ayyoob 23:1-17
23 tab ayyoob ne javab diya,
2 “aaj bhi main chup nahin rahoonga, aavaz uthaunga,+aahein bharte-bharte main thak chuka hoon.
3 kaash! mujhe pata hota parmeshvar kahaan milega,+
to main uske nivas-sthan mein jaata.+
4 apna maamla uske saamne pesh karta,apni safai mein ek-ke-baad-ek daleelein deta.
5 uski baaton ko dhyan se suntaaur samajhne ki koshish karta.
6 kya woh mujhse ladne ke liye apni poori taakat laga dega?
nahin, nahin, woh meri baat zaroor sunega.+
7 tabhi seedha-sachcha insan uske saath apna maamla nipta sakega.is tarah mera nyayi mujhe hamesha ke liye baaizzat bari kar dega.
8 magar jab main use dhoondhne poorab mein jaata hoon to woh vahaan nahin milta,pashchim mein jaata hoon to vahaan bhi nahin milta.
9 jab woh uttar mein kaam karta hai to main use nahin dekh paata,woh dakshin ki or jaata hai, tab bhi woh mujhe nazar nahin aata.
10 par woh achhi tarah jaanta hai, main kis raah par chala hoon.+
jab woh mujhe tapa lega, tab main khare sone jaisa ho jaaunga.+
11 main uske nakshe-kadam par nazdeeki se chala hoon,mere kadam uski raah se nahin bhatke.+
12 uske munh se nikli har aagya ka mainne paalan kiya hai,
jitna karna chahiye tha, usse kahin badhkar uski baat maani hai.+
13 ek baar jab woh thaan leta hai, to kaun use rok sakta hai?+
jab use kuch karna hota hai, to karke hi rehta hai.+
14 mere saath usne jo-jo karne ki thaani hai woh sab karega,aisi bahot-si baatein hain jo usne soch rakhi hain.
15 parmeshvar ke kaaran main gehri chinta mein hoon,uske baare mein sochkar meri shraddha aur badh jaati hai.
16 usne mera man kachcha kar diya hai,sarvashaktiman ne mujhe dara diya hai.
17 chahe mere chaaron taraf andhera chhaaya ho,mera chehra ghor andhkar se dhaka ho,fir bhi main khaamosh nahin rahoonga.