ayyoob 30:1-31

  • ayyoob badle haalaat ke baare mein batata hai (1-31)

    • nikamme log uski khilli udate hain (1-15)

    • lagta hai ki parmeshvar madad nahin kar raha (20, 21)

    • ‘meri chamdi kaali pad gayi hai’ (30)

30  ab woh log hi meri hansi udate hain,+jo umra mein mujhse chhote hain,jinke pitaon ko main apne kutton ke saath bhi na rakhoonki woh meri bhedon ki rakhvali karein.   unke haath ki taakat mere kis kaam ki? unka damkham to khatm ho gaya hai,   bhookh aur tangi se unki haalaat khasta hai,veeran aur ujaad ho chuki zameen parwoh dhool khaate firte hain.   woh jhurmuton se loni saag todkar khaate hain,jhaadiyon ki jadon se apna pet bharte hain.   unhein biradri se baahar kar diya jaata hai,+log un par aise chillate hain, jaise chor par chilla rahe hon.   tang ghaatiyon ki dhalan par unka basera hai,zameen aur chattanon mein woh gaddhe khodkar rehte hain.   jhaadiyon ke beech se woh pukar lagate hain,bichhoo-booti ke paudhon mein satkar baithte hain.   moorkh aur neech ki in auladon kodesh se bhaga* diya jaata hai.   par ab woh apne gaanon mein bhi mujh par taane kaste hain,+mazak* ban gaya hoon main unke liye!+ 10  woh mujhse ghin karte hain, door-door rehte hain,+mere munh par thookne se bhi nahin darte.+ 11  parmeshvar ne hi mujhe nihattha kiya hai,* bebas kar diya hai,iseeliye woh mere saamne belgam ho gaye hain. 12  jhund banakar daayin taraf se mujh par chadh aate hain,mujhe bhaagne par majboor kar dete hain,fir mujhe khatm karne ke liye mere raaste mein morcha baandhte hain, 13  bhaagne ke saare raaste band kar dete hain,meri mushkilon ko aur badha dete hain,+unhein roknevala* koi nahin. 14  woh maano sheharpanah ki chaudi darar se ghus aate hain,museebaton ke saath-saath woh bhi mujh par toot padte hain. 15  khauf mujhe gher leta hai,mere maan-samman ko hava mein uda diya jaata hai.mere bachne ki saari ummeedein baadal ki tarah gaayab ho gayi hain. 16  zindagi haath se fisaltee jaa rahi hai,+dukh-bhare din+ haath dhokar peechhe pade hain. 17  raat ko meri haddiyon mein aisa dard uthta hai,+ jaise koi unhein chhed raha hoaur dard hai ki jaata nahin.+ 18  mere kapde ko kaskar khincha gaya hai,*gale par itna kas raha hai ki mera dam ghut raha hai. 19  parmeshvar ne mujhe keechad mein patak diya hai,main dhool aur raakh ho gaya hoon. 20  madad ke liye main tujhe pukarta hoon, par tu javab nahin deta.+jab main uthkar khada hota hoon to tu bas dekhta rehta hai. 21  tu mere khilaf ho gaya hai,+tujhe zara bhi reham nahin aata,mujhe maarne ke liye tu poora zor laga raha hai. 22  mujhe hava ke saath uda le jaata hai,fir toofan mein idhar-udhaar uchhaalta hai.* 23  main jaanta hoon tu mujhe maut ki or le jaa raha hai,us ghar ki taraf, jahaan ek din har kisi ko jaana hai. 24  magar jo insan andar se toot chuka ho,*jo museebat mein duhai de raha ho, use kaun maarega?+ 25  kya mainne dukhiyaron* ke liye aansoo nahin bahaye? kya gareebon ke liye mera man dukhi nahin hua?+ 26  mainne achhe ki aas lagayi par mere saath bura hua,ujale ka intazar kiya par andhera mila. 27  mere andar uthal-puthal machi hai, zara bhi chain nahin,mujh par dukh-bhare din aa pade hain. 28  main udasi ke andhere mein chal raha hoon+ aur savera nazar nahin aata, main mandli ke beech khada madad ke liye bheekh maangta hoon. 29  yah haal ho gaya hai ki ab main geedadon ka bhaaiaur shuturmurg ki betiyonn ka saathi ban gaya hoon.+ 30  meri chamdi kaali padkar utar gayi hai,+meri haddiyaan jal rahi hain.* 31  mere surmandal par sirf maatam ki dhun bajti hai,meri baansuri se sirf rone ka sur paayenge hai.

kai footnote

shaa., “maar-maarkar bhaga.”
shaa., “kahavat.”
shaa., “mere dhanush ki rassi dheeli kar di hai.”
ya shaayad, “unki madad karnevala.”
ya shaayad, “ghinauni beemari ne mera huliya bigaad diya hai.”
ya shaayad, “fir bhayanak aandhi mein mujhe ghula deta hai.”
shaa., “jo malbe ka dher hai.”
ya “mushkil daur se guzarnevalon.”
ya shaayad, “bukhar se jal rahi hain.”