ayyoob 2:1-13

  • shaitan ne dobara saval uthaya (1-5)

  • shaitan ko use peedit karne diya gaya (6-8)

  • ayyoob ki patni: “parmeshvar ki ninda kar aur mar jaa!” (9, 10)

  • ayyoob ke teen saathi aaye (11-13)

2  fir woh din aaya jab sachche parmeshvar ke bete*+ yahova ke saamne ikattha huye.+ shaitan bhi unke beech yahova ke saamne aaya.+  yahova ne shaitan se poochha, “tu kahaan se aa raha hai?” shaitan ne yahova se kaha, “dharti par yahaan-vahaan ghoomte huye aa raha hoon.”+  tab yahova ne shaitan se kaha, “kya toone mere sevak ayyoob par dhyan diya? uske jaisa dharti par koi nahin. woh ek seedha-sachcha insan hai jismein koi dosh nahin.+ woh parmeshvar ka dar maanta aur burai se door rehta hai. toone mujhe uksane ki koshish kee+ ki main bina vajah use barbad kar doon. magar dekh, woh ab bhi nirdosh bana hua hai.”+  is par shaitan ne yahova se kaha, “khaal ke badle khaal. insan apni jaan bachane ke liye apna sabkuch de sakta hai.  ab zara apna haath badha aur ayyoob ki haddi aur shareer ko chhoo. fir dekh, woh kaise tere munh par teri ninda karta hai!”+  yahova ne shaitan se kaha, “to theek hai, use main tere haath mein deta hoon, tujhe jo karna hai kar. lekin tujhe uski jaan lene ki ijazat nahin.”  tab shaitan yahova ke saamne se chala gaya. shaitan ne ayyoob ko sir se lekar talvon tak dardnak fodon se peedit kiya.+  ayyoob raakh par baith gaya+ aur usne apna shareer khujane ke liye mitti ke toote bartan ka ek tukda liya.  aakhirkar uski patni ne kaha, “kya tu ab bhi nirdosh bana rahega? parmeshvar ki ninda kar aur mar jaa!” 10  magar ayyoob ne usse kaha, “tu kyon naasamajh aurton ki tarah baat kar rahi hai? kya hum sachche parmeshvar se sirf sukh hi lein, dukh na lein?”+ itna sab hone par bhi ayyoob ne apni zaban se koi paap nahin kiya.+ 11  jab ayyoob ke teen saathi temani eleepaj,+ shoohi+ bildad+ aur naamati sopar+ ne suna ki ayyoob par kya-kya museebatein aayi hain, tab woh apni-apni jagah se nikaal pade. unhonne milkar tay kiya ki woh ayyoob ke paas jaakaar usse hamdardi jatayenge aur use dilasa deinge. 12  jab unhonne ayyoob ko door se dekha to use pehchan bhi na paaye. magar jab unhein maaloom hua ki woh ayyoob hai, to woh zor-zor se rone lage. unhonne apne kapde faade aur aasman mein dhool udate huye apne sir par dhool daali.+ 13  woh saat din aur saat raat, uske paas zameen par baithe rahe. magar un teenon mein se kisi ne ayyoob se kuch nahin kaha kyonki woh dekh sakte the ki woh dukh se behal hai.+

kai footnote

parmeshvar ke swargdooton ke liye istemal honevala ibrani muhavra.