ayyoob 33:1-33
33 hey ayyoob! tujhse binti hai ki dhyan se meri sun,meri ek-ek baat par kaan laga.
2 dekh! ab main chup nahin reh sakta,meri zaban bolne ke liye bechain hai.
3 meri baatein mere man ki seedhai zahir kareingi+aur jo mujhe maaloom hai woh main sach-sach bataunga.
4 parmeshvar ne apni pavitra shakti se mujhe racha hai,+sarvashaktiman ki foonk se mujhe jeevan mila hai.+
5 agar tu meri baaton ka javab de sakta hai, to zaroor dena,mere saamne apni daleelein pesh karna,apni pairvi karne ke liye taiyar ho jaa.
6 dekh, sachche parmeshvar ke saamne main tere jaisa hoon,main bhi mitti ka bana hoon.+
7 isliye tu mujhse mat dar,meri baatein itni bhaari na hongi ki tujhe kuchal dein.
8 toone apne baare mein jo kaha,woh sab mainne suna. toone kaha,
9 ‘main bilkul shuddh hoon, mainne koi apradh nahin kiya,+main bedag hoon, mujhmein koi dosh nahin.+
10 fir bhi parmeshvar bavajah mere khilaf ho gaya hai,mujhe apna dushman samajh raha hai.+
11 usne mere pair kaath mein kas diye hain,woh meri har harkat par nazar rakhta hai.’+
12 magar teri yah baat galat hai,main batata hoon ki sach kya hai:
parmeshvar mahan hai, adna insan se bahot mahan.+
13 tu kyon uski shikayat kar raha hai?+
kya isliye ki usne teri baaton ka javab nahin diya?+
14 parmeshvar ek baar kehta hai, doosri baar kehta hai,magar koi us par dhyan nahin deta.
15 woh sapne mein, haan, darshan mein apni baatein batata hai,+raat ke us pehar jab log gehri nind mein,apne bistar par soye hote hain,
16 tab woh apni baatein un par zahir karta hai,+unke andar apni hidaytein bithata hai,*
17 taaki insan bure kaam karna chhod de+aur ghamand se door rahe.+
18 is tarah parmeshvar use kabraa* mein jaane se bachata hai,+talvar* ko uski jaan nahin lene deta.
19 jab ek insan takaleefon se guzarta hai,bistar par pade-pade haddiyon ke dard se karahta hai, tab woh sabak seekhta hai.
20 uska ji roti se ghin karne lagta hai,lazeez khaane se bhi woh munh fer leta hai.+
21 uska shareer ghulta jaata hai,uski haddiyaan tak nazar aane lagti hain.
22 woh dheere-dheere kabraa* ki taraf badh raha hai,log uski jaan ke pyase hain.
23 agar use ek doot* mil jaaye,hazar mein se koi ek mil jaaye jo uski vakaalat kare,jo use bataye ki woh seedha-sachcha insan kaise bane,
24 to parmeshvar us par daya karega aur hukm dega,‘use kabraa*+ mein jaane se bacha,
uske liye mujhe firauti mil gayi hai.+
25 uski tvacha bachche ki tvacha se bhi komal* ho jaayegi,+uski javani ka damkham fir laut aayega.’+
26 woh parmeshvar se minnat karega+ jo usse khush hoga,woh jayjaykar karte huye parmeshvar ke saamne aayegaaur parmeshvar us adna insan ko fir se apni nazar mein nek karar dega.
27 woh insan sabse kahega,*‘mainne paap kiya hai,+ jo sahi hai use karne se main chook gaya hoon,par mujhe woh saza nahin di gayi jiske main laayak tha.*
28 parmeshvar ne mujhe kabraa* mein jaane se bacha liya,+main ujala dekh paaunga.’
29 parmeshvar insan ki khaatirdo baar kya, teen baar aisa karta hai,
30 taaki use kabraa* se vaapas laa sakeaur uske jeevan ki lau jalti rahe.+
31 hey ayyoob! meri baat par kaan laga,
khaamosh reh aur mujhe apni baat poori kar lene de.
32 agar tujhe kuch kehna hai to bata,
bejhijhak bol kyonki main tujhe nirdosh thehrana chahta hoon.
33 lekin agar tere paas kehne ko kuch nahin, to khaamosh reh aur meri sun,main tujhe buddhi ki baatein sikhaunga.”
kai footnote
^ shaa., “hidayton par muhar lagata hai.”
^ ya “bhaale.”
^ ya “gaddhe.”
^ ya “gaddhe.”
^ ya “swargdoot.”
^ ya “gaddhe.”
^ ya “swasth.”
^ shaa., “sabke saamne gaayega.”
^ ya shaayad, “aur isse mujhe faayda nahin hua.”
^ ya “gaddhe.”
^ ya “gaddhe.”