thisslunikiyon ke naam doosri chitthi 1:1-12
1 paulus, silvanus* aur timuthiyus+ thisslunikiyon ki mandli ko likh rahe hain, jo parmeshvar hamare pita aur prabhu yeeshu maseeh ke saath ekta mein hai:
2 tumhein parmeshvar hamare pita ki taraf se aur prabhu yeeshu maseeh ki taraf se maha-kripa aur shaanti mile.
3 bhaaiyo, hamara farz banta hai ki hum tumhare liye hamesha parmeshvar ka dhanyavad karein. aisa karna sahi bhi hai kyonki tumhara vishvas tezee se badhta jaa raha hai aur ek-doosre ke liye tum sabka pyar bhi badhta jaa raha hai.+
4 is vajah se hum parmeshvar ki mandliyon mein tum par garv karte hain+ kyonki tum itne zulm aur mushkilein* jhelte huye dheeraj dhar rahe ho aur vishvas mein mazboot bane huye ho.+
5 yah parmeshvar ke sachche nyay ka saboot hai aur is vajah se tum parmeshvar ke raaj ke yogya samjhe jaaoge, jiske liye asal mein tum dukh utha rahe ho.+
6 vaakai parmeshvar ki nazar mein yah sahi hai ki jo tum par sankat le aate hain, badle mein woh un par sankat le aaye.+
7 magar tum log jo sankat jhel rahe ho, tumhein hamare saath us vakt raahat de jab prabhu yeeshu apne shaktishali dooton ke saath dhadhakti aag mein swarg se prakat hoga.+
8 woh un logon se badla lega jo parmeshvar ko nahin jaante aur hamare prabhu yeeshu ke baare mein khushkhabri ke mutabik nahin chalte.+
9 unhein prabhu ke saamne se aur uski shakti ke tej se door kar diya jaayega aur unhein saza dekar hamesha ke liye naash kar diya jaayega.+
10 yah us vakt hoga jab woh apne pavitra janon ke saath mahima paane ke liye aayega aur us din woh sabhi uski taareef kareinge jinhonne us par vishvas kiya hai, kyonki hamne jo gavahi di thi us par tumne vishvas kiya hai.
11 isi vajah se hum tumhare liye hamesha prarthna karte hain ki hamara parmeshvar tumhein uske bulave ke yogya samjhe+ aur apni shakti se woh jo-jo bhalai karna chahta hai woh sab kare aur tum vishvas ki vajah se jitne kaam karte ho unhein safal kare.
12 aisa isliye ho taaki hamare parmeshvar aur prabhu yeeshu maseeh ki maha-kripa ke mutabik, hamare prabhu yeeshu ka naam tumhare zariye mahima paaye aur tum uske saath ekta mein mahima paao.