yuhanna ki doosri chitthi 1:1-13

  • namaskar (1-3)

  • sachchai ki raah par chalte raho (4-6)

  • dhokhebazon se khabardar (7-11)

    • namaskar bhi mat karna (10, 11)

  • unse milne ki ummeed aur namaskar (12, 13)

 is buzurg* ki taraf se yah chitthi chuni hui aurat aur uske bachchon ke liye hai, jinse main sachmuch pyar karta hoon aur sirf main hi nahin balki woh sabhi unse pyar karte hain jo sachchai ko jaan gaye hain.  hum tumse isliye pyar karte hain kyonki sachchai hamare dil mein hai aur hamesha rahegi.  parmeshvar yaani hamare pita aur pita ke bete yeeshu maseeh ki taraf se maha-kripa, daya aur shaanti hamein milti rahegi, saath hi sachchai aur pyar bhi milta rahega.  mujhe yah jaankar bahot khushi hui ki tere kuch bachche sachchai ki raah par chal rahe hain,+ theek jaise hamein pita ki taraf se aagya mili hai.  isliye hey aurat, main tujhse is aagya ko maanne ki guzarish karta hoon ki hum ek-doosre se pyar karein. (main tujhe koi nayi aagya nahin likh raha balki vahi aagya likh raha hoon jo hamare paas shuroo se thi.)+  pyar ka matlab yah hai ki hum pita ki aagyaon par chalte rahein.+ theek jaisa tumne shuroo se suna hai, uski aagya yahi hai ki tum pyar ki raah par chalte raho.  isliye ki duniya mein bahot-se dhokha denevale nikaal pade hain.+ woh yah sweekar nahin karte ki yeeshu maseeh haad-maans ka insan bankar aaya tha.+ jo is baat ko sweekar nahin karta, vahi dhokhebaz aur maseeh ka virodhi hai.+  tum khud par nazar rakho taaki woh cheezen kho na do jo hamne bahot mehnat karke paida ki hain. iske bajay, tum poora inam paao.+  har koi jo maseeh ki shikshaon ke daayre se baahar nikaal jaata hai aur unhein maanna chhod deta hai, use parmeshvar manzoor nahin karta.+ jo koi uski shikshaon ko maanta rehta hai, usi ko pita aur beta donon manzoor karte hain.+ 10  agar koi tumhare paas aata hai aur yah shiksha nahin deta, to aise insan ko apne ghar mein kabhi mat aane dena,+ na hi use namaskar karna. 11  jo use namaskar karta hai woh uske dusht kaamon mein hissedar banta hai. 12  haalanki mujhe bahot saari baatein likhni hain magar main nahin chahta ki sabkuch syahi se kaagaz par likh doon, balki ummeed karta hoon ki main tumhare paas aaun aur aamne-saamne tumse baat karoon taaki tumhari khushi aur bhi badh jaaye. 13  teri behen jo chuni hui hai uske bachche tujhe namaskar kehte hain.

kai footnote

ya “pracheen.”