aamos 9:1-15

  • parmeshvar ke nyay se koi nahin bachega (1-10)

  • daavid ka chhappar khada kiya jaayega (11-15)

9  mainne yahova ko vedi ke oopar dekha+ aur usne kaha, “khambhe ke sire ko maar aur dehleezen hil jaayengi. siron ko kaat daal aur main naash se bachnevale sabhi ko talvar se maar daaloonga. koi bhi bhaag nahin paayega, jo bachne ki koshish karega woh kaamyab nahin hoga.+   agar woh kabraa khodkar usmein jaa chhipein,to main haath badhakar unhein nikaal laaunga.agar woh oopar aasmanon mein chale jaayen,to main unhein neeche utaar laaunga.   agar woh karmel ki choti par jaakaar chhip jaayen,to main unhein dhoondhkar pakad loonga.+ agar woh meri nazron se chhipne ke liye samundar ke tal mein utar jaayen,to main vahaan saanp ko unhein dasne ka hukm doonga.   agar dushman unhein bandhuai mein le jaayen,to main vahaan talvar ko hukm doonga aur woh unhein maar daalegi.+main un par nazar rakhoonga, aasheesh dene ke liye nahin, vipatti laane ke liye.+   kyonki desh* ko chhoonevala saare jahan ka maalik aur senaon ka parmeshvar yahova hai,isliye desh pighal jaayega+ aur uske sabhi nivasi maatam manayenge,+saara desh neel nadi ki tarah umadne lagega,aur misra ki neel ki tarah ghat jaayega.+   ‘jo aasmanon tak jaanevali seedhiyaan banata hai,dharti par apni imarat khadi* karta hai,jo samundar ke paani ko bulata haitaaki use dharti par barsaye+—uska naam yahova hai.’+   yahova ailan karta hai, ‘israel ke logo, kya tum mere liye kooshiyon jaise nahin ho? kya main israel ko misra se,+ palishtiyon ko krete se+aur seeriya ko keer se nahin nikaal laaya tha?’+   yahova ailan karta hai, ‘dekho! main saare jahan ka maalik yahova is paapi raajya ko dekh raha hoon,main dharti se iska naamo-nishan mita doonga.+ magar main yakub ke gharane ko poori tarah naash nahin karoonga.’+   ‘kyonki dekho! main hukm de raha hoonaur main sab raashtron ke beech israel ke gharane ko hilaunga,+jaise koi chhalna hilata haitaaki ek bhi kankad zameen par na gire. 10  mere logon mein se jitne bhi paapi hain, woh sab talvar se maare jaayenge,woh sabhi maare jaayenge jo kehte hain, “vipatti hum par nahin aayegi, hamare paas tak nahin fatkegi.”’ 11  ‘us din main daavid ka gira hua chhappar* khada karoonga,+main dararein* bhar doonga,jo khandhar ban gaya hai use dobara banaunga,main use dobara banaunga aur woh muddaton pehale jaisa ho jaayega+ 12  taaki woh edom ke bache huye hisse par adhikar karein+aur un sab raashtron par bhi, jo mere naam se pukare jaate hain.’ yah yahova ka ailan hai, jo yah sab kar raha hai. 13  yahova ailan karta hai, ‘dekho! woh din aa rahe hain,katai karnevale ka kaam poora hone se pehale jutai karnevala aa jaayega,angoor raundnevale se pehale beej bonevala aa jaayega,+pahadon se meethi daakh-madira tapkegi,+sabhi pahadiyon se iski dhaara bahegi.+ 14  main apni praja israel ko ikattha karke bandhuai se vaapas le aaunga,+woh ujaad pade huye shehron ko dobara banayenge aur unhein aabad kareinge,+woh angooron ke baag lagayenge aur unki daakh-madira peeyenge,+woh bageeche lagayenge aur unka fal khaayenge.’+ 15  tumhara parmeshvar yahova kehta hai, ‘main unhein unke desh mein lagaunga,mainne unhein jo desh diya hai,vahaan se unhein fir kabhi nahin ukhaada jaayega.’”+

kai footnote

ya “dharti.”
ya “apna gumbad khada.”
ya “tamboo; jhopdi.”
ya “unki dararein.”