aamos 4:1-13
4 “baashaan ki gaayo, yah sandesh suno,tum jo saamriya ke pahadon par ho,+tum aisi aurtein ho jo deen-dukhiyon ko thagti hain,+ gareebon ko kuchal deti hain,tum apne patiyon* se kehti ho, ‘sharab laao ki hum peeyen!’
2 saare jahan ka maalik yahova apni pavitrata ki shapath khaakaar kehta hai,‘“dekho! tum par aise din aanevale hain jab woh tumhein kasai ke kaanton se uthayegaaur baakiyon ko machhli pakadne ke kaanton se uthayega.
3 tum sheharpanah ki dararon se niklogi, har kisi ko apne saamne ki darar se nikaalna hogaaur tumhein harmon mein feink diya jaayega.” yahova ka yah ailan hai.’
4 ‘betel aao aur apradh* karo,+gilgal aao aur apradh-par-apradh karo!+
subah apne balidan laao+aur teesre din dasvaan hissa laao.+
5 dhanyavad-bali ke liye khameeri roti jalao,+apni swechha-baliyon ka dhindhora peeto!
kyonki israel ke logo, tumhein yahi to pasand hai.’ saare jahan ke maalik yahova ka yah ailan hai.
6 yahova ailan karta hai, ‘mainne tumhare har shehar mein akaal bheja,*tumhare sabhi gharon mein roti ki tangi failayi,+fir bhi tum mere paas nahin laute.’+
7 ‘mainne katai se pehale ke teen maheene baarish bhi rok di,+ek shehar par paani barsaya, doosre par nahin.
ek khet par baarish hoti,to doosra khet baarish na hone ki vajah se sookh jaata tha.
8 do-teen shehron ke log ladkhadate huye paani ke liye ek shehar jaate,+magar unki pyas nahin bujhati,fir bhi tum mere paas nahin laute.’+ yahova ka yah ailan hai.
9 yahova ailan karta hai, ‘mainne tumhari faslon ko jhulsan aur beemari se maara.+
tum apne bageeche aur angooron ke baag badhate gaye,magar tiddi tumhare anjeer aur jaitoon ke pedon ko chat kar jaati thi,+iske baad bhi tum mere paas nahin laute.’+
10 yahova ailan karta hai, ‘mainne tumhare beech aisi mahamari bheji jaisi misra mein aayi thi.+
mainne talvar se tumhare javanon ko maar daala+ aur tumhare ghode le liye.+
mainne tumhari chhaavni ki badboo tumhari naakon mein bhar di,+fir bhi tum mere paas nahin laute.’
11 yahova ailan karta hai, ‘mainne tumhare desh ko naash kar diya,jaise mainne sadom aur amora ko naash kiya tha.+
tum aisi lakdi jaise the jise aag se khinchkar nikaala gaya ho,fir bhi tum mere paas nahin laute.’+
12 isliye hey israel, main tujhe fir se saza doonga.
main tere saath aisa hi karoonga,hey israel, apne parmeshvar ke saamne aane ke liye taiyar ho jaa.
13 kyonki dekh! usi ne pahad banaye+ aur hava ki srishti ki thi,+woh insan ko apne vichar batata hai,bhor ko andhere mein badal deta hai,+dharti ki unchi jagahon ko raund deta hai,+uska naam senaon ka parmeshvar yahova hai.”