doosra shamooel 22:1-51

  • daavid ne parmeshvar ki taareef ki (1-51)

    • ‘yahova mere liye badi chattan hai’ (2)

    • yahova, vafadar logon ka vafadar (26)

22  yah geet daavid ne yahova ke liye tab gaaya+ jab yahova ne use sabhi dushmanon se aur shaaool ke haath se chhudaya.+  daavid ne kaha, “yahova mere liye badi chattan aur mazboot gadh hai,+ vahi mera chhudanevala hai.+   mera parmeshvar meri chattan hai+ jiski main panah leta hoon,woh meri dhaal+ aur mera uddhaar* ka sing* hai, mera uncha gadh hai,+woh mere liye aisi jagah hai jahaan main bhaagkar jaa sakta hoon,+ woh mera uddharkarta hai.+tu hi mujhe zulm se bachata hai.   main yahova ko pukarta hoon jo taareef ke kaabil haiaur mujhe dushmanon se bachaya jaayega.   maut ki lehron ne mujhe chaaron taraf se aa ghera,+nikamme aadmiyon ne achanak aanevali baadh ki tarah mujhe dara diya.+   kabraa ke rasson ne mujhe gher liya,+mere saamne maut ke fande bichhaye gaye.+   museebat mein mainne yahova ko pukara,+apne parmeshvar ko main pukarta raha. tab apne mandir se usne meri suni,meri madad ki pukar uske kaanon tak pahunchi.+   dharti kaanpne lagi, buri tarah dolne lagi,+aakash ki ninv hil gayi,+usmein bhayanak halchal hui kyonki uska krodh bhadak utha tha.+   uske nathnon se dhuaan uthne laga,munh se bhasm karnevali aag nikalane lagi,+uske paas se dahakte angare barasne lage. 10  neeche utarte vakt usne aasman jhuka diya,+kaali ghatayen uske pairon tale aa gayin.+ 11  woh ek karoob par savaar hokar+ udta hua aaya. woh ek swargdoot*+ ke pankhon par dikhayi diya. 12  fir usne kaali ghanghor ghataon ko,unke andhkar ko apna mandap banaya.+ 13  uske saamne aisa tej tha ki dhadhakte angare nikaal rahe the. 14  fir swarg se yahova garajne laga,+param-pradhan ne apni buland aavaz sunayi.+ 15  usne teer chalakar+ unhein titar-bitar kar diya,bijli chamkakar unmein khalbli macha di.+ 16  jab yahova ne daant lagayi aur uske nathnon se funkar nikli,+to samundar ka tal nazar aane laga,+dharti ki buniyad tak dikhne lagi. 17  usne oopar se haath badhakar mujhe thaam liya,gehre paani se khinchkar baahar nikaal liya.+ 18  usne mujhe taakatvar dushman se chhudaya,+un logon se jo mujhse nafrat karte the, mujhse zyada taakatvar the. 19  woh meri museebat ke din mujh par toot pade,+lekin yahova mera sahara tha. 20  woh mujhe nikaalkar ek mehfooz* jagah le aaya,+usne mujhe dushmanon se chhudaya kyonki woh mujhse khush tha.+ 21  yahova meri neki ke mutabik mujhe fal deta hai,+meri begunahi* ke mutabik inam deta hai.+ 22  kyonki main hamesha yahova ki raahon par chalta raha,mainne apne parmeshvar se door jaane ki dushtata nahin ki. 23  uske sabhi nyay-siddhaant+ mere saamne hain,main kabhi uski vidhiyon se hatkar door nahin jaaunga.+ 24  main uski nazron mein nirdosh bana rahoonga,+main hamesha khud ko burai se door rakhoonga.+ 25  yahova meri neki ke mutabik mujhe fal de,+meri begunahi ke mutabik inam de jo usne apni aankhon se dekhi hai.+ 26  jo vafadar rehta hai uske saath tu vafadari nibhata hai+jo seedha hai uske saath tu seedhai se pesh aata hai,+ 27  jo khud ko shuddh banaye rakhta hai use tu dikhayega ki tu shuddh hai,+magar jo tedhi chaal chalta hai uske saath tu hoshiyari* se kaam leta hai.