aamos 8:1-14

  • garmiyon ke falon ki tokri ka darshan (1-3)

  • zulm karnevalon ki ninda ki gayi (4-14)

    • parmeshvar ke vachnon ka akaal (11)

8  saare jahan ke maalik yahova ne mujhe ek darshan dikhaya. mainne dekha ki garmiyon ke falon se bhari ek tokri hai!  usne poochha, “aamos, tu kya dekhta hai?” mainne kaha, “garmiyon ke falon se bhari ek tokri.” tab yahova ne mujhse kaha, “meri praja israel ka ant aa gaya hai. ab main unhein aur maaf nahin karoonga.+  saare jahan ka maalik yahova ailan karta hai, ‘mandir se geeton ke bajay rone-peetne ki aavazen aayengi.+ har kahin laashein bichhi hongi+ jisse sannata chhaa jaayega!’   tum sab yah sandesh suno, jo gareebon ko raundte ho,desh ke deen janon ka naash karte ho,+   jo kehte ho, ‘naye chaand ka tyohar kab khatm hoga+ taaki hum anaj bech sakein?sabt ka din+ kab beetega taaki hum anaj bech sakein? fir hum epa* ki naap chhoti kar sakeinge,shekel* ka vazan badha sakeingeaur tarazoo mein dandi maareinge.+   fir hum chaandi se zarooratmandon ko khareed sakeinge,ek jodi jooti ke daam par gareeb ko khareed sakeinge+aur anaj ki fatkan bech sakeinge.’   yahova yakub ki shaan+ ki shapath khaakaar kehta hai,‘main unka ek bhi kaam nahin bhooloonga.+   isliye desh kaanpega,*iska har nivasi maatam manayega.+ kya yah desh neel nadi ki tarah umadne nahin lagega? misra ki neel ki tarah nahin ghatega-badhega?’+   saare jahan ka maalik yahova ailan karta hai,‘us din main bhari dopahri mein sooraj duba doongaaur din ke ujale mein desh mein andhera kar doonga.+ 10  main tumhare tyoharon ko maatam mein badal doonga,+tumhare sab geeton ko shokgeeton mein badal doonga. main sabki kamar par taat odhaunga aur sabka sir mundvaunga,main unse aise maatam karvaunga jaise koi iklaute bete ki maut par karta haiaur us din ka ant bahot kadva hoga.’ 11  saare jahan ka maalik yahova ailan karta hai,‘dekho! woh din aa rahe hain,jab main desh mein akaal bhejoonga,roti aur paani ke liye nahinbalki yahova ke vachan sunnae ke liye log bhookhe-pyase reh jaayenge.+ 12  woh ladkhadate huye ek saagar se doosre saagar jaayenge,uttar se poorab jaayenge. yahova ke vachnon ki khoj mein maare-maare fireinge, magar kahin nahin paayenge. 13  us din sundar kunvariyaan aur javan aadmipyas ke maare behosh ho jaayenge. 14  jo saamriya ke paap+ ki shapath khaakaar kehte hain,“hey daan, tere devta ke jeevan ki shapath!”+ aur “bersheba ke raaste ki shapath!”+ woh gir jaayenge aur fir kabhi nahin utheinge.’”+

kai footnote

ati. kh14 dekhein.
ati. kh14 dekhein.
ya “dharti kaanpegi.”