doosra shamooel 23:1-39

  • daavid ke aakhiri shabd (1-7)

  • daavid ke veer yoddhaon ke kaarname (8-39)

23  daavid ne aakhir mein jo shabd kahe woh ye hain:+ “ye bol yishai ke bete daavid+ ke hain,us aadmi ke, jise uncha uthaya gaya,+jo yakub ke parmeshvar ka abhishikt jan+aur israel mein madhur gaayak* hai.+   yahova ki pavitra shakti ne mere zariye baat ki.+uska vachan meri zaban par tha.+   israel ke parmeshvar ne,israel ki chattan+ ne mujhse kaha,‘jab insanon par raaj karnevala nek hota hai+parmeshvar ka dar maankar raaj karta hai,+   to uska raaj subah ke ujale jaisa hota hai,+jab sooraj khule aasman mein chamakta hai. uska raaj baarish ke baad nikaalnevali dhoop jaisa hota hai,jisse zameen par hari-hari ghaas ug aati hai.’+   kya mera gharana parmeshvar ki nazar mein bilkul aisa hi nahin? usne mere saath sada ka karar kiya hai,+jo bade kaayde se taiyar kiya gaya hai aur kabhi nahin toda jaayega. yah karar mujhe poori tarah uddhaar dilayega aur saari khushiyaan dega,kya yahi vajah nahin ki woh mere gharane ko badhata hai?+   magar sabhi nikamme aadmiyon ko kanteeli jhaadiyon ki tarah feink diya jaata hai.+unhein haathon se nahin uthaya jaa sakta.   unhein uthane ke liye lohe ka auzar aur bhaala hona zaroori hai,unhein unki jagah par aag se poori tarah jala dena chahiye.”  daavid ke veer yoddhaon ke naam ye hain:+ tahak-moni yosheb-bashebet jo teen soormaon mein mukhiya tha.+ ek baar usne apne bhaale se 800 se zyada dushmanon ko maar giraya tha.  agla soorma tha eliazar,+ jo dodo+ ka beta aur ahohi ka pota tha. ek baar jab palishti israel se yuddh karne aaye, to daavid ke teen soorma uske saath the aur inhonne palishtiyon ko lalkara tha. eliazar unmein se ek tha. ladai ke vakt israeli sainik bhaag gaye, 10  magar eliazar maidan mein data raha. woh palishtiyon ko tab tak maar girata raha jab tak ki uska haath thak nahin gaya aur uski mutthi talvar par jam na gayi.+ us din yahova ne israeliyon ko shaandar jeet dilayi.*+ fir maare gaye logon ki cheezen lootne ke liye israeli sainik eliazar ke paas laut aaye. 11  agla soorma tha shammah. woh harari aagi ka beta tha. ek baar palishti israeliyon se yuddh karne lahi mein ikattha huye, jahaan masoor ka ek khet tha. log palishtiyon ko dekhkar bhaag gaye, 12  magar shammah khet ke beechon-beech khada uski raksha karta raha aur palishtiyon ko maar girata raha. isliye yahova ne israeliyon ko badi jeet dilayi.*+ 13  daavid ki sena ke 30 mukhiyaon mein se teen aadmi katai ke dinon mein adullam ki gufa mein gaye jahaan daavid tha.+ palishtiyon ki ek tukdi* rapai ghaati mein chhaavni daale hui thi.+ 14  us vakt daavid ek mehfooz jagah par tha+ aur palishtiyon ki ek chauki betlehem mein thi. 15  tab daavid ne kaha, “kaash! mujhe betlehem ke faatakvale kund se thoda paani peene ko mil jaata!” 16  tab uske teen soorma palishti sena ko cheerkar unki chhaavni mein ghus gaye aur unhonne betlehem ke faatakvale kund se paani nikaala aur daavid ke paas le aaye. magar daavid ne paani peene se inkar kar diya aur yahova ke saamne undel diya.+ 17  usne kaha, “hey yahova, main yah paani peene ki soch bhi nahin sakta. main in aadmiyon ka khoon kaise pi sakta hoon+ jinhonne apni jaan jokhim mein daal di thi?” iseeliye daavid ne woh paani peene se inkar kar diya. uske teen soormaon ne ye bade-bade kaam kiye the. 18  abeeshai,+ jo yoab ka bhaai aur sarooyah ka beta tha,+ teen aur yoddhaon ka adhikari tha. usne apne bhaale se 300 se bhi zyada dushmanon ko maar giraya tha. woh bhi un teen yoddhaon jitna mashhoor tha.+ 19  haalanki woh un teen yoddhaon se zyada kushal tha aur unka mukhiya tha, fir bhi woh pehale teen soormaon ke barbar nahin pahuncha. 20  yahoyada ka beta banayah+ bhi ek diler sainik tha.* usne kabsel+ mein kai bahaduri ke kaam kiye the. usne moab ke rehnevale ariel ke do beton ko maar giraya aur ek din jab bahot barf pad rahi thi to usne ek sookhe haud ke andar jaakaar ek sher ko maar daala.+ 21  usne ek misri aadmi ko bhi maar daala tha jo bahot hi unchi kad-kaathi ka tha. us misri ke haath mein bhaala tha jabki banayah ke haath mein sirf ek danda tha. banayah ne uska bhaala chheen liya aur usi ke bhaale se use maar daala. 22  yahoyada ke bete banayah ne ye bade-bade kaam kiye the. woh un teen soormaon jitna mashhoor tha. 23  haalanki woh tees yoddhaon se zyada kushal tha, fir bhi woh un teen soormaon ke barbar nahin pahuncha. lekin daavid ne banayah ko hi apne angrakshakon ka adhikari thehraya. 24  ye aadmi daavid ke tees veer yoddhaon mein se the: yoab ka bhaai asahel,+ betlehem ke rehnevale dodo ka beta elhanan,+ 25  harod ka rehnevala shammah, harod ka rehnevala eleeka, 26  paaleti heles,+ takoa ke rehnevale ikkesh ka beta ira,+ 27  anatot+ ka rehnevala abiejer,+ hooshai mabunne, 28  ahohi ke gharane ka zalmon, natopa ka rehnevala mahrai,+ 29  natopa ke rehnevale baanah ka beta heleb, binyameen gotra ke giba ke rehnevale reebai ka beta ittai, 30  piraton ka rehnevala banayah,+ gaash+ ki ghaatiyon* ka rehnevala hiddai, 31  bet-arba ka rehnevala abee-albon, barhoomi ka rehnevala azmavet, 32  shaalaboni eleeyaba, yaashen ke bete, yonatan, 33  harari shammah, harari shaarar ka beta aheeam, 34  ek maakati aadmi ke bete ahasabai ka beta eleepelet, geelo ke rehnevale aheetopel+ ka beta eleeam, 35  karmel ka rehnevala hesro, arab shehar ka rehnevala paarai, 36  soba ke rehnevale naatan ka beta yigal, gaad gotra ka baani, 37  ammoni selek, baerot ka rehnevala nahrai jo sarooyah ke bete yoab ka hathiyar dhonevala sainik tha, 38  yitri ira, yitri gaareb+ 39  aur hitti uriyah.+ daavid ke veer yoddhaon ki kul ginti 37 thi.

kai footnote

ya “pyara jan.”
ya “uddhaar dilaya.”
ya “uddhaar dilaya.”
ya “basti.”
shaa., “ek veer ka beta tha.”
shabdavli dekhein.