ayyoob 37:1-24
37 is par mera dil kaanp uthaaur zoron se dhadakne laga.
2 parmeshvar ki aavaz ki gadgadahat suno!uske munh se nikaalnevale garjan par dhyan do!
3 aasman ke neeche chaaron taraf uski goonj sunayi deti hai,woh dharti ke kone-kone tak bijli chamkata hai.+
4 fir kadkadane ka bhayanak shor hota hai,woh zordar aavaz mein garajta hai.+jab uski aavaz sunayi deti hai,tab bijli lagatar chamakti rehti hai.
5 parmeshvar apna garjan+ bade laajavab dhang se sunata hai,aise bade-bade kaam karta hai jo hamari samajh se pare hain.+
6 woh barf se kehta hai, ‘dharti par gir!’+
baarish se kehta hai, ‘jamkar baras!’+
7 aisa karke woh insan ke saare kaam rok deta hai,*taaki adna insan uske adbhut kaamon ko jaan sake.
8 jangli jaanvar bhi apni gufaon mein bhaag jaate hain,dubakkar apni maandon mein baithe rehte hain.
9 ek taraf bavandar apne thikane se paayenge hai,+doosri taraf uttar ki havayen kadake ki thand laati hain.+
10 parmeshvar ki foonk se paani barf ban jaata hai,+door-door tak faila paani jam jaata hai.+
11 woh baadlon ko paani ki boondon se bharta hai,bijli ko baadlon mein lahrata hai.+
12 uske ishare par baadal idhar se udhaar jaate hain,dharti par unhein jo kaam diya jaata hai, use woh poora karte hain,+
13 chahe kisi ko saza deni* ho,+zameen ko sinchana ho ya kisi par kripa* karni ho,jaisa parmeshvar chahta hai vaisa ho jaata hai.+
14 hey ayyoob sun!parmeshvar ke laajavab kaamon par gaur kar!+
15 kya tu jaanta hai, woh baadlon ko kaise kaaboo mein rakhta hai?*kaise baadlon se bijli chamkata hai?
16 kya tujhe pata hai, aasman mein baadal kaise tairate hain?+
ye uske ajoobe hain jiske paas sab baaton ka poora gyaan hai.+
17 jab dakshin se hava chalti hai, tab sannata kyon chhaa jaata hai?bata, tere kapde garam kyon ho jaate hain?+
18 kya tu parmeshvar ki tarah aakash ko faila sakta hai?+use dhaatu se dhale huye aaine jitna mazboot bana sakta hai?
19 hum parmeshvar se kya kahein, tu hi bata?hamein to kuch nahin pata, hum kya batayen.
20 kya koi usse keh sakta hai ki main kuch batana chahta hoon?
ya kisi ko aisi koi khaas baat pata hai, jo use batayi jaani hai?+
21 aasman mein chahe kitna hi ujala ho,magar raushni* tab tak nahin dikhayi deti,jab tak hava baadlon ka parda na sarka de.
22 uttar se jab sunharee kirnein chhankar aati hain,tab parmeshvar ka vaibhav+ dekhkar sab vismay se bhar jaate hain.
23 sarvashaktiman ko samajhna hamare bas ke baahar hai.+woh bahot shaktishali hai,+woh kabhi anyay nahin karta,+na neki ke apne staron ko darkinar karta hai.+
24 isliye insan ko uska dar maanna chahiye,+
par jo khud ko buddhiman samajhta hai, usse woh khush nahin hota.”+
kai footnote
^ shaa., “har insan ke haath par muhar kar deta hai.”
^ shaa., “chhadi lagani.”
^ ya “atal pyar.”
^ ya “kaise aagya deta hai?”
^ yaani sooraj ki.