ayyoob 31:1-40

  • ayyoob ne nirdosh hone ki pairvi ki (1-40)

    • “apni aankhon ke saath karar kiya” (1)

    • parmeshvar mujhe tarazoo mein taul (6)

    • main badchalan nahin (9-12)

    • mujhe paison se pyar nahin (24, 25)

    • main moortipooja karnevala nahin (26-28)

31  mainne apni aankhon ke saath karar kiya hai.+ fir main kisi kunvari ko galat nazar se kaise dekh sakta hoon?+   agar main aisa karoon, to swarg ke parmeshvar se mujhe kya milega?sarvashaktiman jo unche par virajman hai, mere hisse mein kya dega?   kya dushton par vipatti nahin aa padegi?kya bure kaam karnevalon ko museebatein nahin aa ghereingi?+   kya parmeshvar mere chaalchalan ko nahin dekhta?+mere ek-ek kadam ko nahin ginta?   kya mainne kabhi jhooth ka raasta apnaya hai?* kya dhokha dene ke liye mainne furti se kadam badhaye hain?+   parmeshvar chahe to mujhe khare tarazoo mein taul le,+woh jaan jaayega ki mujhmein zara bhi dosh nahin.+   agar mere paanv sahi raah se kabhi bhatke hon,+agar mera dil meri aankhon ke behkave mein aaya ho,+agar bure kaam karke mere haath dooshit huye hon,   to aisa ho ki main boun aur doosra khaaye,+main lagaun aur doosra use ukhaad feinke.*   agar padosi ki patni ke liye mera dil lalchaya ho+aur uske darvaze par mainne uska intazar kiya ho,+ 10  to meri beevi paraye mard ke ghar mein anaj peeseaur doosre aadmi uske saath soyen,+ 11  kyonki meri yah kartoot bahot hi sharmnak hogi,aisa gunah hoga jiske liye main nyayiyon se saza paane ke laayak thehroonga.+ 12  badchalni woh aag hai jo mujhe bhasm kar degi,+yahaan tak ki mera sabkuch jad se khatm kar degi.* 13  agar mere daas ya daasi ko mujhse koi shikayat* hoaur mainne use ansuna kar nyay na kiya ho, 14  to jab parmeshvar mujhse poochhega,* main kya javab doonga? jab woh mujhse hisab lega, main kya kahoonga?+ 15  jisne mujhe kokh mein racha, kya usne unhein bhi nahin racha?+ kya usi ne hamein paida hone se pehale* nahin banaya?+ 16  gareeb ke kuch maangne par agar mainne use na diya ho,+ya meri vajah se vidhva ki aankhon mein udasi chhaayi ho,+ 17  agar mainne apne hisse ka khaana akele hi khaa liya hoaur anathon ko na diya ho,+ 18  (ladakpan se hi main in anathon ke* liye pita jaisa raha,jab se mainne hosh sambhala, tab se* main vidhvaon ko sahara deta aaya hoon.) 19  agar mainne kisi ko bin kapdon ke thand se marte dekha ho,ya dekha ho ki gareeb ke paas odhne ke liye kuch nahin,+ 20  agar usne meri bhedon ke oon se khud ko na garmaya hoaur mujhe duayen na di hon,+ 21  agar shehar ke faatak+ par kisi anath ko meri zaroorat thi,*par mainne mutthi bhinchkar use dhamkaya ho,+ 22  to meri baanh kandhe se ukhaad jaaye,meri kohni* toot jaaye, 23  kyonki main parmeshvar se aanevali vipatti se darta hoon,uske gaurav ke aage main tik na sakoonga. 24  agar mainne sone par bharosa rakha ho,ya khare sone se kaha ho, ‘tu hi mujhe hifazat dega.’+ 25  agar mujhe apni dher saari cheezon ka,apni beshumar daulat+ ka ghamand ho,+ 26  agar main sooraj ko chamakta dekhkar,chaand ko apni chaandni mein nahata dekhkar,+ 27  man-hi-man lubhaya jaaunki unhein poojne ke liye honthon se apna haath choom loon,+ 28  to yah ek gunah hoga, kyonki main swarg ke sachche parmeshvar ka inkar kar raha houngaaur iske liye nyayiyon se saza paane ke laayak thehroonga. 29  kya main kabhi apne dushmanon ki barbadi par khush hua?+unhein museebat mein dekhkar kya mainne kabhi jashna manaya? 30  mainne kabhi unhein shaap nahin diya ki unhein maut aa jaaye,apne munh se kabhi aisa paap nahin kiya.+ 31  kya mere dere ke aadmi yah nahin kehte,‘aisa koi nahin jisne ayyoob ke yahaan bharpet* na khaaya ho.’+ 32  musafiron ke liye mere ghar ke darvaze hamesha khule the,kabhi kisi ajnabi* ko baahar raat nahin guzarni padi.+ 33  kya mainne auron ki tarah kabhi apne apradhon par parda daala?+apne gunahon ko apne kapdon ki jholi mein chhipane ki koshish ki, 34  is dar se ki sabko pata chal gaya to kya hoga?samaj mein kitni thoo-thoo hogi,ghar se nikaalna ya kisi se kuch kehna mushkil ho jaayega. 35  kaash! koi meri sune.+ main kasam khaata hoon,* meri ek-ek baat sach hai. kaash! sarvashaktiman mujhe javab de.+ mera muddai mere saare dosh kaagzat par likh de, 36  un kaagzat ko main apne kandhe par liye firoonga,apne sir par taaj banakar rakhoonga. 37  haakim ki tarah bejhijhak parmeshvar ke saamne jaaunga,use apne ek-ek kaam ka hisab doonga. 38  agar meri zameen shikayat kare ki mainne use churaya hai,agar hal se bani uski rekhayen aansoo bahayen, 39  agar mainne uski upaj muft mein udayi ho+ aur zameen ke asli maalikon ko aahein bharni padi hon,+ 40  to us zameen mein gehoon ke badle kaante ug aayen,jau ke badle badboodar jangli ghaas badh aaye.” isi ke saath ayyoob apni baat khatm karta hai.

kai footnote

ya shaayad, “jhoothe aadmiyon ke saath chala hoon?”
ya “mere vanshajon ko ukhaad diya jaaye.”
ya “ukhaad feinkegi.”
ya “mukadma.”
shaa., “uth khada hoga.”
shaa., “garbh mein.”
shaa., “uske.”
shaa., “maa ke garbh se.”
ya shaayad, “jab mainne dekha ki shehar ke faatak par mera saath denevale bahot hain.”
ya “jod se; baazoo ki haddi.”
shaa., “bharpet maans.”
ya “pardesi.”
ya “ye rahe mere hastakshar.”