ayyoob 35:1-16
35 fir eleehoo ne yah kaha,
2 “kya tujhe apne sahi hone par itna yakeen haiki tu kehta hai, ‘main parmeshvar se bhi zyada nek hoon.’+
3 tu kehta hai, ‘mere nirdosh bane rehne se tujhe* kya fark padta hai?
paap na karke bhala mujhe kya faayda hua?’+
4 main tujhe iska javab deta hoon,na sirf tujhe balki tere in saathiyon+ ko bhi.
5 zara oopar aasman ki taraf dekh,unche-unche baadlon par gaur kar.+
6 agar tu paap kare, to parmeshvar ka kya bigdega?+
agar tere apradh badh jaayen, to use kya nuksan hoga?+
7 agar tu achhe kaam kare, to uska kya bhala hoga?tere kaamon se use kya milega?+
8 teri dushtata se sirf logon ko nuksan pahunchegaaur teri achhai se sirf insanon ko faayda hoga.
9 zulm ke badhne par insan fariyad karta hai,taakatvaron ki taanashahi* se raahat paane ke liye woh gidgidata hai,+
10 magar koi yah nahin poochhta, ‘mera mahan rachnakar+ kahaan hai?parmeshvar kahaan hai, jo raat mein gaane ke liye prerit karta hai?’+
11 woh dharti ke jaanvaron+ se zyada hamein sikhata hai+aur aakash ke panchhiyon se zyada hamein buddhiman banata hai.
12 log usse fariyad karte hain,magar woh dushton ki nahin sunta+ kyonki woh ghamandi hain.+
13 woh unki khokhli pukar* par dhyan nahin deta,+sarvashaktiman unki binti nahin sunta.
14 teri to woh aur bhi nahin sunega kyonki teri shikayat hai ki woh tujhe andekha kar raha hai.+
tera mukadma uske saamne pesh kar diya gaya hai,ab tu uske faisle ka intazar kar.+
15 usne gusse mein aakaar tujhe saza nahin diaur toone bina soche-samjhe jo kaha, uska hisab nahin liya.+
16 isliye ayyoob bekar mein apna munh kholta haiaur bahot-si baatein karta hai, jiske baare mein use kuch nahin pata.”+