ayyoob 34:1-37
34 eleehoo ne yah bhi kaha,
2 “hey samajh rakhnevalo, mujh par dhyan do!hey gyaan rakhnevalo, meri baatein suno!
3 jaise jeebh se khaana chakha jaata hai,vaise hi kaanon se baaton ko parkha jaata hai.
4 to aao hum parakhkar dekhein ki kya sahi hai,milkar jaanein ki kya achha hai.
5 ayyoob ka kehna hai, ‘main nirdosh hoon,+fir bhi parmeshvar ne mujhe insaf nahin diya.+
6 kya main jhooth boloonga ki mujhe nyay milna chahiye?
mainne koi apradh nahin kiya, tab bhi mera zakhm nahin bhar raha.’+
7 aisa kaun hai jo ayyoob ki tarah,ninda ki baatein aise peeta hai maano paani pi raha ho?
8 woh burai karnevalon ke saath rehta hai,dushton ke saath mel-jol rakhta hai,+
9 isliye woh kehta hai, ‘parmeshvar ko khush karne ke liyeinsan laakh jatan kar le, par koi faayda nahin.’+
10 hey samajh rakhnevalo, meri suno!
aisa ho hi nahin sakta ki sachcha parmeshvar dusht kaam kare,+yah mumkin nahin ki sarvashaktiman bure kaam kare.+
11 parmeshvar har insan ko uske kaamon ka fal deta hai,+jo jaisi chaal chalta hai, use vaisa hi anjam bhugatne deta hai.
12 yakeenan parmeshvar dushtata nahin karta,+haan, sarvashaktiman anyay nahin karta.+
13 parmeshvar ko prithvi ka zimma kisne saunpa?poori duniya par adhikar kisne diya?
14 agar woh insanon par dhyan dekarunki jeevan-shakti aur saansein chheen le,+
15 to woh sab-ke-sab khatm ho jaayengeaur mitti mein mil jaayenge.+
16 isliye agar tummein samajh hai to kaan lagao,dhyan se suno ki main kya kehne jaa raha hoon,
17 jo nyay se nafrat karta hai, kya use raaj karne ka hak hai?ya jo adhikar rakhta aur sahi kaam karta hai, kya tum use dhikkaroge?
18 kya tum raja se kahoge, ‘tu kisi kaam ka nahin’?
izzatdar logon se kahoge, ‘tum dusht ho’?+
19 parmeshvar bade-bade haakimon ka paksh nahin leta,woh ameer-gareeb mein koi bhed nahin karta+kyonki woh sab usi ke haath ke kaam hain.+
20 aadhi raat ko achanak woh mar jaate hain,+buri tarah thartharakar dam tod dete hain,shaktishali log bhi mit jaate hain, lekin insan ke haathon nahin.+
21 parmeshvar insan ke chaalchalan ko dekhta rehta hai,+uske ek-ek kadam par uski nazar rehti hai.
22 aisi koi jagah nahin jahaan dusht usse chhip sake,andhkar ya ghana saaya bhi use nahin chhipa sakta.+
23 kisi insan ka nyay karne ke liyeparmeshvar ko pehale se koi taareekh nahin deni padti,
24 woh seedhe taakatvaron ki taakat tod daalta haiaur unki jagah doosron ko bitha deta hai,+use poochhtachh nahin karni padti
25 kyonki use sab pata hai ki woh kya karte hain, kya nahin.+woh raaton-raat unka takhta palat deta hai aur woh mit jaate hain.+
26 parmeshvar sabke saamneunhein unki dushtata ki saza deta hai.+
27 kyonki woh uski baat maanne se inkar karte hain,+uski dikhayi raah ko thukrate hain.+
28 gareeb ko itna majboor kar dete hain ki woh parmeshvar ke aage rota haiaur parmeshvar us laachar insan ka karahna sunta hai.+
29 jab parmeshvar chup rehta hai, to kaun use galat thehra sakta hai?
jab woh apna munh fer leta hai, to kaun use dekh sakta hai?
chahe raashtra ho ya insan, woh donon ke saath isi tarah pesh aata hai
30 taaki koi bhaktiheen, manmana raaj na kare+aur logon ke liye fande na bichhaye.
31 kya koi parmeshvar se kahega,‘mainne koi apradh nahin kiya, fir bhi mujhe saza di gayi.+
32 aisa kya hai jo main nahin dekh paa raha, mujhe bata,agar mainne galti ki hai, to main use nahin dohraunga.’
33 tujhe uska faisla manzoor nahin,to ab use teri marzee ke mutabik tera nuksan bharna padega?
tu bada jaankar hai, to tu hi bata kya kiya jaaye?
34 samajh rakhnevale log mujhse kaheinge,haan, har woh buddhiman aadmi jo meri sunta hai yahi kahega,
35 ‘ayyoob aisi baatein bol raha hai jiska use poora gyaan nahin,+uski baatein dikha rahi hain ki usmein androoni samajh nahin.’
36 isliye ayyoob ko* poori tarah parkha jaaye,woh dusht logon ki tarah baatein jo kar raha hai.
37 woh paap karne ke saath-saath vidroh kar raha hai,+taaliyaan peet-peetkar mazak uda raha haiaur sachche parmeshvar ke khilaf dheron baatein keh raha hai.”+
kai footnote
^ ya shaayad, “hey mere pita, ayyoob ko.”