doosra shamooel 4:1-12

  • ishboshet ka katla (1-8)

  • daavid ne kaatilon ko marvaya (9-12)

4  jab shaaool ke bete ishboshet*+ ne suna ki hebron mein abner ki maut ho gayi hai,+ to uski himmat toot gayi* aur sabhi israeliyon mein tahalka mach gaya.  shaaool ke bete ke lutere-dalon ke do sardar the, ek ka naam baanah tha aur doosre ka rekab. woh donon rimmon ke bete the, jo binyameen gotra ka tha aur baerot ka rehnevala tha. (baerot+ bhi binyameen ke ilake ka hissa maana jaata tha.  baerot ke log gittaim+ bhaag gaye the aur woh aaj tak vahaan pardesi bankar reh rahe hain.)  shaaool ke bete yonatan+ ka ek beta tha jo pairon se laachar* tha.+ uska naam mapeeboshet tha. mapeeboshet paanch saal ka tha jab yijrel+ se khabar aayi thi ki shaaool aur yonatan maare gaye hain. yah khabar sunkar uski dhaai bahot ghabra gayi thi aur jab woh jaldi mein mapeeboshet ko uthakar bhaag rahi thi to woh uske haath se gir gaya aur langda ho gaya.+  baeroti rimmon ke bete rekab aur baanah dopahar ke vakt, jab bahot garmi hoti hai, ishboshet ke ghar gaye. ishboshet ghar mein aaram kar raha tha.  woh donon ghar ke andar aise gaye maano gehoon lene aaye hon. fir unhonne+ ishboshet ke pet mein chhura ghonp diya aur vahaan se bhaag gaye.  jab woh donon ghar ke andar gaye the tab ishboshet apne sone ke kamre mein bistar par leta hua tha. vahin un donon ne use maar daala aur uska sir kaat liya. woh uska sir lekar poori raat arba jaanevale raaste par chalte huye  hebron pahunche. woh ishboshet+ ka sir lekar raja daavid ke paas aaye aur usse kehne lage, “dekh, yah tere jaani dushman shaaool+ ke bete ishboshet ka sir hai! aaj yahova ne hamare maalik raja ki taraf se shaaool aur uske vanshajon se badla liya hai.”  lekin daavid ne baeroti rimmon ke beton rekab aur baanah se kaha, “yahova ke jeevan ki shapath, jisne mujhe har museebat se bachaya hai,+ 10  jab siklag mein kisi ne aakaar mujhe khabar di thi ki shaaool mar gaya hai+ aur usne socha ki woh mujhe khushkhabri de raha hai, to mainne use pakadkar maar daala.+ us khabar denevale ko mainne yahi inam diya! 11  to fir kya un dushton ko aur bhi badi saza nahin milni chahiye jinhonne ek nek insan ko usi ke ghar mein ghuskar bistar par maar daala? kya yah sahi nahin hoga ki main tum donon se uske khoon ka hisab loon+ aur tumhein dharti se mita doon?” 12  fir daavid ne apne javanon ko hukm diya ki woh un donon ko maar daalein.+ unhonne un donon ko maar daala, unke haath-pair kaat daale aur unki laashein hebron mein taalab ke paas latka di.+ magar unhonne ishboshet ka sir liya aur use hebron mein abner ki kabraa mein dafna diya.

kai footnote

shaa., “shaaool ke bete.”
shaa., “uske haath dheele pad gaye.”
ya “langda.”