ayyoob 24:1-25
24 sarvashaktiman ne ek samay kyon nahin thehraya?+
parmeshvar ko jaannevale uska din* kyon nahin dekh paate?
2 dusht apne padosi ki zameen ka seema-chinh khiskate hain,+doosron ki bhedein haankkar apne charagah mein le jaate hain.
3 woh anath ka gadha chheen le jaate hain,vidhva ka bail zabardasti girvi rakh lete hain.+
4 gareeb ko raasta chhodne ke liye majboor karte hain,woh bebas insan unse chhipta firta hai.+
5 woh veerane ke jangli gadhe+ ki tarah khaana dhoondhta firta hai,apne bachchon ka pet bharne ke liye registan chhaan maarta hai.
6 use doosron ke khet mein jaakaar fasal kaatni padti hai,*dushton ke baag se bache huye angoor beenne padte hain.
7 uske paas kapde nahin hain, woh saari raat nanga pada rehta hai,+thand mein bhi uske paas odhne ke liye kuch nahin hota.
8 woh pahadon par honevali baarish mein bheeg jaata hai,chhipne ki jagah na milne par chattanon se lipat jaata hai.
9 anath ko uski maa ke seene se chheen liya jaata hai,+gareeb ke kapde tak girvi rakh liye jaate hain,+
10 woh nanga lautne ke liye majboor ho jaata hai,anaj ke gatthar uthata hai magar khud bhookh se kulbulata hai.
11 woh kheton* mein munderon ke beech kadi dhoop mein mazdoori karta hai,*angoor raundkar ras paayenge hai, magar khud ek boond ke liye taras jaata hai.+
12 marnevalon ka karahna poore shehar mein goonj raha hai,buri tarah ghaayal log madad ke liye pukar rahe hain,+magar parmeshvar ko koi fark nahin padta.*
13 aise bhi log hain jinhein ujale se nafrat hai,+woh uski raah ko nakarte hainaur us par chalna nahin chahte.
14 pau fatte hi kaatil nikaal padta hai,gareeb-mohtajon ka khoon bahata hai+aur raat ke andhere mein woh chori karta hai.
15 vyabhichar karnevala shaam dhalne ka intazar karta hai.+
kehta hai, ‘mujhe koi nahin dekhega’+
aur apna chehra dhak leta hai.
16 andhera hote hi chor gharon mein seindh lagata haiaur sooraj ugte hi woh chhip jaata hai.
woh ujale ko jaanta hi nahin.+
17 subah ki raushni dusht ko ghor andhkar jaan padti hai,uski yaari us andhere se hai jisse doosre khauf khaate hain.
18 magar tez paani use baha le jaayega,*
uski zameen par shaap padega,+
woh apne angooron ke baag mein kabhi nahin laut paayega.
19 jaise tapti garmi aur banjar zameen barfeele paani ko sukha deti hai,vaise hi kabraa paapi ko nigal jaati hai.+
20 uski maa* use bhool jaayegi,
woh keedon ki daavat ban jaayega,sabki yaadon se mit jaayega,+dusht insan ped ki tarah tootkar gir jaayega.
21 woh baanjh aurton ko apna shikar banata hai,vidhvaon ke saath badsalooki karta hai.
22 aise zalimon ko parmeshvar* apni taakat se khatm kar dega,chahe woh kitne hi unche uthein, unhein apni zindagi ka bharosa nahin hoga.
23 dushton ko parmeshvar* bekhauf, befikra jeene deta hai,+magar uski aankhein unke har kaam* par lagi rehti hain.+
24 kuch samay ke liye woh falte-foolte hain, fir murjha jaate hain,+
baaki logon ki tarah khatm ho jaate hain,+anaj ki baalon ki tarah kaat diye jaate hain.
25 ab batao, kaun mujhe jhootha saabit kar sakta hai?kaun meri baaton ko kaat sakta hai?”
kai footnote
^ yaani uske nyay ka din.
^ ya shaayad, “use khet mein chaara kaatna padta hai.”
^ ya “seedheedar kheton.”
^ ya shaayad, “ke beech tel perkar paayenge hai.”
^ ya shaayad, “parmeshvar kisi ko doshi nahin thehrata.”
^ shaa., “woh paani ki satah par furteela hai.”
^ shaa., “garbh.”
^ shaa., “woh.”
^ shaa., “woh.”
^ shaa., “unki raahon.”