ayyoob 13:1-28

  • ayyoob ki baat jaari (1-28)

    • ‘main apni baat parmeshvar se kahoonga’ (3)

    • ‘tum sab nikamme vaid ho’ (4)

    • “main jaanta hoon main begunah hoon” (18)

    • ‘parmeshvar ne kyon mujhe dushman samjha?’ (24)

13  yah sab mainne apni aankhon se dekha hai,apne kaanon se suna aur samjha hai.   jitna tum jaante ho, utna main bhi jaanta hoon,main kisi tarah tumse kam nahin.   par main apni baat tumse nahin, sarvashaktiman se kahoonga,uske saamne apni safai pesh karoonga.+   tum jhooth bolkar mujhe badnam karte ho,tum sab-ke-sab nikamme vaid ho.+   samajhdari isi mein hai ki tum chup raho,apne munh se ek shabd bhi na nikaalo.+   ab zara meri daleelein suno,main jo kahoonga, us par dhyan do.   parmeshvar ki taraf se kya tum tedhi baatein kahoge?chhal-kapat ka sahara loge?   sachche parmeshvar ka paksh lekar mere khilaf ladoge?uski vakaalat karoge?   agar usne tumhein jaanch liya tab kya hoga?+ kya tum use jhaansa de sakoge, maano woh koi nashvar insan ho? 10  agar tum dhong karne ki koshish karo,to woh zaroor tumhein daantega. 11  kya uska gaurav dekhkar tum aatank se na bhar jaaoge?kya uska khauf tum par nahin chhaa jaayega? 12  tum logon ke neetivachan* raakh jaise bhurbhure hain,tumhari daleelein* mitti ki dhaal jaisi kamzor hain. 13  khaamosh raho aur mujhe bolne do, fir mere saath jo hoga, dekha jaayega. 14  main apni jaan hatheli par rakhkar ghoomoonga,khud ko khatre mein daaloonga,* 15  chahe parmeshvar mujhe maar daale, to bhi main intazar karoonga+ki apni safai mein use daleelein de sakoon. 16  woh mujhe nirdosh paakaar mera uddhaar karega,+varna bhaktiheen ko woh apne saamne bhi nahin aane deta.+ 17  meri baat par kaan lagao,mera bayan dhyan se suno. 18  ab main apna mukadma ladne ke liye taiyar hoon,main jaanta hoon main begunah hoon. 19  kaun mujhse behasbazee karega? agar main chup raha to main mar jaaunga.* 20  hey parmeshvar, bas do ehsan kar de mujh par,*taaki mujhe tujhse chhipna na pade. 21  tu apne haath se mujhe maarna band kar deaur apne khauf se mujhe na dara.+ 22  ya to tu bol aur main javab doonga,ya fir mujhe bolne de aur tu javab de. 23  mujhse kya galti hui hai, kya paap kiya hai mainne? mera apradh to bata, aisa kya hua hai mujhse? 24  kyon mujhse is tarah munh fere huye hai?+kyon mujhe apna dushman samajh raha hai?+ 25  hava mein udte patte ko tu kya darayega?tinke ke peechhe padkar tujhe kya milega? 26  toone mujh par lage ek-ek ilzam ka hisab rakha hai,tu meri javani ke paapon ka lekha ab mujhse le raha hai. 27  toone mere pair kaath mein kas diye hain,tu meri har harkat par nazar rakhta hai,mere pairon ke nishan dhoondh-dhoondhkar mera peechha karta hai. 28  isliye insan* khatm hota jaa raha hai,jaise koi cheez sad rahi ho,jaise kisi kapde ko keeda* lag gaya ho.

kai footnote

ya “yaadgar neetivachan.”
shaa., “dhaalein.”
shaa., “apna maans daanton mein dabaye firoonga.”
ya shaayad, “agar koi kare, to main chup rahoonga aur mar jaaunga.”
shaa., “bas ye do baatein mere saath mat kar.”
shaa., “woh.” shaayad ayyoob ki baat ki gayi hai.
ya “kapad-keeda.”