timuthiyus ke naam doosri chitthi 1:1-18

  • namaskar (1, 2)

  • paulus, timuthiyus ke vishvas ke liye parmeshvar ka ehsanmand (3-5)

  • parmeshvar ke vardan ko jvala ki tarah jalaye rakh (6-11)

  • khari shikshaon ko thaame reh (12-14)

  • paulus ke dushman aur dost (15-18)

1  main paulus, jo parmeshvar ki marzee se maseeh yeeshu ka ek preshit hoon aur jise maseeh yeeshu ke zariye milnevali zindagi ke vaade ka prachar karne ke liye thehraya gaya hai,+  apne pyare bete timuthiyus+ ke naam yah chitthi likh raha hoon: parmeshvar hamare pita aur hamare prabhu maseeh yeeshu ki maha-kripa, daya aur shaanti tujh par ho.  main parmeshvar ka ehsanmand hoon, jiski pavitra seva main apne purkhon ki tarah aur saaf zameer ke saath karta hoon ki main apni minnaton mein tujhe raat-din yaad karta hoon.  main tere aansuon ko yaad karke tujhe dekhne ke liye taras raha hoon taaki tujhse milkar khushi se bhar jaaun.  main tera vishvas hamesha yaad karta hoon jismein koi kapat nahin.+ aisa hi vishvas pehale teri naani lois aur teri maa yooneeke mein tha aur ab mujhe yakeen hai ki tujhmein bhi hai.  isi vajah se main tujhe yaad dilata hoon ki parmeshvar ka jo vardan tujhe mere haath rakhne se mila tha, use tu ek jvala ki tarah jalaye rakh.+  isliye ki parmeshvar ne hamein kaayarta ka rujhan nahin diya+ balki shakti,+ pyar aur sahi soch rakhne ka rujhan diya hai.  isliye tu na to hamare prabhu ki gavahi dene se sharminda ho,+ na meri vajah se jo uski khaatir kaid mein hai. iske bajay parmeshvar ki shakti par bharosa rakhte huye+ khushkhabri ke liye dukh jhelne ko taiyar reh.+  usne hamein bachaya hai aur pavitra bulva diya hai.+ magar yah bulva hamein apne kaamon ki vajah se nahin, balki isliye mila hai kyonki yah parmeshvar ka maksad tha aur usne hum par maha-kripa ki thi.+ usne hum par yah maha-kripa maseeh yeeshu ki vajah se muddaton pehale ki thi. 10  magar ab hamare uddharkarta maseeh yeeshu ke prakat hone ki vajah se is maha-kripa ke baare mein hamein saaf samajh di gayi hai.+ usne maut ko mita diya+ aur khushkhabri ke zariye+ is baat par raushni daali hai ki jeevan+ aur anashvarta+ kaise milegi. 11  yahi khushkhabri sunane ke liye mujhe ek pracharak, preshit aur shikshak thehraya gaya hai.+ 12  isi vajah se main ye saare dukh utha raha hoon,+ magar main sharminda nahin hoon.+ kyonki mainne jis par yakeen kiya hai use main jaanta hoon. aur mujhe poora bharosa hai ki mainne use jo amanat saunpi hai uski woh us din tak hifazat karne ke kaabil hai.+ 13  jo khari* shikshayen+ toone mujhse suni hain unke namoone* ko us vishvas aur pyar se thaame reh, jo maseeh yeeshu ke saath ekta mein rehne ki vajah se paida hota hai. 14  pavitra shakti ke zariye, jo hammein nivas karti hai, is anmol amanat ki hifazat kar.+ 15  tu jaanta hai ki asia praant ke sab logon ne+ mujhse kinara kar liya hai. foogilus aur hirmugines bhi unmein se hain. 16  unesifurus ke gharane+ par prabhu ki daya bani rahe kyonki usne kai baar mere ji ko taro-taaza kiya hai aur woh meri zanjeeron ki vajah se sharminda nahin hua. 17  iske bajay, jab woh rom mein tha to usne bade jatan se mujhe dhoondha aur woh mujhse mila. 18  meri dua hai ki prabhu yahova* us din us par daya kare. tu achhi tarah jaanta hai ki usne ifisus mein meri kya-kya seva ki.

kai footnote

ya “swasthyakar; faaydemand.”
ya “roop-rekha.”
ati. ka5 dekhein.