aamos 6:1-14

  • dhikkar hai un par jo befikra hain! (1-14)

    • haathi-daant ke palang; daakh-madira ke pyale (4, 6)

6  “siyyon ke un logon ka bahot bura hogajinhein khud par bahot bharosa hai,*jo sochte hain ki saamriya ke pahad par woh surakshit hain,+jo sabse bade raashtra ke khaas log hain,jinke paas israel ka gharana aata hai!   kalne nagar jaao aur dekho. vahaan se mehangar hamat+ jaaoaur neeche palishtiyon ke gat shehar jaao. kya woh in raajyon* se behtar hain? kya unka ilaka tumhare ilake se bada hai?   kya tumne vipatti ke din ko apne dimag se nikaal diya hai+aur kya tum khoon-kharabe ka raaj* laa rahe ho?+   woh haathi-daant ke palangon par sote hain+ aur deevanon par pair failaye rehte hain,+jhund ke medhe aur mote kiye bachhde* khaate hain,+   surmandal* ki dhun par geet rachte hain,+daavid ki tarah naye-naye saaz banate hain,+   bade-bade pyalon mein daakh-madira peete hain,+khud par badhiya-se-badhiya tel malte hain. magar yoosuf ke vinash ki unhein koi fikra nahin.+   isliye sabse pehale unhein bandi banakar le jaaya jaayega+aur rangaraliyon ke din khatm ho jaayenge.   senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai,‘saare jahan ke maalik yahova ne apne jeevan ki shapath khaakaar kaha hai,+“main yakub ke ghamand se ghin karta hoon,+uski kileband meenaron se nafrat karta hoon,+shehar aur usmein jo bhara hua hai, sab main dushmanon ke havale kar doonga.+  agar ek ghar mein das aadmi bach jaayen to woh bhi mar jaayenge. 10  ek rishtedar* aayega taaki unki laashein baahar le jaaye aur ek-ek karke unhein jala de. woh ghar se unki haddiyaan nikaalega aur fir ghar ke bheetri kamron mein jo koi hai usse kahega, ‘kya tere saath aur koi hai?’ aur woh kahega, ‘koi nahin hai!’ tab woh rishtedar kahega, ‘chup raho! kyonki yah samay yahova ka naam lene ka nahin hai.’” 11  kyonki yahova ki hi aagya par+bade ghar ko malbe ka dher bana diya jaayegaaur chhote ghar ko khandhar.+ 12  kya ghode chattan par daudte hain? kya vahaan koi bailon se jutai karega? tumne nyay ko zahreela paudha bana diya hai,neki ke fal ko naagdauna* bana diya hai.+ 13  tum bekar ki baaton par khush hote hoaur kehte ho, “kya hum apne dam par taakatvar nahin bane?”+ 14  isliye hey israel ke gharane, main tere khilaf ek raashtra khada karoonga+aur woh lebo-hamat*+ se arba ki ghaati* tak tujh par zulm dhaayega.’ senaon ke parmeshvar yahova ka yah ailan hai.”

kai footnote

ya “jo befikra rehte hain.”
zahir hai ki yahaan yahooda aur israel raajyon ki baat ki gayi hai.
shaa., “ki gaddi.”
ya “bail.”
ya “taaronvale baaje.”
shaa., “uske pita ka bhaai.”
ya “kadva.”
ya “hamat ke pravesh.”
shabdavli dekhein.