doosra shamooel 20:1-26

  • sheeba ki bagavat; amasa ka katla (1-13)

  • sheeba ka sir kaat daala gaya (14-22)

  • daavid ka prashasan (23-26)

20  binyameen gotra mein sheeba naam ka ek aadmi tha jo bada fasadi tha.+ woh bikri ka beta tha. sheeba ne narsinga foonkkar+ yah ailan kiya: “daavid ke saath hamara koi saajha nahin. yishai ke bete ki virasat usi ke paas rahe.+ israeliyo, tum sab apne-apne devta ke paas* laut jaao!”+  tab israel ke sab aadmi daavid ke peechhe chalna chhodkar bikri ke bete sheeba ke peechhe chalne lage.+ magar yahooda ke aadmiyon ne apne raja ka saath nahin chhoda. woh yardan se yarooshalem tak uske saath hi rahe.+  jab raja daavid yarooshalem mein apne mahal vaapas aaya+ to usne un das up-patniyon ko ek alag ghar mein rakha, jinhein woh mahal ki dekhbhal ke liye chhod gaya tha.+ usne us ghar par pehra laga diya. woh un aurton ko khaana-peena muhaiya karata raha, magar usne unke saath sambandh nahin rakhe.+ woh apni maut tak us ghar mein kaid rahin aur pati ke rehte huye bhi unhein vidhvaon jaisi zindagi bitani padi.  ab raja ne amasa+ se kaha, “teen din ke andar yahooda ke aadmiyon ko mere saamne ikattha kar. tu bhi yahaan haazir hona.”  amasa yahooda ke sabhi aadmiyon ko ikattha karne nikaal gaya, magar woh tay samay ke andar nahin aaya.  fir daavid ne abeeshai+ se kaha, “bikri ka beta sheeba+ hamare liye abshalom se zyada khatarnak saabit ho sakta hai.+ isliye tu mere sevkon* ko lekar jaldi se sheeba ka peechha kar aur use pakad laa taaki woh kileband shehron mein bhaagkar hamse bach na jaaye.”  tab yoab ke aadmi+ aur kareti aur paleti log+ aur saare veer yoddha uske* peechhe chal diye. woh sab bikri ke bete sheeba ka peechha karne yarooshalem se nikaal pade.  jab woh gibon+ mein bade patthar ke paas pahunche to amasa+ unse milne aaya. yoab us vakt sainik ki poshak pehne huye tha aur uski kamar par talvar bandhi hui thi. jab usne kadam badhaye to talvar myan se nikaalkar neeche gir padi.  yoab ne amasa se kaha, “kaise ho mere bhaai?” fir yoab ne apne daayen haath se amasa ki daadhi pakdi maano woh use choomne jaa raha ho. 10  amasa ne dhyan nahin diya ki yoab ke haath mein talvar hai. yoab ne amasa ke pet mein talvar bhonk di+ aur uski antadiyaan nikaalkar zameen par gir padin. yoab ko dobara talvar nahin chalani padi, uska ek hi vaar kaafi tha. iske baad yoab aur uska bhaai abeeshai, bikri ke bete sheeba ka peechha karne aage badhe. 11  yoab ka ek javan amasa ke paas khada ho gaya aur kehne laga, “jo-jo yoab ki taraf hain aur daavid ke log hain, woh sab yoab ke peechhe chalein!” 12  amasa beech sadak par khoon se lathpath chhatpata raha tha aur jab sainik vahaan se guzarte to woh ruk jaate the. yah dekhkar woh javan amasa ko raaste se hatakar maidan mein le gaya. fir usne amasa ke oopar ek kapda daal diya kyonki usne dekha ki vahaan se guzarnevala har koi vahaan ruk jaata hai. 13  jab usne amasa ko sadak se hata diya, to sabhi aadmi bikri ke bete sheeba+ ko pakadne yoab ke peechhe chal diye. 14  sheeba israel ke sab gotron ke ilakon se guzarta hua bet-maaka ke haabil shehar+ mein ghus gaya. bikri ke khaandan ke sabhi log ikattha ho gaye aur woh bhi sheeba ke peechhe-peechhe shehar ke andar chale gaye. 15  yoab aur uske aadmi* bet-maaka ke haabil shehar aaye aur unhonne shehar ko gher liya, jiski deevaron ke chaaron taraf suraksha ki ek dhalan thi. yoab aur uske aadmiyon ne shehar par hamla karne ke liye ek dhalan khadi ki aur sheharpanah todne lage. 16  tab us shehar ki ek buddhiman aurat ne sheharpanah ke oopar se aavaz dekar kaha, “sainiko suno, meharbani karke yoab se kaho ki woh yahaan aaye. main usse kuch kehna chahti hoon.” 17  tab yoab us aurat ke paas gaya aur us aurat ne kaha, “kya tu yoab hai?” usne kaha, “haan.” aurat ne kaha, “teri daasi kuch kehna chahti hai.” yoab ne kaha, “bol, kya kehna chahti hai.” 18  aurat ne kaha, “hamare shehar ke baare mein guzre zamane mein yah baat mashhoor thi ki salah leni ho to haabil jaao, maamla sulajh jaayega. 19  main israel ke aman-pasand aur vishvasyogya logon ki taraf se baat kar rahi hoon. tu aisa shehar kyon naash karna chahta hai jo israel mein bahot khaas hai? kyon yahova ki di hui virasat mitana* chahta hai?”+ 20  yoab ne kaha, “main is shehar ko mitane, ise naash karne ki baat soch bhi nahin sakta. 21  mera aisa koi irada nahin. darasal, sheeba+ naam ke aadmi ne, jo epraim ke pahadi pradesh+ ka rehnevala aur bikri ka beta hai, raja daavid se bagavat ki hai.* woh tumhare shehar mein ghus aaya hai. agar tum log use mere havale kar do to main shehar chhodkar chala jaaunga.” tab aurat ne yoab se kaha, “theek hai, uska sir kaatkar deevar ke baahar tere paas feink diya jaayega!” 22  us buddhiman aurat ne fauran jaakaar shehar ke sab logon ko yah baat batayi. unhonne bikri ke bete sheeba ka sir kaat liya aur yoab ke paas feink diya. fir yoab ne narsinga foonka aur uske sabhi aadmi shehar chhodkar chale gaye aur apne-apne ghar laut gaye.+ aur yoab raja ke paas yarooshalem laut aaya. 23  yoab israel ki poori sena ka senapati tha.+ yahoyada+ ka beta banayah,+ kareti aur paleti logon ka adhikari tha.+ 24  adoram+ jabran mazdoori karnevalon ka adhikari tha. aheelood ka beta yahoshapat+ shaahi itihaskar tha. 25  sheva raaj-sachiv tha aur saadok+ aur abiyatar+ yaajak the. 26  yaair ke khaandan ka ira bhi daavid ka ek khaas mantri bana.

kai footnote

ya shaayad, “tamboo ko.”
shaa., “apne maalik ke sevkon.”
mumkin hai ki yah abeeshai tha.
shaa., “woh.”
shaa., “nigal jaana.”
shaa., “ke khilaf haath uthaya hai.”