aamos 3:1-15

  • parmeshvar ki taraf se saza sunana (1-8)

    • parmeshvar raaz ki baat batata hai (7)

  • saamriya ke khilaf sandesh (9-15)

3  “israel ke logo, suno main yahova tumhein kya sandesh de raha hoon, is poore gharane ko kya sandesh de raha hoon jise main misra se nikaal laaya tha:   ‘main dharti ke sab gharanon mein se sirf tumhin ko jaanta hoon.+ isliye main tumhare sabhi gunahon ka hisab tumse maangoonga.+   agar do log aapas mein milna tay na karein, to kya woh saath-saath chal sakeinge?   agar ek sher ko jangal mein shikar na mile to kya woh garjega? agar ek javan sher ne kuch pakda na ho to kya woh apni maand mein se gurrayega?   agar zameen par fanda na bichha ho* to kya chidiya usmein fansegi? agar fande mein shikar na fanse to kya woh oopar uchhlega?   agar shehar mein narsinga foonka jaaye to kya log nahin kaanpeinge? agar shehar mein vipatti aaye to kya iske peechhe yahova ka haath nahin?   saare jahan ka maalik yahova apne sevkon yaani bhavishyavaktaon koraaz ki baat bataye bina koi bhi kaam nahin karega.+   sher garja hai!+ kaun nahin darega? saare jahan ke maalik yahova ne yah baat kahi hai! kaun bhavishyavani nahin karega?’+   ‘ashdod ki kileband meenaron paraur misra ki kileband meenaron par yah ailan karo: “saamriya ke pahadon ke khilaf ikattha ho jaao,+dekho, uske yahaan kitni khalbali machi hai,kitni dhokhadhadi ho rahi hai!+ 10  kyonki woh sahi kaam karna nahin jaante,woh maano apni kileband meenaron mein hinsa aur vinash jama kar rahe hon.” yahova ka yah ailan hai.’ 11  isliye saare jahan ka maalik yahova kehta hai,‘ek dushman aakaar desh ko gher lega,+woh teri taakat chheen lega,teri kileband meenaron ko loot liya jaayega.’+ 12  yahova kehta hai,‘aaj saamriya mein log shaandar bistaron aur badhiya deevanon* par baithte hain.unmein se sirf kuch log hi bachaye jaayenge,jaise charvaha sher ke munh se bas do pair ya kaan ka ek tukda khinch paata hai.’+ 13  saare jahan ka maalik, senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai, ‘suno aur yakub ke gharane ko chetavni do.’* 14  ‘jis din main israel se uski saari bagavat* ka hisab maangoonga,+us din main betel ki vediyon se bhi hisab maangoonga,+vedi ke sing kaatkar zameen par gira diye jaayenge.+ 15  main jaade ke makan aur garmiyon ke makan, donon dhaa doonga.’ ‘haathi-daant ke ghar naash kar diye jaayenge,+bade-bade* ghar naash kar diye jaayenge.’+ yahova ka yah ailan hai.”

kai footnote

ya shaayad, “agar zameen par bichhaye fande mein chaara na ho.”
ya “damishk ke deevanon.”
ya “ke khilaf gavahi do.”
ya “uske apradhon.”
ya shaayad, “bahot-se.”