ayyoob 15:1-35

  • eleepaj ka doosra bhaashaan (1-35)

    • kaha, ayyoob mein parmeshvar ka dar nahin (4)

    • use gustakh bataya (7-9)

    • “parmeshvar ko apne swargdooton par vishvas nahin” (15)

    • ‘dusht dukhon se ghira rehta hai’ (20-24)

15  javab mein temani eleepaj+ ne kaha,   “ek buddhiman insan kya khokhli daleelein dega?apna man galat vicharon* se bharega?   sirf shabdon se fatkaar lagane ka koi faayda nahin,badi-badi baatein haankne se kuch nahin hota.   teri vajah se parmeshvar ka dar khatm ho gaya hai,doosron ne parmeshvar ke baare mein sochna chhod diya hai.   tera gunah tujhe aisi baatein karna sikhata haiaur tu chhal ki baatein bolta hai.   teri apni zaban tujhe doshi thehrati hai, main nahin!tere apne honth tere khilaf gavahi dete hain.+   kya insanon mein tu hi sabse pehale paida hua tha?kya tujhe pahadon se bhi pehale racha gaya tha?   kya parmeshvar tere saamne raaz ki baatein karta hai?kya saari buddhi tere hi paas hai?   tu aisa kya jaanta hai jo hum nahin jaante?+ tujhmein aisi kaun-si samajh hai jo hammein nahin? 10  hamare beech pake baalvale aur bade-buzurg hain,+jo umra mein tere pita se bhi bade hain. 11  parmeshvar jo dilasa deta hai, kya woh tere liye kaafi nahin?aur jis narmi se tujhse baat ki gayi, uska kya? 12  tere dil ne tujhe itna dheeth kyon bana diya?kyon teri aankhein gusse se laal hain? 13  kyon tu parmeshvar ko apni naarazgi dikha raha hai?aur apne munh se aise shabd nikaal raha hai? 14  adna insan kya hai jo use shuddh samjha jaaye?aurat se paida hua insan kya hai jo use nek maana jaaye?+ 15  dekh! parmeshvar ko apne swargdooton* par vishvas nahin,yahaan tak ki swarg bhi uski nazar mein apavitra hai!+ 16  to woh ek neech aur bhrasht insan ko pavitra kyon samjhega,+jo burai karne ke liye is kadar tarasta hai jaise pyasa paani ke liye. 17  sun, main tujhe batata hoon! main samjhata hoon ki mainne kya dekha hai. 18  woh baatein batata hoon jo buddhimanon ne apne purkhon se suni hain,+unhonne ye baatein chhipakar nahin rakhin. 19  unke purkhon ko yah desh diya gaya thaaur koi pardesi unke yahaan se hokar nahin gaya. 20  dusht insan zindagi-bhar dukhon se ghira rehta hai,jitne saal woh zalim jeeta hai, use kahin chain nahin milta. 21  daravni aavazen uske kaanon mein goonjti hain,+aman ke vakt bhi lutere us par hamla bol dete hain. 22  use nahin lagta ki woh andhkar se bach paayega,+uski maut tay hai, woh talvar se maara jaayega. 23  woh maara-maara firta hai ki kahin to khaane ko roti mile, use maaloom hai ki andhkar ka din nazdeek hai. 24  dukh aur chintayen reh-rehkar darati hain usko,aise toot padti hain jaise koi raja dal-bal ke saath toot padta hai. 25  woh apna haath parmeshvar ke khilaf uthata hai,sarvashaktiman se ladne ki jurrat* karta hai. 26  woh badi dhithai se use lalkarta hai,mazboot* dhaal liye uski taraf badha chala aata hai. 27  uske chehre par charbi chadh gayi haiaur uski tond moti ho gayi hai.* 28  isliye woh jin shehron mein basa hai, woh ujade jaayenge,jin gharon mein woh rehta hai woh veeran ho jaayenge,unhein khandhar bana diya jaayega. 29  woh na maalamal hoga, na daulat bator paayega,na hi desh-bhar mein foole-falega. 30  woh andhkar se nahin bach paayega,uski daaliyaan aag ki lapat se jhulas jaayengi,*parmeshvar ki* zordar foonk se woh khatm ho jaayega.+ 31  woh vyarth cheezon par bharosa rakhkar khud ko dhokhe mein na rakhe,kyonki use sirf nirasha haath lagegi. 32  yah sab samay se pehale uske saath hoga,uski daaliyaan kabhi hari-bhari nahin hongi.+ 33  woh angoor ki us bel jaisa hoga, jiske fal pakne se pehale gir jaate hain,woh jaitoon ke us ped ke samaan hoga jiske fool jhad jaate hain. 34  bhaktiheenon ki mandli foole-falegi nahin,+ghoos lenevalon ke dere aag mein bhasm ho jaayenge. 35  woh buri baatein gadhte hain aur doosron ka nuksan karte hain,unka man dhokhadhadi ki baatein rachta rehta hai.”

kai footnote

shaa., “poorvi hava.”
shaa., “pavitra janon.”
ya “se jeetne ki koshish.”
shaa., “moti.”
yahaan motapa falne-foolne, cheezon ka had-se-zyada maza lene aur ghamand ki nishani hai.
yaani bachne ki koi ummeed nahin rahegi.
shaa., “uske munh ki.”