ayyoob 22:1-30

  • eleepaj ka teesra bhaashaan (1-30)

    • ‘insan parmeshvar ke kis kaam ka?’ (2, 3)

    • dosh lagaya ki ayyoob laalchi aur anyayi hai (6-9)

    • ‘parmeshvar ke paas laut aa aur aabad ho’ (23)

22  javab mein temani eleepaj+ ne kaha,   “parmeshvar ki nazar mein insan ka kya mol? androoni samajh rakhnevala insan uske kis kaam ka?+   tere nek hone se kya sarvashaktiman ko koi fark padega?*tere nirdosh bane rehne se use koi faayda hoga?+   agar tujhmein parmeshvar ke liye bhakti hai,to kya woh tujhse mukadma ladega? tujhe saza dega?   teri dushtata bahot badh gayi hai, isliye woh tere khilaf ho gaya hai.kya tere gunahon ka kabhi ant hoga?+   tu bavajah apne bhaaiyon ki cheezen girvi rakh leta hai,gareebon* ke kapde tak utarva leta hai.+   tu thake-maandon ko paani nahin pilata,bhookhon ko roti nahin khilata.+   tere jaise taakatvar logon ne zameen par kabza kar liya hai+aur vahaan tere jaise bade-bade logon ka hi basera hai.   tu vidhvaon ko khaali haath lauta deta hai,anathon* ko dukh deta hai.* 10  iseeliye tere chaaron taraf jaal bichhe hain,+khauf achanak aakaar tujhe dara deta hai. 11  aisa andhera chhaaya hai ki tujhe kuch dikhayi nahin deta,baadh ka ufanta paani tujhe apne mein sama leta hai. 12  kya parmeshvar aasman ki bulandiyon par nahin? taaron ko dekh, woh kitni unchai par hain. 13  par tu kehta hai, ‘parmeshvar kya jaanta hai? kya woh ghane baadlon ke aar-paar dekhkar nyay kar sakta hai? 14  baadlon ka parda hamein uski nazron se chhipa leta hai,tabhi woh aasman ke ghere par chalte huye hamein nahin dekh sakta.’ 15  kya tu us dagar par chalega,jis par sadiyon se dusht chalte aaye hain? 16  aise log vakt se pehale mar jaate hain,baadh ka paani* unki ninv baha le jaata hai.+ 17  dusht sachche parmeshvar se kehte the, ‘hamein akela chhod de!’ ‘sarvashaktiman hamara kya kar sakta hai?’ 18  magar vahi unke gharon ko achhi cheezon se bharta hai. (unki is ghinauni soch se mera koi vaasta nahin.) 19  nek log dushton ke vinash par khushiyaan manayenge,nirdosh log unki khilli udate huye kaheinge, 20  ‘hamare virodhi maare gaye,unka jo kuch bacha tha woh aag mein bhasm ho gaya.’ 21  isliye parmeshvar ko jaan aur tu shaanti se rahega,tere saath sabkuch achha hoga. 22  uske munh se nikaalnevale kaayde-kaanoonon ko maan,apne dil mein uski baatein sanjoye rakh.+ 23  agar tu sarvashaktiman ke paas laut aaye,to tu fir aabad ho jaayega.+agar tu apne dere se burai nikaal de, 24  apna sona* dhool mein feink de,opeer* ka sona+ chattani ghaatiyon mein daal de, 25  to sarvashaktiman tere liye sone jaisaaur badhiya chaandi jaisa beshkeemti thehrega. 26  tu sarvashaktiman mein khushi paayegaaur uski or apna munh utha sakega. 27  tu fariyad karega aur woh teri sunega,apni mannat ko tu poora karega. 28  tu jo kuch karne ki thaanega, usmein kaamyab hoga,jis raah par tu chalega woh raushan hogi. 29  agar tu ghamand se bhari baatein kare, to tujhe neecha kiya jaayega,parmeshvar sirf namra logon ki hifazat karta hai. 30  unhein chhudata hai jo bekasoor hain,isliye agar tu nirdosh hai* to woh tujhe zaroor chhudayega.”

kai footnote

ya “khushi hogi?”
shaa., “nangon.”
ya “jinke pita ki maut ho gayi hai.”
shaa., “ki baanhein tod deta hai.”
shaa., “nadi.”
ya “apne sone ke dale.”
yah jagah umda kism ke sone ke liye mashhoor thi.
shaa., “tere haath shuddh hain.”