ayyoob 38:1-41

  • parmeshvar seekh deta hai ki insan kitna chhota hai (1-41)

    • ‘jab mainne dharti banayi tab tu kahaan tha?’ (4-6)

    • parmeshvar ke beton ne jayjaykar ki (7)

    • kudrat ke baare mein saval (8-32)

    • ‘aakashmandal mein thehraye niyam’ (33)

38  tab toofan mein se yahova ki aavaz sunayi di.+ usne ayyoob se kaha,   “yah kaun hai jo bina kuch jaane baat kar raha hai?meri salah ko tod-marodkar bata raha hai?+   hey insan, taiyar ho jaa!main tujhse saval karoonga aur tu mujhe bata.   jab mainne dharti ki ninv daali tab tu kahaan tha?+ agar tu is baare mein jaanta hai, to bata.   kya tu jaanta hai prithvi ki naap kisne tay ki?kisne naapne ki dori se iski lambai-chaudai naapi?   iske paaye kismein bithaye gaye?iske kone ka patthar kisne rakha?+   jab bhor ke taare+ khushi se jhoom uthe,parmeshvar ke sabhi beton*+ ne jayjaykar ki, tab tu kahaan tha?   kisne samundar ko rokne ke liye darvaze lagaye?+jab samundar garbh se nikala,   jab mainne use baadlon ke kapde pehnaye,use kaale ghane baadlon mein lapeta, 10  uski hadein thehrayin,usmein palle aur bede lagaye,+ 11  usse kaha, ‘tu bas yahaan tak aa sakta hai, isse aage nahin.teri unchi lehrein saahil se takrakar yahin ruk jaayengi,’+ tab tu kahaan tha? 12  kya toone kabhi* subah ko hukm diya, ‘apna ujala faila’?ya bhor se kaha, ‘yahaan se apni chhata bikher’?+ 13  kya subah ki kirnon ko toone dharti ke chhor tak bhejaki woh dusht logon ko khadedkar bhaga dein?+ 14  kirnon se dharti aise ubhrati hai, jaise muhar ke neeche chikni mitti,dharti ka roop aisa nazar aata hai, jaise kapde ki sajavat. 15  magar yahi subah dusht se uski raushni chheen leti hai,jin haathon se woh doosron par zulm dhaata hai, woh tod diye jaate hain. 16  kya tu samundar mein utaarkar uske sote tak gaya hai?kya tu bata sakta hai, gehre saagar mein kya-kuch paaya jaata hai?+ 17  kya tu jaan paaya hai, maut ka darvaza+ kahaan hai?kya toone ghor andhkar* ka darvaza dekha hai?+ 18  kya toone dharti ki har jagah dekhi aur samjhi hai?+ agar tu yah sab jaanta hai to bata. 19  ujale ka basera kidhar hai?+ andhera kahaan rehta hai? 20  kya tujhe unke ghar ka raasta maaloom haiki unhein ghar pahuncha sake? 21  kya tu in cheezon ke banne se pehale paida hua tha?kya tu itne saalon se vajood mein hai ki tujhe sab maaloom hai? 22  kya tu barf ke godamon mein gaya hai?+kya toone olon ke un bhandaron ko dekha hai,+ 23  jinhein mainne vipatti ke samay,yuddh aur ladai ke din ke liye bacha rakha hai?+ 24  kya tu bata sakta hai raushni* kaise failti hai?woh jagah kahaan hai jahaan se poorab ki hava dharti par chalti hai?+ 25  kisne tez baarish ke liye aasman mein nahar khodi hai?garajte baadlon ke liye barasne ka raasta taiyar kiya hai?+ 26  taaki sunsan, veeran jagahon meinjahaan koi insan nahin rehta, bauchhar ho,+ 27  ujdi, banjar zameen ki pyas bujheaur hari-hari ghaas ug aaye.+ 28  kya baarish ka koi pita hai?+os ki boondon ko paida karnevala kaun hai?+ 29  aasman ka paala kiske garbh se nikala hai?barf ne kiski kokh se janm liya hai,+ 30  jab paani ki satah ko jamaya gayaaur gehre saagar ko maano safed patthar se dhak diya gaya?+ 31  kya tu kima taaramandal* mein taaron ko baandhe rakh sakta hai?ya kesil taaramandal* ke bandhan khol sakta hai?+ 32  kya tu kisi taaramandal* ko apne mausam mein chamka sakta hai?kya tu ash taaramandal* aur uske beton ko raah dikha sakta hai? 33  kya tu aakashmandal mein thehraye niyamon ko jaanta hai?+kya tu un* niyamon ko prithvi par laagoo karva sakta hai? 34  kya tu zor se pukarkar baadlon se keh sakta haiki woh tujh par jamkar barsein?+ 35  bijli ko aadesh de sakta hai ki woh apna kaam kare? kya woh lautkar tujhse kahegi, ‘main aa gayi’? 36  baadlon* mein buddhi kisne daali?+aasman mein honevale ajoobon ko* samajh kisne di?+ 37  kaun itna buddhiman hai jo baadlon ko gin sakta hai?kaun aasman ki gagriyaan chhalka sakta hai+ 38  taaki dhool keechad ban jaaye,mitti ke londe aapas mein chipak jaayen? 39  kya tu sher ke liye shikar kar sakta hai,javan sheron ki bhookh mita sakta hai,+ 40  jab woh apne thikanon par ghaat mein baithte hain,chhipne ki jagahon par shikar ki taak mein rehte hain? 41  kauve ko kaun khilata hai?+jab uske bachche parmeshvar se khaana maangte hainaur bhookh ke maare fudkate hain, to kaun unhein khaana deta hai?

kai footnote

parmeshvar ke swargdooton ke liye istemal honevala ibrani muhavra.
shaa., “apne dinon mein.”
ya “maut ke saaye.”
ya shaayad, “bijli.”
shaayad vrish taaramandal mein taaron ka samooh, krittika.
shaayad mrigshira taaramandal.
shaa., “majjarot.” 2ra 23:5 mein isse milta-julta shabd bahuvachan mein istemal hua hai, jo raashi ke nakshatron ki taraf ishara karta hai.
shaayad saptarishi taaramandal. saat taaron ka mandal.
ya shaayad, “uske.”
ya shaayad, “insan.”
ya shaayad, “dimag ko.”