ayyoob 36:1-33

  • eleehoo ne parmeshvar ki mahanta ki taareef ki (1-33)

    • aagyakari falte-foolte hain; bhaktiheen thukraye jaate hain (11-13)

    • “sikhane mein uske jaisa koi nahin” (22)

    • ayyoob uski badai kare (24)

    • “parmeshvar ki mahanta hamari samajh se pare” (26)

    • baarish aur bijli uske kaaboo mein (27-33)

36  eleehoo ne yah bhi kaha,   “thoda aur sabraa rakho aur meri suno!parmeshvar ke paksh mein mujhe kuch aur bhi kehna hai.   mainne jo jaankari haasil ki hai, woh sab bataunga,khuleaam bataunga ki mera bananevala kitna nek hai.+   yakeen maano, meri baatein jhoothi nahin,yah sab mainne usse jaana hai jiske paas poora gyaan hai.+   haan, parmeshvar se, jo taakatvar hai+ aur kisi ko nahin thukrata,woh gehri samajh rakhnevala parmeshvar hai.   woh dushton ko zinda nahin chhodta,+magar sataye huon ko nyay dilata hai.+   woh nek logon se apni nazar nahin hatata,+unhein raajaon ki tarah* raajgaddi par bithata hai+aur unhein sada ke liye uncha karta hai.   lekin agar unhein bediyon mein jakad diya jaata haiaur dukh ki rassiyon se baandh diya jaata hai,   to woh unhein batata hai ki unka kasoor kya hai,ghamand mein aakaar unhonne kya apradh kiya hai. 10  sudhaarne ke liye woh unhein shiksha deta haiaur kehta hai ki bure raaste se palatkar laut aao.+ 11  agar woh uski baat maankar uski seva karein,to unke din khushhali mein beeteinge,unki zindagi ke saal sukh se kateinge.+ 12  lekin agar woh nahin maaneinge to talvar* se maare jaayenge,+agyanta ki haalaat mein mar jaayenge. 13  jo man se bhaktiheen hain, woh naarazgi paalte hain, parmeshvar unhein baandh deta hai, fir bhi woh usse madad nahin maagante. 14  woh neech aadmiyon*+ ke saath zindagi bitate hain*aur javani mein hi mar jaate hain.+ 15  magar parmeshvar* museebat ke maaron ko chhudata hai,sataye huon ko apni hidaytein deta hai. 16  woh tujhe sankat ke munh se khinchkar+ek khuli jagah le aayega, jahaan koi bandish na hogi,+teri mez par chikna-chikna bhojan sajakar tujhe dilasa dega.+ 17  tujhe yah bhi dekhkar chain milega ki dushton ko saza sunayi gayi,+unhein saza di gayi aur insaf kiya gaya. 18  magar dhyan rakh ki gusse mein tu unka kuch bura na kar baithe*+aur moti rishvat tujhe behka na de. 19  tu madad ke liye chahe kitni hi fariyad kar le,kitne hi haath-pair maar le, magar kya tu museebat se bach paayega?+ 20  tu raat ke liye mat taras,jab log apni-apni jagah se gaayab ho jaate hain. 21  khabardar reh ki tere kadam burai ki taraf na badhein,dukh sehne ke bajay tu burai na karne lage.+ 22  dekh! parmeshvar bada shaktishali hai,sikhane mein uske jaisa koi nahin. 23  bhala kaun use bata sakta hai ki kis raah par chalna hai?*+ya usse keh sakta hai, ‘toone jo kiya, galat kiya.’+ 24  uske kaamon ki badai karna mat bhool,+jinki taareef mein log geet gaate hain.+ 25  uske ye kaam sab logon ne dekhe hain,nashvar insan door se unhein niharta hai. 26  parmeshvar ki mahanta hamari samajh se pare hai,+uski umra ka koi hisab nahin lagaya jaa sakta.+ 27  woh paani ko bhaap banakar oopar utha le jaata hai,+kohra fir paani ki boondein ban jaata hai 28  aur baadal inhein neeche undelte hain,+insan ki bastiyon par jamkar paani barsate hain. 29  kya koi aasman mein faile baadlon ko samajh sakta hai?uske dere mein honevali gadgadahat ko jaan sakta hai?+ 30  dekh, woh kaise baadlon mein se bijli* chamkata hai+aur samundar ki gehraiyon ko dhakta hai. 31  inhin se woh logon ki zindagi kaayam rakhta hai,*unhein bahotayat mein khaana deta hai.+ 32  woh bijli ko apni hatheli se dhak leta hai,jahaan nishana saadhta hai, vahin use girata hai.+ 33  baadlon ka garjan uske aane ki khabar deta hai,yahaan tak ki maveshi bhi batate hain ki kaun* aa raha hai.

kai footnote

ya shaayad, “woh raajaon ko.”
ya “bhaale.”
shaa., “mandiron mein doosre aadmiyon ke saath sambhog karnevale aadmi.”
ya shaayad, “zindagi khatm kar dete hain.”
shaa., “woh.”
ya “tu taali baja-bajakar unka mazak na udaye.”
ya shaayad, “kaun uski raah mein meenmekh nikaal sakta hai; lekha le sakta hai?”
shaa., “ujiyala.”
ya shaayad, “logon ki pairvi karta hai.”
ya shaayad, “kya.”