doosra shamooel 2:1-32

  • daavid, yahooda ka raja (1-7)

  • ishboshet, israel ka raja (8-11)

  • donon gharanon ke beech yuddh (12-32)

2  iske baad daavid ne yahova se salah ki,+ “kya main yahooda ke kisi shehar mein jaaun?” yahova ne kaha, “haan, jaa.” daavid ne poochha, “main kis shehar mein jaaun?” parmeshvar ne kaha, “tu hebron jaa.”+  tab daavid apni donon patniyon, yijreli aheenoam+ aur abeegail+ ko saath lekar hebron gaya. (abeegail, karmeli naabal ki vidhva thi.)  daavid apne aadmiyon+ aur unke parivaron ko bhi saath le gaya aur woh sabhi hebron ke aas-paas ke shehron mein bas gaye.  iske baad, yahooda ke aadmi hebron aaye aur unhonne daavid ka abhishek karke use yahooda ke gharane ka raja thehraya.+ unhonne daavid ko bataya ki yaabesh-gilad ke aadmiyon ne hi shaaool ko dafnaya tha.  tab daavid ne apne dooton ke haath yaabesh-gilad ke aadmiyon ko yah sandesh bheja: “yahova tumhein aasheesh de kyonki tumne apne maalik shaaool ko dafnakar uske liye apne atal pyar ka saboot diya.+  yahova bhi tumhein apne atal pyar ka saboot de aur tumhara vishvasyogya bana rahe. main bhi tum par kripa karoonga kyonki tumne yah nek kaam kiya hai.+  ab tum sab khud ko mazboot karo aur diler bano, kyonki tumhara maalik shaaool ab nahin raha aur yahooda ke gharane ne mera abhishek karke mujhe apna raja thehraya hai.”  magar abner,+ jo ner ka beta aur shaaool ki sena ka senapati tha, shaaool ke bete ishboshet+ ko nadi paar mahnaim+ le gaya tha  aur vahaan use raja bana diya tha. usne ishboshet ko gilad+ par, ashoori logon par, yijrel,+ epraim+ aur binyameen par, ek tarah se poore israel par raja bana diya tha. 10  shaaool ka beta ishboshet jab israel ka raja bana to woh 40 saal ka tha. usne do saal raaj kiya. magar yahooda ke gharane ne daavid ka saath diya.+ 11  daavid ne hebron mein rehkar yahooda ke gharane par saadhe saat saal tak raaj kiya tha.+ 12  kuch samay baad ner ka beta abner aur shaaool ke bete ishboshet ke sevak, mahnaim se+ gibon+ gaye. 13  idhar sarooyah ka beta yoab+ aur daavid ke sevak bhi gibon ke taalab ke paas gaye aur vahaan unhonne abner ke dal ka saamna kiya. ek dal taalab ke is taraf baitha tha aur doosra dal taalab ke us taraf. 14  tab abner ne yoab se kaha, “ek kaam karte hain. hum apne javanon se kehte hain ki woh uthkar hamare saamne ek-doosre se mukabla karein.” yoab ne kaha, “theek hai, ho jaaye mukabla.” 15  tab donon dal taiyar huye aur unhonne apne-apne dal se 12 aadmi chune. binyameen aur shaaool ke bete ishboshet ki taraf se 12 javan the aur daavid ke sevkon mein se 12 javan. 16  fir donon dalon ke javanon ne ek-doosre ke baal kaskar pakde aur harek ne apne virodhi ko talvar bhonk di aur sab ek-saath dher ho gaye. isi ghatna se gibon praant ki us jagah ka naam helkat-hassureem pada. 17  us din donon dalon ke beech ghamasan yuddh hua. aakhirkar abner aur israel ke aadmi daavid ke aadmiyon se haar gaye. 18  daavid ke aadmiyon mein sarooyah ke teen bete+ yoab,+ abeeshai+ aur asahel+ bhi the. asahel jangli chikare ki tarah tez daudta tha. 19  woh abner ka peechha karne laga aur uske peechhe aisa daudta gaya ki usne daayen-baayen mudkar bhi na dekha. 20  jab abner ne peechhe mudkar dekha to usne poochha, “asahel, kya tu hai?” usne kaha, “haan, main hoon.” 21  abner ne kaha, “mera peechha karna chhod de. mere kisi javan ko pakad le aur uske paas jo kuch hai chheen le.” magar asahel rukne ka naam hi nahin le raha tha. 22  abner ne asahel se fir kaha, “mera peechha karna chhod de, kahin aisa na ho ki main tujhe maar daaloon. fir main tere bhaai yoab ko kya munh dikhaunga?” 23  magar asahel nahin maana. isliye abner ne apne bhaale ka pichhla hissa asahel ke pet mein aisa maara ki bhaala aar-paar nikaal gaya.+ asahel gir pada aur usne vahin dam tod diya. jitne aadmi us jagah se guzarte jahaan asahel ki laash padi thi, woh sab thodi der vahaan rukte the. 24  iske baad yoab aur abeeshai, abner ka peechha karne lage. sooraj dhalte-dhalte woh ammah naam ki pahadi par pahunche, jo geeh ke saamne aur gibon ke veerane ki taraf jaanevale raaste par thi. 25  vahaan binyameen ke log abner ke peechhe ikattha ho gaye aur dal baandhkar ek pahadi ki choti par khade ho gaye. 26  fir abner ne yoab ko aavaz lagayi aur kaha, “hum kab tak is tarah ek-doosre par talvar chalate raheinge? kya tu nahin jaanta ki aakhir mein iska anjam kadva hi hoga? ab to apne aadmiyon se bol ki woh apne bhaaiyon ka peechha karna chhod dein.” 27  yoab ne kaha, “sachche parmeshvar ke jeevan ki shapath, agar tu na kehta to mere log subah tak apne bhaaiyon ka peechha karte rehte.” 28  fir yoab ne narsinga foonka aur uske aadmiyon ne israeliyon ka peechha karna chhod diya. is tarah ladai tham gayi. 29  iske baad abner aur uske aadmiyon ne raat-bhar chalkar arba+ paar kiya. fir unhonne yardan nadi paar ki aur uski tang ghaati mein chalte huye* aage badhe aur aakhirkar mahnaim pahunche.+ 30  jab yoab ne abner ka peechha karna chhod diya to usne apne sabhi aadmiyon ko ikattha kiya. daavid ke sevkon mein se asahel ke alava 19 aadmi kam the. 31  daavid ke sevkon ne binyameeniyon aur abner ke aadmiyon ko hara diya tha. unke 360 aadmi maare gaye the. 32  yoab aur uske aadmiyon ne asahel+ ki laash uthayi aur betlehem+ le jaakaar uske pita ki kabraa mein dafna di. iske baad yoab aur uske aadmi poori raat chalte rahe aur subah hote-hote hebron+ pahunche.

kai footnote

ya shaayad, “poore bitron se hokar.”