+ 28  tu namra logon ko bachata hai,+lekin magrooron se tu apni aankhein fer leta hai, unhein neeche girata hai.+ 29  hey yahova, tu mera deepak hai,+yahova hi mere andhere ko ujala karta hai.+ 30  teri madad se main lutere-dal ka mukabla kar sakta hoon,parmeshvar ki taakat se main deevar laangh sakta hoon.+ 31  sachche parmeshvar ka kaam khara* hai,+yahova ka vachan poori tarah shuddh hai.+ woh uski panah lenevalon ke liye ek dhaal hai.+ 32  yahova ko chhod aur kaun parmeshvar hai?+ hamare parmeshvar ke siva aur kaun chattan hai?+ 33  sachcha parmeshvar mera mazboot kila hai,+woh mere liye seedhi* raah nikaalega.+ 34  woh mere pairon ko hiran ke pairon jaisa banata hai,mujhe unchi-unchi jagahon par khada karta hai.+ 35  woh mere haathon ko yuddh ka kaushal sikhata hai,mere baazoo tambe ki kaman mod sakte hain. 36  tu mujhe apni uddhaar ki dhaal deta hai,teri namrata mujhe uncha uthati hai.+ 37  tu mere kadmon ke liye raasta chauda karta hai,mere pair* nahin fisleinge.+ 38  main apne dushmanon ka peechha karoonga aur unhein naash kar doonga,main unhein mitakar hi lautoonga. 39  main unhein mita doonga, unhein kuchal doonga taaki woh uth na sakein,+woh mere pairon tale gir jaayenge. 40  tu mujhe taakat dekar yuddh ke kaabil banayega,+mere dushmanon ko mere kadmon ke neeche kar dega.+ 41  tu mere dushmanon ko mujhse door bhaagne par majboor karega,*+mujhse nafrat karnevalon ka main ant kar doonga.+ 42  woh madad ke liye pukarte hain, magar unhein bachanevala koi nahin,woh yahova ko bhi pukarte hain, magar woh unhein javab nahin deta.+ 43  main unhein kootkar zameen ki dhool bana doonga,unhein choor-choor kar doonga aur raundkar galiyon ka keechad bana doonga. 44  tu mujhe mere apne logon ke virodh se bhi bachayega,+ tu meri hifazat karega taaki main raashtron ka mukhiya banoon,+jin logon ko main jaanta tak nahin woh meri seva kareinge.+ 45  pardesi darte-kaanpte mere saamne aayenge,+woh mere baare mein jo sunte hain, woh unhein udhaarega ki meri aagya maanein. 46  pardesi himmat haar jaayenge,*apne kilon se thartharate huye baahar nikleinge. 47  yahova jeevit parmeshvar hai! meri chattan ki taareef ho!+ parmeshvar jo mere uddhaar ki chattan hai, uski badai ho!+ 48  sachcha parmeshvar meri taraf se badla leta hai,+desh-desh ke logon ko mere adheen kar deta hai,+ 49  woh mujhe dushmanon se chhudata hai. tu mujhe mere hamlavaron se uncha uthata hai,+mujhe zulmi ke haath se bachata hai.+ 50  iseeliye hey yahova, main raashtron ke beech tera shukriya ada karoonga,+tere naam ki taareef mein geet gaaunga:*+ 51  parmeshvar shaandar tareeke se apne raja ka uddhaar karta hai,*+woh apne abhishikt jan se,daavid aur uske vansh se sada pyar* karta hai.”+

kai footnote

ya “mere taakatvar uddharkarta.”
shabdavli dekhein.
ya “hava.”
ya “khuli.”
shaa., “shuddhta.”
ya shaayad, “naasamjhee.”
ya “paripoorna.”
ya “paripoorna.”
ya “takhne.”
ya “tu mujhe mere dushmanon ki peeth de dega.”
ya “murjha jaayenge.”
ya “sangeet bajaunga.”
ya “parmeshvar apne raja ke liye badi-badi jeet dilata hai.”
ya “atal pyar.”