ayyoob 11:1-20

  • sopar ka pehala bhaashaan (1-20)

    • dosh lagaya ki ayyoob bekar ki baatein karta hai (2, 3)

    • ayyoob se bure kaam chhodne ko kaha (14)

11  tab naamati sopar+ ne kaha,   “tu kya sochta hai, tu bakbak karega aur koi kuch na kahega?tere bahot bolne* se tu sahi saabit ho jaayega?   kya teri bekar ki baatein logon ka munh band kar sakti hain? doosron ka mazak udakar+ kya tu apman se bach sakta hai?   tu kehta hai, ‘main jo sikhata hoon woh sahi hai,+main parmeshvar ki nazar mein bedag hoon.’+   kaash! parmeshvar apna munh kholeaur bolna shuroo kare,+   to woh tere saamne buddhi ke gehre rehasya kholega,kyonki jab buddhi se kaam liya jaata hai, to uske kai faayde hote hain. aur tab tujhe pata chalega ki tere kai paap usne bhula diye hain!   kya tu parmeshvar ki gehri baaton ka pata laga sakta hai?kya tu sarvashaktiman ke baare mein sabkuch jaan sakta hai?   buddhi aasman se bhi unchi hai, kya tu vahaan pahunch sakta hai? woh kabraa se bhi gehri hai, kya tu vahaan utar sakta hai?   woh to dharti se bhi vishal haiaur samundar se bhi chaudi hai. 10  agar parmeshvar kisi raah chalte ko pakadkar adalat le aaye,to bhala kaun use rok sakta hai? 11  kyonki woh makkar aadmi ko dekhte hi pehchan leta hai, woh uske bure kaamon ko andekha nahin karta. 12  ek jangli gadha kabhi insan ko janm nahin de sakta,*usi tarah moorkh kabhi samajhdar nahin ban sakta. 13  agar tu apne dil ko shuddh* kare,parmeshvar ke aage haath failakar gidgidaye, 14  agar tu galat kaam karna chhod deaur tere dere mein bure kaam na hon, 15  to tu nirdosh thehrega aur usko apna munh dikha sakega,tu uske saamne thartharayega nahin, seedha khada rahega. 16  tu apni dukh-takaleefein bhool jaayega,woh tere zahan se aise utar jaayengi, jaise paani bah jaata hai. 17  teri zindagi ke din, bhari dopahri se zyada raushan hongeaur raatein, subah ki tarah jagmagaayengi. 18  tere paas aasha hogi aur tu kisi baat se na darega,jo kuch tera hai, tu us par nazar daudayega aur aaram farmayega. 19  tu itmeenan se letega, koi tujhe nahin darayega.teri meharbani paane ke liye logon ka taanta lag jaayega. 20  magar dusht ki aankhein dhundhli ho jaayengi,use bachne ka koi raasta nahin dikhega.marne ke siva uske paas koi aasha nahin hogi.”+

kai footnote

ya “dingein haankne.”
ya “insan bankar paida nahin ho sakta.”
ya “taiyar.”