yuhanna ki teesri chitthi 1:1-14

  • namaskar aur prarthna (1-4)

  • gayus ki taareef (5-8)

  • diyutrifes mein bada banne ka junoon (9, 10)

  • demetriyus ki taareef (11, 12)

  • unse milne ki ummeed aur namaskar (13, 14)

 is buzurg* ki taraf se yah chitthi pyare gayus ke liye hai jise main sachmuch pyar karta hoon.  pyare gayus, main prarthna karta hoon ki aaj jaise teri zindagi khushhal hai, vaise hi tu har tarah se khushhal rahe aur sehatmand rahe.  jab bhaaiyon ne aakaar mujhe gavahi di ki tu sachchai ko thaame huye hai, to mujhe behad khushi hui. tu vaakai sachchai ki raah par chal raha hai.+  mujhe isse zyada kis baat se khushi mil sakti hai* ki main yah sunoon ki mere bachche sachchai ki raah par chal rahe hain.+  pyare bhaai, yah teri vafadari ka saboot hai ki tu bhaaiyon ke liye bahot kuch kar raha hai, iske baavjood ki tu unhein pehale se nahin jaanta.+  in bhaaiyon ne mandli ke saamne tere pyar ki gavahi di hai. meharbani karke tu unhein safar ke liye is tarah vida kar ki parmeshvar khush ho.+  kyonki woh usi ke naam ki khaatir nikle hain aur duniya ke logon se kuch nahin lete.+  isliye hamara farz banta hai ki hum aise bhaaiyon ka aadar-satkar karein+ taaki hum sachchai failane mein unke sahkarmi banein.+  mainne mandli ko kuch likha tha, magar diyutrifes jo mandli mein sabse bada banna chahta hai,+ woh hamari kisi bhi baat ki izzat nahin karta.+ 10  isliye agar main aaya to uski kartooton par dhyan doonga kyonki woh hamein badnam karne ke liye hamare baare mein buri-buri baatein faila raha hai.*+ aur yah sab karke bhi use chain nahin. woh khud kabhi bhaaiyon ka aadar-satkar nahin karta+ aur jo aisa karna chahte hain, unhein rokne aur mandli se bedakhal karne ki koshish karta hai. 11  pyare bhaai, buri misalon par nahin achhi misalon par chal.+ jo bhala karta hai woh parmeshvar ki taraf se hai.+ lekin jo bura karta hai usne parmeshvar ko nahin dekha.+ 12  sabhi bhaai demetriyus ki taareef karte hain aur jis tarah woh sachchai ke mutabik ji raha hai usse bhi yahi saabit hota hai. darasal, hum bhi uske baare mein yahi gavahi dete hain aur tu jaanta hai ki hamari gavahi sachchi hai. 13  main tujhe bahot-si baatein likhna chahta tha, magar main nahin chahta ki sabkuch syahi aur kalam se likhoon. 14  mujhe ummeed hai ki main bahot jald aakaar tujhse miloonga aur tab hum aamne-saamne baithkar baat kareinge. meri dua hai ki tujhe shaanti mile. yahaan ke sabhi dost tujhe namaskar kehte hain. vahaan ke ek-ek dost ko mera namaskar kehna.

kai footnote

ya “pracheen.”
ya shaayad, “shukraguzar ho sakta hoon.”
shaa., “hamare baare mein buri baatein kah raha hai, bakbak kar raha hai.”