thisslunikiyon ke naam doosri chitthi 2:1-17

  • paapi (1-12)

  • mazboot bane rehne ka badhava (13-17)

2  magar bhaaiyo, jahaan tak hamare prabhu yeeshu maseeh ki maujoodgi+ aur uske saath hamare ikattha hone ki baat hai,+ hum tumse guzarish karte hain  ki agar koi kahe ki yahova* ka din+ aa gaya hai to utavli mein aakaar apni samajh-boojh mat kho baithna, na hi ghabra jaana, fir chahe koi daava kare ki yah baat ishvar-prerna se pata chali hai,+ chahe yah koi zabani sandesh ho ya aisi chitthi mein likhi baat ho jo hamari taraf se lage.  koi tumhein kisi tarah gumrah na kare* kyonki woh din tab tak nahin aayega, jab tak ki pehale parmeshvar se bagavat* na ki jaaye+ aur woh paapi+ yaani vinash ka beta prakat na kiya jaaye.+  woh virodh karta hai aur ishvar kehlanevale har kisi se aur upasna ki jaanevali har cheez* se khud ko uncha uthata hai aur is tarah woh ishvar ke mandir mein baithkar sabke saamne khud ko ishvar batata hai.  kya tumhein yaad nahin ki jab main tumhare saath tha, tab main tumhein bataya karta tha ki yah sab hoga?  ab tum jaante ho ki kaun use roke huye hai taaki vakt aane par hi use prakat kiya jaaye.  yah sach hai ki us paapi ki burai ek rehasya hai jo abhi se shuroo ho chuki hai,+ magar yah burai sirf tab tak ek rehasya rahegi jab tak ki ise roknevala hat nahin jaata jo abhi ise roke huye hai.  iske baad, woh paapi vaakai saamne aa jaayega aur jab prabhu yeeshu apni maujoodgi zahir karega+ tab woh us paapi ko apni munh ki foonk se mita dega+ aur use bhasm kar dega.  magar us paapi ka maujood hona shaitan ki taraf se hai.+ woh paapi har tarah ke shaktishali kaam, jhoothe chinh aur chamatkar+ 10  aur har tarah ki burai aur chhal ke kaam karega.+ aur isse woh dhokha khaayenge jo naash ki taraf badh rahe hain. yahi unki saza hai kyonki unhonne sachchai se pyar nahin kiya ki woh uddhaar paayen. 11  isi vajah se parmeshvar unhein jhoothi shikshaon se behakne deta hai taaki woh jhooth par yakeen karein+ 12  aur un sabko saza di jaaye kyonki unhonne sachchai par yakeen nahin kiya balki burai se khushi paayi. 13  lekin bhaaiyo, tum jo yahova* ke pyare ho, tumhare liye hamesha parmeshvar ka dhanyavad karna hamara farz banta hai, kyonki parmeshvar ne tumhein shuroo se chun liya.+ usne apni pavitra shakti se tumhein shuddh karne ke zariye+ aur sachchai par tumhare vishvas ki vajah se tumhein uddhaar ke liye chuna hai. 14  aur us khushkhabri ke zariye tumhein bulaya hai jo hum sunate hain taaki tum hamare prabhu yeeshu maseeh ki mahima paao.+ 15  isliye bhaaiyo, mazboot khade raho+ aur jo baatein* tumhein sikhayi gayi thi unhein maante raho,+ chahe woh tumhein zabani taur par sikhayi gayi thi ya hamari chitthi ke zariye. 16  hamara prabhu yeeshu maseeh aur hamara pita yaani parmeshvar jisne hamse pyar kiya+ aur apni maha-kripa ke zariye hamein sada kaayam rehnevala dilasa diya hai aur ek shaandar aasha di hai,+ 17  woh donon tumhare dilon ko dilasa dein aur tumhein har achhe kaam aur vachan ke liye mazboot karein.

kai footnote

ati. ka5 dekhein.
ya “behka na de.”
ya “sachchi upasna se munh mod lena.”
ya “shraddha ki har cheez.”
ati. ka5 dekhein.
ya “dastoor.”