ayyoob 19:1-29
19 javab mein ayyoob ne kaha,
2 “tum kab tak meri jaan khaate rahoge?+apne shabdon se mujhe kuchalte rahoge?+
3 dasiyon baar tumne meri beizzati ki!*mere saath bedardi se pesh aakaar tumhein zara bhi sharm nahin aayi?+
4 agar mainne galti ki hai,to main hi saza bhugtoonga.
5 agar tum khud ko mujhse bada dikhane par tule hoaur daava karte ho ki mujhe neecha dikhakar tumne sahi kiya,
6 to jaan lo, parmeshvar ne hi mera yah haal kiya hai,usi ne mujhe dhokhe se apne jaal mein fansaya hai.
7 main chillata raha, ‘yah sarasar zyadti hai!’ par meri ek na suni gayi,+madad ke liye pukarta raha, par mujhe insaf na mila.+
8 mere raaste mein usne deevar khadi kar di ki main aage na jaa sakoon,meri raahon ko usne andhkar se bhar diya.+
9 mujhse meri maan-maryada chheen li,mere sir se taaj utaar liya.
10 chaaron taraf se woh mujhe todta raha ki main khatm ho jaaun,meri ummeed ko usne ped ki tarah ukhaad feinka.
11 uska krodh mere khilaf bhadak utha hai,woh mujhe apna dushman maan baitha hai.+
12 uski fauj ne mere khilaf aakaar morcha baandha hai,mere dere ko har taraf se gher liya hai.
13 mere apne bhaaiyon ko usne mujhse door kar diya,jaan-pehchanvale mujhse anjan ban gaye.+
14 mere kareebee saathi* mujhe chhodkar chale gaye,jinhein main achhi tarah jaanta tha, woh mujhe bhool gaye.+
15 mere hi ghar ke mehman+ aur daasiyaan mujhe paraya samajhne lage,main unke liye begana ban gaya hoon.
16 main apne naukar ko aavaz lagata hoon par woh koi javab nahin deta,tab bhi nahin jab main usse daya ki bheekh maangta hoon.
17 meri patni ko meri saanson se bhi ghin hone lagi hai,+mere sage bhaai meri durgandh se door bhaagne lage hain.
18 chhote-chhote bachche bhi mujhe dutkarte hain,jab main khada hota hoon to mujhe chidhate hain.
19 mere sabhi jigri dost mujhse nafrat karne lage hain,+jin-jin se main pyar karta tha woh mere khilaf ho gaye hain.+
20 meri chamdi haddiyon se chipak gayi hai,+main maut se baal-baal bacha hoon.
21 mere saathiyo, reham karo mujh par, reham karo!kyonki parmeshvar ka haath mujh par utha hai.+
22 uski tarah tum bhi mujhe kyon sata rahe ho?+kyon mujh par vaar-pe-vaar kar rahe ho?*+
23 kaash! mere shabd likh diye jaayen,kisi kitab mein inhein darz kar liya jaaye.
24 kaash! lohe ki kalam se inhein chattan par likha jaaye,seese se bharkar inhein amar kar diya jaaye.
25 main achhi tarah jaanta hoon ki mera ek chhudanevala hai,+jo baad mein aayega aur dharti par khada hoga.
26 meri chamdi gal gayi hai,fir bhi is haal mein main parmeshvar ko dekhoonga.
27 main khud use dekhoonga,haan, apni aankhon se, kisi doosre ki aankhon se nahin.+
magar ab main andar se past ho chuka hoon.*
28 tum mere baare mein kehte ho, ‘hum kahaan ise sata rahe hain?’+
jaise saari samasya ki jad main hi hoon.
29 are kuch to daro! uski talvar se daro,+jo gunahgaron ko nahin chhodti.
yaad rakho, nyay karnevala koi hai.”+
kai footnote
^ ya “mujhe fatkaara.”
^ ya “mere rishtedar.”
^ shaa., “kyon mere maans se tript nahin ho?”
^ ya “mere gurdon ne kaam karna band kar diya hai.”