ayyoob 16:1-22
16 ayyoob ne kaha,
2 “is tarah ki baatein mainne khoob suni hain,
dilasa dena to door, tum sab meri takaleef aur badha rahe ho.+
3 kya tumhari khokhli baatein kabhi khatm hongi?
tum mujhse is tarah baat kyon kar rahe ho?
4 agar tum meri jagah hote,
to main bhi is tarah ki baatein kar sakta tha,lambe-lambe bhaashaan jhaad sakta tha,sir hila-hilakar tumhari khilli uda sakta tha.+
5 magar main aisa nahin karta balki apne shabdon se tumhein himmat deta,apni baaton se tumhara dukh halka karta.+
6 mera dard na to bolne se door ho raha hai,+na chup rehne se kam ho raha hai.
7 ab to parmeshvar ne meri himmat tod di,+mera ghar-parivar tabah kar diya.
8 usne mujhe bhi is kadar dabocha ki mera shareer kumhala gayaaur meri haalaat mere khilaf gavahi de rahi hai.
9 gusse mein aakaar usne mujhe faad daala,
woh mujhse dushmani paal raha hai,+mujhe dekhkar daant peesta hai,mera dushman mujhe aankhein dikhata hai.+
10 log mere khilaf apna munh kholte hain,+thappad maarkar meri beizzati karte hain,bheed lagakar mujhe gher lete hain.+
11 parmeshvar ne mujhe javan ladkon ke havale kar diya,mujhe khinchkar dushton ke haath kar diya.+
12 main chain se ji raha tha, par usne mujhe hilakar rakh diya,+meri gardan pakadkar mujhe raund daala,fir khada karke mujhe apna nishana banaya.
13 uske teerandaz mujhe ghere huye hain,+woh mujh par bilkul taras nahin khaata,mere gurdon ko bhedta hai,+ mere pitt ko zameen par undel deta hai.
14 mujh par vaar-pe-vaar karta hai, maano sheharpanah tod raha ho,yoddha ki tarah mujh par toot padta hai.
15 mainne taat seekar pehan liya hai,+main itna laachar hoon ki dhool mein baitha hoon.*+
16 ro-rokar mera chehra laal ho gaya hai,+meri aankhon mein udasi* hai,
17 jabki mainne kisi ka kuch nahin bigaadaaur meri prarthnayen sachchi aur nishkapat hain.
18 hey dharti, mere khoon ko mat dhakna,+
mere rone ki aavaz daba na dena.
19 dekho! mera gavah swarg mein hai,mere paksh mein bolnevala oopar baitha hai.
20 mere saathi mera mazak udate hain+aur main parmeshvar ke aage aansoo bahata hoon.*+
21 jaise do aadmiyon ke beech maamla suljhaya jaata hai,vaise hi koi to aaye, jo mere aur parmeshvar ke beech nyay kare,+
22 kyonki samay bahot kam reh gaya hai,jald hi main us raah par chala jaaunga, jahaan se lautkar nahin aaunga.+
kai footnote
^ shaa., “mainne apna sing mitti mein gaad diya hai.”
^ ya “maut ka saaya.”
^ ya shaayad, “ko aise dekhta hoon maano meri nind ud gayi ho.”