bete par haath nahin uthata kyonki hamare saamne hi raja ne tujhe, abeeshai aur ittai ko aadesh diya tha ki ‘dhyan rakhna, tummein se koi bhi javan abshalom ke saath kuch bura na kare.’+ 13  agar main raja ki aagya todkar uske bete ki jaan le leta to yah baat raja se chhipi nahin rehti aur tab tu bhi mujhe nahin bachata.” 14  yoab ne kaha, “ab main tujhse baat karke aur vakt barbad nahin karoonga!” fir yoab ne teen bade-bade keele* liye aur abshalom ke dil mein aar-paar bhed diye jo bade ped ke beech zinda latka hua tha. 15  fir yoab ke hathiyar dhonevale das sevak vahaan aaye aur abshalom ko tab tak maarte rahe jab tak ki woh mar na gaya.+ 16  fir yoab ne narsinga foonka aur daavid ke aadmi israeliyon ka peechha karna chhodkar laut aaye. is tarah yoab ne unhein rok diya. 17  unhonne abshalom ki laash uthakar jangal mein ek bade gaddhe mein feink di aur uske oopar pattharon ka bahot bada dher laga diya.+ fir sabhi israeli apne-apne ghar bhaag gaye. 18  abshalom jab zinda tha to usne ‘raja ki ghaati’+ mein apne liye ek khambha khada karvaya tha kyonki usne kaha tha, “mere baad mera naam chalane ke liye mera koi beta nahin hai.”+ isliye usne us khambhe ka naam apne naam par rakha tha aur woh khambha aaj tak abshalom smarak kehlata hai. 19  ab saadok ke bete aheemas+ ne yoab se kaha, “meharbani karke mujhe ijazat de ki main daudkar raja ko khabar doon kyonki yahova ne use dushmanon se chhudakar insaf dilaya hai.”+ 20  magar yoab ne kaha, “nahin, aaj tu khabar nahin le jaayega. tu fir kabhi khabar sunana. magar aaj nahin kyonki aaj raja ke apne bete ki maut hui hai.”+ 21  fir yoab ne ek kooshi aadmi+ se kaha, “tu jaakaar raja ko khabar de. toone jo dekha hai use bata.” tab kooshi ne yoab ke saamne jhukkar pranam kiya aur daudkar jaane laga. 22  saadok ke bete aheemas ne ek baar fir yoab se kaha, “chahe jo bhi ho, mujhe bhi us kooshi ke peechhe jaane de.” magar yoab ne kaha, “bete, tere batane ke liye koi khabar nahin hai, fir tu kyon jaana chahta hai?” 23  fir bhi usne kaha, “kuch bhi ho, mujhe bhi bhej.” tab yoab ne usse kaha, “theek hai, daud!” tab aheemas yardan zile se guzarnevale raaste se daudkar gaya aur itna tez dauda ki kooshi aadmi se aage nikaal gaya. 24  daavid shehar ke do faatkon ke beech baitha hua tha.+ pehredar+ deevar se hokar faatak ki chhat par gaya tha. usne dekha ki ek aadmi akela dauda chala aa raha hai. 25  usne raja ko aavaz di aur yah baat use batayi. raja ne kaha, “agar woh akela aa raha hai to zaroor koi khabar laa raha hoga.” jab aheemas daudta hua paas aa raha tha, 26  to pehredar ko ek aur aadmi daudta hua nazar aaya. pehredar ne darban ko aavaz dekar kaha, “dekh, ek aur aadmi akela daudta hua aa raha hai!” raja ne kaha, “woh bhi zaroor koi khabar laa raha hoga.” 27  pehredar ne kaha, “mujhe pehale aadmi ka daudna saadok ke bete aheemas ke daudne jaisa lag raha hai.”+ raja ne kaha, “woh ek achha aadmi hai, zaroor koi achhi khabar laa raha hoga.” 28  fir aheemas ne raja ko aavaz di aur kaha, “khushkhabri hai khushkhabri!” aisa kehkar usne zameen par girkar raja ko pranam kiya. fir usne kaha, “tere parmeshvar yahova ki badai ho. usne mere maalik raja se bagavat karnevalon* ko uske havale kar diya hai!”+ 29  magar raja ne kaha, “abshalom ki kya khabar hai? woh to salamat hai na?” aheemas ne kaha, “jab yoab ne raja ke sevak ko aur tere is daas ko bheja to mainne dekha ki badi khalbali machi hui hai, magar main nahin jaan saka ki baat kya hai.”+ 30  raja ne kaha, “zara is taraf aa, yahaan khada reh.” tab woh ek taraf jaakaar khada ho gaya. 31  tabhi woh kooshi aadmi vahaan pahuncha+ aur usne kaha, “mere maalik raja, tere liye yah khabar hai: aaj yahova ne tujhe insaf dilaya hai. tujhe un sabhi ke haath se chhuda liya hai jo tujhse bagavat karte the.”+ 32  magar raja ne kooshi se poochha, “abshalom theek to hai na?” kooshi ne kaha, “mere maalik raja ke sabhi dushmanon ka aur tujhse bagavat karnevalon ka vahi hashra ho jo us javan ka hua hai!”+ 33  yah khabar sunkar raja ko gehra sadma pahuncha. woh faatak ki ooparvali kothri mein chala gaya aur rone laga. woh oopar chadhte vakt ro-rokar keh raha tha, “haay! mere bete abshalom, mere bete! kaash, tere badle meri maut ho jaati! haay! mere bete abshalom, mere bete!”+

kai footnote

shaa., “meri hatheliyon par chaandi ke 1,000 tukde taulkar diye jaate.”
ya shaayad, “nukeele chhad; bhaale.” shaa., “laathiyaan.”
shaa., “ke khilaf haath uthanevalon.”