ayyoob 14:1-22

  • ayyoob ki baat jaari (1-22)

    • chaar din ki zindagi dukhon se bhari (1)

    • ‘ek ped ke liye bhi ummeed hai’ (7)

    • “kaash! tu mujhe kabraa mein chhipa le” (13)

    • “agar ek insan mar jaaye, to kya woh fir zinda ho sakta hai?” (14)

    • parmeshvar apne haath ki rachna dekhne ko tarasta hai (15)

14  insan jo aurat se paida hota hai,uski zindagi bas chaar din ki hoti hai+ aur woh bhi dukhon se bhari.+   woh fool ki tarah khilkar murjha* jaata hai,+chhaaya ke samaan turant gaayab ho jaata hai.+   tab bhi tu us par nazrein gadhaye rehta hai,use* adalat mein ghaseetkar le jaata hai.+   kya ashuddh insan se shuddh insan paida ho sakta hai?+ nahin! bilkul nahin.   agar toone uske din tay kiye hain,to tu uske maheenon ki ginti jaanta hai.toone uske liye jo had baandhi hai, use woh paar nahin kar sakta.+   us par se nazar hata le ki woh aaram kar sake,jab tak woh dihadi ke mazdoor ki tarah apna din poora na kar le.+   ek kate huye ped ke liye bhi ummeed rehti hai ki us par fir se koplein futeingi,naram-naram daaliyaan aayengi.   chahe uski jadein kitni bhi purani kyon na hon,chahe uska thoonth zameen mein pade-pade sookh chuka ho,   par paani ki ek boond milte hi usmein jaan aa jaayegi,ek naye paudhe ki tarah usmein tahniyaan futne lageingi. 10  magar jab ek insan marta hai, to uski shakti khatm ho jaati hai.jab woh dam todta hai, to uska astitva mit jaata hai.*+ 11  jaise samundar se paani gaayab ho jaata hai,jaise nadi khaali hokar sookh jaati hai, 12  vaise hi insan maut ki nind so jaata hai aur fir nahin uthta.+ jab tak aasman bana rahega tab tak uski aankhein nahin khuleingi,na hi gehri nind se use jagaya jaayega.+ 13  kaash! tu mujhe kabraa* mein chhipa le+aur tab tak chhipaye rakhe jab tak tera gussa shaant na ho jaaye.kaash! tu mere liye ek vakt thehraye aur mujhe yaad kare.+ 14  agar ek insan mar jaaye, to kya woh fir zinda ho sakta hai?+ main apni jabran seva ke saare din intazar karoonga,jab tak ki mujhe chhutkara nahin mil jaata.+ 15  tu mujhe pukarega aur main javab doonga,+ apne haath ki rachna ko dekhne ke liye tu tarsega. 16  par abhi tu mere ek-ek kadam gin raha hai,teri nazar sirf mere paapon par rehti hai, 17  toone mere apradh thaili mein muharband kar diye hain,mere gunahon ko usmein daalkar gond laga diya hai. 18  jis tarah pahad tootkar choor-choor ho jaate hain,chattanein apni jagah se khisak jaati hain, 19  paani ki dhaar se patthar ghis jaata hai,uska tez bahav mitti ko baha le jaata hai,usi tarah, tu nashvar insan ki aasha mita daalta hai. 20  tu us par tab tak haavi hota hai jab tak woh mit na jaaye,+tu uska huliya badalkar use door bhej deta hai. 21  chahe uske beton ko aadar diya jaaye ya unhein poochhnevala koi na ho,par use kuch khabar nahin hoti.+ 22  woh sirf tab tak dard mehsoos karta hai jab tak woh zinda hai,use dukh ka ehsas sirf tab tak hota hai jab tak usmein jaan hai.”

kai footnote

ya shaayad, “tod diya.”
shaa., “mujhe.”
shaa., “to woh kahaan raha?”
ya “sheol.” shabdavli dekhein.