ayyoob 29:1-25
29 ayyoob ne apni baat jaari rakhi,
2 “kaash! woh guzra hua vakt vaapas aa jaaye,woh din laut aayen jab parmeshvar mera dhyan rakhta tha,
3 jab uska deepak mere oopar chamakta tha,meri andheri raahon ko raushan karta tha.+
4 javani ke woh din bhi kya din the!mujhe apne dere mein parmeshvar ki dosti ka sukh-bhara ehsas tha,+
5 sarvashaktiman mere saath tha,mere baal-bachche* mujhe ghere rehte the.
6 mere pair makkhan mein doobe rehte the,chattanein mere liye tel ki dhaarayen bahati thi.+
7 woh bhi kya din the, jab main shehar ke faatak+ par jaata tha,chauk mein aakaar apni jagah leta tha.+
8 mujhe dekhte hi javan ladke mere liye raasta chhod dete the,*bade-buzurg bhi apni jagah se uth jaate aur khade rehte the.+
9 haakim bolne se khud ko rok lete the,munh par apna haath rakh lete the.
10 bade-bade aadmi chup ho jaate the,unki jeebh taaloo se chipak jaati thi.
11 jo meri baatein sunta, meri taareef karte nahin thakta tha,jo mujhe dekhta, meri neknami ki gavahi deta tha.
12 kyonki gareebon ki fariyad sun main unki madad karta tha,+anathon aur besaharon ko museebat se chhudata tha.+
13 woh mujhe duayen dete the ki mainne unhein mitne se bachaya,+meri madad paakaar vidhvaon ka dil khush ho jaata tha.+
14 mainne neki ko apna pehnava banaya,nyay ko apna choga aur apni pagdi samjha.
15 main andhon ke liye aankhein banaaur langdon ke liye pair.
16 gareebon ke liye main pita samaan tha,+anjan logon ke mukadme jaanchta tha.+
17 main bura karnevalon ka jabda tod deta tha,+unke munh se shikar ko bacha leta tha.
18 main kehta tha, ‘mere din baaloo ke kinkon jaise anginat hongeaur main apne hi basere mein dam todoonga.+
19 meri jadein paani ke sote tak faileingi,meri daaliyaan raat-bhar os se bheegi raheingi.
20 meri maan-maryada sada bani rahegi,teer chalane ke liye mere baazuon mein hamesha dam rahega.’
21 log bade chaav se meri baatein sunte,khaamosh rehkar meri salah ka intazar karte.+
22 mere kehne ke baad unke paas kehne ko kuch nahin hota tha,mere ek-ek shabd ko woh ras lekar sunte the.*
23 jaise koi barkha ka intazar karta hai, woh mere bolne ka intazar karte the.mere shabdon ko aise peete the, jaise munh kholkar vasant ki bauchhar pi rahe hon.+
24 jab main unhein dekhkar muskurata to unhein yakeen nahin hota tha,mere chehre ki raunak se unka hausla badhta tha.*
25 unka mukhiya hone ke naate main unhein raah dikhata,unke beech aise rehta tha jaise koi raja apni fauj ke beech rehta hai+aur jaise koi maatam karnevalon ke beech rehkar dilasa deta hai.+
kai footnote
^ ya “sevak.”
^ shaa., “chhip jaate the.”
^ shaa., “mere shabd baarish ki boondon ki tarah unke kaanon mein padte.”
^ ya shaayad, “unhonne mere chehre ki raunak nahin chheeni.”