aamos 5:1-27

  • israel aisi kunvari ki tarah hai jo gir gayi hai (1-3)

  • parmeshvar ki khoj kar aur jeeta reh (4-17)

    • burai se nafrat, bhalai se pyar (15)

  • yahova ka din, andhkar ka din (18-27)

    • israel ke balidan thukraye gaye (22)

5  “hey israel ke gharane, yah sandesh sun. yah ek shokgeet hai jo main tere baare mein sunata hoon:   ‘kunvari israel gir gayi hai,woh uth nahin sakti. use apni zameen par pada chhod diya gaya hai,use uthanevala koi nahin.’  kyonki saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘jo shehar hazar sainik lekar jaayega uske sirf sau sainik bacheinge,jo sau lekar jaayega uske sirf das bacheinge,israel ke gharane ke saath yahi hoga.’+  yahova israel ke gharane se kehta hai, ‘tu meri khoj kar aur jeeta reh.+   betel ki khoj mat kar,+na gilgal jaa,+ na hi sarhad paar karke bersheba jaa,+kyonki gilgal zaroor bandhuai mein jaayega+aur betel mitti mein mil jaayega.*   yahova ki khoj kar aur jeeta reh+taaki woh aag ki tarah yoosuf ke gharane par na bhadak uthe,betel ko aise bhasm na kar de ki us aag ko bujhanevala koi na ho.   tum nyay ko naagdauna* bana dete ho,neki ko mitti mein mila dete ho.+   jis parmeshvar ne kima* aur kesil taaramandal* banaye,+jo ghor andhkar ko subah mein badal deta hai,jo din ko kaali raat bana deta hai,+jo samundar ke paani ko bulata haitaaki use dharti par barsaye+—uska naam yahova hai.   woh taakatvar logon ko achanak naash kar dega,kileband jagahon ko tahas-nahas kar dega. 10  woh unse nafrat karte hain jo shehar ke faatak par fatkaar lagate hain,woh unse ghin karte hain jo sach bolte hain.+ 11  tum gareeb se zabardasti lagan vasoolte ho,kar ke naam par uska anaj le lete ho,+isliye tum gadhe pattharon se jo ghar banakar rehte ho, unmein aur nahin reh paaoge,+tumne jo badhiya angooron ke baag lagaye hain, unki daakh-madira nahin pi sakoge.+ 12  main jaanta hoon ki tumne kitni baar bagavat ki hai,*kitne bade-bade paap kiye hain,tum nek logon ko satate ho, rishvat lete ho,shehar ke faatak par gareebon ka hak maarte ho.+ 13  isliye androoni samajhvale us samay chup raheinge,kyonki woh vipatti ka samay hoga.+ 14  bhalai ki khoj karo, burai ki nahin+taaki tum jeete raho.+ tab senaon ka parmeshvar yahova tumhare saath rahega,jaise tum kehte ho ki woh tumhare saath hai.+ 15  burai se nafrat karo aur bhalai se pyar karo,+shehar ke faatak par nyay ki jeet ho.+ tab shaayad senaon ka parmeshvar yahovayoosuf ke bache huon par kripa kare.’+ 16  isliye yahova, senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘shehar ke sabhi chaukon par rona-peetna hoga,gali-gali mein haay-haay machegi,woh shok manane ke liye kisanon ko bulayenge,kiraye par maatam mananevalon ko bulayenge.’ 17  yahova kehta hai, ‘angooron ke har baag mein rona-peetna hoga,+kyonki main tumhare beech se guzroonga.’ 18  ‘un logon ka bura hoga jo yahova ke din ke liye taraste hain!+ tum kya ummeed karte ho, yahova ke din kya hoga?+ us din andhera hoga, ujala nahin.+ 19  us din aisa hoga maano ek aadmi sher se bachkar bhaagta hai aur uske saamne bhaaloo aa jaata hai,woh apne ghar mein ghuskar deevar par haath tekta hai aur ek saanp use das leta hai. 20  kya yahova ke din, ujale ke bajay andhera nahin hoga?tez raushni ke bajay kaali ghata nahin hogi? 21  main tumhare tyoharon se nafrat karta hoon, ghin karta hoon,+tumhari pavitra sabhaon ki sugandh se khush nahin hota. 22  tum chahe mujhe poori hom-baliyaan aur bheint ka chadhava chadhao,fir bhi main unse khush nahin hounga,+tumhare mote kiye jaanvaron ki shaanti-baliyaan manzoor nahin karoonga.+ 23  apne geeton ka shor-sharba band karo,mujhe tumhare taaronvale baajon ki dhun nahin sunnai.+ 24  tumhare desh mein nyay ki nadi behti rahe,+neki ki dhaara hamesha behti rahe. 25  hey israel ke gharane, veerane mein un 40 saalon ke dauran,kya toone balidan aur bheint ke chadhave mujhe diye the?+ 26  ab tumhein apne raja sakkoot aur kaivan* ko le jaana hoga,apni banayi moorton ko, apne devta ke sitare ko le jaana hoga. 27  main tumhein damishk se bhi aage bandhuai mein bhej doonga.’+ yah baat usne kahi hai jiska naam senaon ka parmeshvar yahova hai.”+

kai footnote

ya shaayad, “jaadoo-tone ki cheez ban jaayega.”
ya “kadva.”
shaayad mrigshira taaramandal.
shaayad vrish taaramandal mein taaron ka samooh, krittika.
ya “kitne apradh kiye hain.”
ye donon devta shaayad shani grih ko darshate the, jise devta maankar pooja jaata tha.