aamos 2:1-16

  • baar-baar bagavat karne ki saza (1-16)

2  yahova kehta hai,‘“moab ke baar-baar bagavat* karne+ ki vajah se main saza dene se peechhe nahin hatoonga,kyonki usne choone ke liye edom ke raja ki haddiyaan jala di.   isliye main moab par aag bhejoonga,jo kariyot ki kileband meenaron ko bhasm kar degi,+jab chaaron taraf shorgul hoga, yuddh ki lalkar aur narsinge ki aavaz sunayi degi,tab moab mar jaayega.+   main uske beech se shaasak* ko hata doonga,uske saath uske sabhi haakimon ko maar daaloonga.”+ yah baat yahova ne kahi hai.’   yahova kehta hai,‘yahooda ke baar-baar bagavat karne+ ki vajah se main saza dene se peechhe nahin hatoonga,kyonki unhonne yahova ka kaanoon* thukra diya,uske niyamon ka paalan nahin kiya.+iske bajay woh unhin jhoothi baaton se gumrah ho gaye jo unke baap-daade maante the.+   isliye main yahooda par aag bhejoonga,jo yarooshalem ki kileband meenaron ko bhasm kar degi.’+   yahova kehta hai,‘israel ke baar-baar bagavat karne+ ki vajah se main saza dene se peechhe nahin hatoonga,kyonki woh chaandi ke liye nek jan koaur ek jodi jooti ke liye gareeb ko bech dete hain.+   woh museebat ke maaron ka sir dhool mein raund dete hain,+deenon ka raasta rok dete hain.+ baap-beta, donon ek hi ladki ke saath sambandh rakhte hainaur mere pavitra naam ka apman karte hain.   woh girvi ke liye kapde zabt karte hain+ aur har vedi+ ke saamne bichhakar pasar jaate hain,jurmane ke paise se daakh-madira khareedkar apne devtaon ke mandir mein peete hain.’   ‘magar mainne hi unke saamne se emori ko naash kiya tha,+jo devdaron jitna lamba aur baanj ke pedon jitna mazboot tha,mainne oopar se uske fal aur neeche se uski jadein naash kar di thi.+ 10  main tumhein misra se nikaal laaya tha,+40 saal veerane se chalakar laaya tha+taaki tum emoriyon ke desh par kabza kar sako. 11  mainne tumhare kuch beton ko bhavishyavaktaaur kuch javanon ko naazeer thehraya tha.+ hey israel ke logo, kya mainne aisa nahin kiya tha?’ yahova ka yah ailan hai. 12  ‘magar tum log naazeeron ko daakh-madira pilate rahe+aur tumne bhavishyavaktaon ko aagya di, “tum bhavishyavani mat karo.”+ 13  isliye main tumhein tumhari jagah raund doonga,jaise poolon se ladi gaadi zameen ko raund deti hai. 14  tez daudnevala kahin bhaag na sakega,+taakatvar ki taakat kisi kaam ki na hogi,koi bhi soorma apni jaan bachakar nahin bhaag sakega. 15  teerandaz apni jagah tik na sakega,tez daudnevala bach nahin paayega,ghudsavaar apni jaan bachakar nahin bhaag sakega. 16  yoddhaon mein jo sabse diler hai,woh bhi us din nanga bhaag jaayega.’+ yahova ka yah ailan hai.”

kai footnote

ya “apradh.”
shaa., “nyayi.”
ya “hidayat.”