aamos 7:1-17

  • israel ka ant kareeb, iske darshan (1-9)

    • tiddiyaan (1-3), aag (4-6), saahul (7-9)

  • aamos se kaha gaya ki bhavishyavani karna band kar (10-17)

7  saare jahan ke maalik yahova ne mujhe ek darshan dikhaya. mainne dekha ki baad ki fasal* ugni shuroo hi hui thi ki usne tiddiyon ka ek dal bheja! raja ko dene ke liye ghaas ki katai ho chuki thi aur yah fasal uske baad boyi gayi thi.  jab tiddiyon ka dal desh ki poori hariyali chat kar gaya to mainne kaha, “hey saare jahan ke maalik yahova, daya karke logon ko maaf kar de!+ nahin to yakub nahin bach paayega kyonki woh kamzor hai!”+  isliye yahova ne apne faisle par dobara gaur kiya.*+ yahova ne kaha, “theek hai, ab aisa nahin hoga.”  saare jahan ke maalik yahova ne mujhe yah darshan dikhaya: mainne dekha ki saare jahan ke maalik yahova ne hukm diya ki aag barsakar saza di jaaye! aag ne vishal gehre saagar ko sukha diya aur zameen ke ek hisse ko bhasm kar diya.  tab mainne kaha, “hey saare jahan ke maalik yahova, daya karke yah kehar rok de!+ nahin to yakub nahin bach paayega kyonki woh kamzor hai!”+  isliye yahova ne apne faisle par dobara gaur kiya.+ saare jahan ke maalik yahova ne kaha, “theek hai, ab yah bhi nahin hoga.”  parmeshvar ne mujhe yah darshan dikhaya: mainne dekha ki yahova ek deevar par khada tha jo saahul lagakar banayi gayi thi! uske haath mein ek saahul tha.  yahova ne mujhse poochha, “aamos, tu kya dekhta hai?” mainne kaha, “ek saahul.” yahova ne kaha, “main apni praja israel par ek saahul lagane jaa raha hoon. ab main unhein aur maaf nahin karoonga.+  ishaak ki unchi jagah+ ujaad di jaayengi aur israel ke pavitra-sthan tahas-nahas kar diye jaayenge.+ main ek talvar liye yaarobam ke gharane par hamla karoonga.”+ 10  betel ke yaajak amajyah+ ne israel ke raja yaarobam+ ko yah sandesh bheja: “aamos israel ke gharane ke beech tere khilaf saazish kar raha hai.+ desh ke log uska sandesh ab aur nahin sah sakte.+ 11  kyonki aamos kehta hai, ‘yaarobam talvar se maara jaayega aur israel ke logon ko zaroor bandi banakar apne desh se le jaaya jaayega.’”+ 12  fir amajyah ne aamos se kaha, “hey darshi, bhaag yahaan se. jaa yahooda desh jaa, vahaan jaakaar roti kama* aur vahin apni bhavishyavaniyaan suna.+ 13  magar yahaan betel mein fir kabhi bhavishyavani mat karna+ kyonki yahaan raja ka pavitra-sthan+ aur ek raajya ka mandir hai.” 14  tab aamos ne amajyah se kaha, “main na bhavishyavakta tha, na bhavishyavakta ka beta. main to ek charvaha tha+ aur goolar ke pedon ki dekhbhal karta tha.* 15  magar yahova ne mujhe jhund charane ka kaam chhodkar aane ke liye kaha. yahova ne mujhse kaha, ‘jaakaar meri praja israel ko bhavishyavani suna.’+ 16  isliye ab yahova ka sandesh sun, ‘tu kehta hai, “israel ke khilaf bhavishyavani mat kar+ aur ishaak ke gharane ke khilaf prachar mat kar.”+ 17  isliye yahova ne kaha hai, “teri patni shehar mein veshya ban jaayegi aur tere bete-betiyaan talvar se maar daale jaayenge. teri zameen naapne ki dori se naapkar baant li jaayegi aur tu khud ek ashuddh desh mein marega aur israel ke logon ko zaroor bandi banakar apne desh se le jaaya jaayega.”’”+

kai footnote

yaani janvari aur farvari ki fasal.
ya “pachhtava mehsoos kiya.”
shaa., “roti khaa.”
ya “goolar ke falon mein cheera laganevala tha.”