ayyoob 12:1-25
12 tab ayyoob ne javab diya,
2 “haan-haan, saari buddhi tum logon ko hi mili hai!tum mar gaye to is duniya se buddhi hi mit jaayegi!
3 lekin mujhmein bhi samajh hai,
main kisi bhi tarah tumse kam nahin.
jo baatein tumne kahin, woh kaun nahin jaanta?
4 main apne saathiyon ke beech mazak bankar reh gaya hoon,+main parmeshvar se dua karta hoon, chahta hoon ki woh meri sune.+
yah zamana mujh jaise nek aur nirdosh insan ki khilli udata hai.
5 befikra insan sochta hai barbadi use chhoo bhi nahin sakti,yah sirf un par aati hai jinke kadam ladakhada* jaate hain.
6 lutere apne deron mein chain se rehte hain,+jo parmeshvar ka krodh bhadkate hain woh utne hi mehfooz hain+jitne woh log, jo apne devta ki moortein liye firte hain.
7 lekin zara jaanvaron se poochho, woh tumse kaheinge,aasman ke panchhiyon se poochho, woh tumhein batayenge,
8 dharti ko dhyan se dekho,* woh tumhein samjhayegi,samundar ki machhliyaan bhi tumhein sikhaayengi.
9 inmein se aisa kaun hai jo yah na jaanta hoki yahova ne hi use apne haathon se racha hai?
10 har kisi* ki jaan,har insan ke jeevan ki saans usi ke haath mein hai.+
11 jaise jeebh se khaana chakha jaata hai,vaise hi kya kaanon se baaton ko nahin parkha jaata?+
12 kya buddhi, bade-boodhon mein nahin paayi jaati?+kya samajh unmein nahin hoti jinhonne lambee umra dekhi hai?
13 parmeshvar ke paas buddhi aur taakat hai,+usmein samajh hai+ aur woh apna maksad thehrata hai.
14 woh jise dhaa de, use khada nahin kiya jaa sakta,+woh jise band kar de, use koi insan khol nahin sakta.
15 agar woh paani rok de, to sookha pad jaaye+aur agar use chhod de, to dharti hi doob jaaye.+
16 usmein shakti hai aur woh aisi buddhi deta hai jo faaydemand hoti hai,+gumrah karnevale aur gumrah honevale, donon uske haath mein hain.
17 woh salahkaron se unka sabkuch chheen leta hai*aur bade-bade nyayiyon ko moorkh bana deta hai.+
18 woh un bandhanon ko khol deta hai, jinhein raajaon ne baandha hai+aur unki kamar mein kamarband kas deta hai.
19 dharm ke aguvon ko nange paanv chalata hai,+jo satta jamaye baithe hain, unhein gaddi se utaar deta hai.+
20 woh bharosemand salahkaron ko chup kara deta haiaur buzurgon* se unki samajhdari chheen leta hai.
21 woh rutbedar logon ka apman karvata hai,+taakatvaron ko kamzor bana deta hai.*
22 woh gehre raaz par se parda uthata hai,+ghor andhkar ko raushni mein laakaar khada kar deta hai.
23 woh raashtron ko shaktishali banne deta hai, fir unhein mita deta hai,woh unhein badhne deta hai, fir unke logon ko bandhuai mein bhej deta hai.
24 woh aguvon se samajh rakhnevala man chheen leta hai,unhein veeranon mein bhatkata hai jahaan koi raasta nahin.+
25 ghup andhere mein woh tatolte firte hain,+woh unka haal ladkhadate sharabiyon jaisa bana deta hai.+
kai footnote
^ ya “fisal.”
^ ya shaayad, “dharti se baat karo.”
^ ya “insan.”
^ shaa., “ko nange paanv chalata hai.”
^ ya “mukhiyaon.”
^ shaa., “ke kamarband dheele kar deta hai.”