ayyoob 39:1-30

  • jaanvaron ki srishti dikhati hai ki insan kitna kam jaanta hai (1-30)

    • pahadi bakri aur hirni (1-4)

    • jangli gadha (5-8)

    • jangli saand (9-12)

    • shuturmurg (13-18)

    • ghoda (19-25)

    • baaz aur ukab (26-30)

39  kya tu jaanta hai pahadi bakri kab janm deti hai?+ kya toone kabhi hirni ko bachcha jante dekha hai?+   kya tu gin sakta hai, woh kitne maheene gaabhin rehti hain? ya theek kis vakt bachcha deti hain?   bachcha dete vakt woh jhuk jaati hainaur bachcha ho jaane par unhein prasav-peeda se raahat milti hai.   unke bachche khule maidanon mein badhte aur tagde hote jaate hain,fir woh chale jaate hain aur lautkar nahin aate.   kisne jangli gadhe* ko khula ghoomne diya?+kisne uski rassiyon ko khol diya?   mainne banjar ilake ko uska ghar banaya,namakvali zameen uske basere ke liye rakhi.   shehar ki chahal-pehal se use koi matlab nahin,haanknevale ki aavaz ko woh ansuna kar deta hai.   zara-si ghaas ki talash mein,woh pahadon ko chhaan maarta hai.   bata, kya jangli saand tere liye kaam karega?+ kya woh tere tabele* mein raat bitayega? 10  kya tu use rassi se baandhkar jutai karva sakta hai?kya woh ghaati mein khet jotne* ke liye tere peechhe-peechhe aayega? 11  kya tu uski zabardast taakat par bharosa rakh sakta hai?usse apne bhaari kaam karva sakta hai? 12  kya woh tere liye fasal dhoyega?use uthakar khalihan tak laayega? 13  maada shuturmurg khushi ke maare pankh fadfadati hai,magar kya uske pankh aur daine, laglag pakshi+ ki tarah hote hain? 14  woh ande dekar unhein zameen mein hi rehne deti haiaur vahin dhool mein unhein seti hai. 15  woh bhool jaati hai ki koi andon ko kuchal sakta hai,ya jangli jaanvar unhein raund sakta hai. 16  woh apne bachchon ke saath kathorta karti hai, maano woh uske hain hi nahin.+use koi chinta nahin ki unhein paalne-posne ki uski mehnat bekar jaayegi. 17  parmeshvar ne use buddhi nahin di,na hi usmein samajh daali. 18  magar jab woh apne pankh fadfadakar daudti hai,tab ghode aur uske savaar par hansti hai. 19  kya ghode mein taakat toone bhari hai?+ uski gardan par lahrata ayal kya toone diya hai? 20  kya use tiddi ki tarah chhalaang lagana toone sikhaya hai? uski fufkar se kampkampi chhoot jaati hai.+ 21  ghaati mein woh taap maarta hai aur zor lagakar uchhaalta hai,+yuddh ke maidan ki taraf* sarpat daud padta hai.+ 22  khauf ko saamne dekh woh hansta hai,kisi se nahin darta,+ talvar dekhkar peechhe nahin hatta. 23  jab tarkash usse lagkar khadkhadata hai,jab savaar ke bhaale-barchhi chamchamate hain, 24  to woh umang se bhar jaata hai, hava se baatein karne lagta hai,*narsinga foonke jaane par use rokna mushkil hai,* 25  uski aavaz sunkar woh zor se hinhinata hai, door se hi use yuddh ki khushboo aa jaati hai,senapatiyon ka chillana aur yuddh ki lalkar sunayi padti hai.+ 26  kya baaz ko aasman mein udne ki samajh toone di hai,jo woh dakshin ki taraf apne pankh failata hai? 27  ya kya tere hukm par ukab udan bharta hai,+apna ghonsla unchi jagahon par banata hai,+ 28  khadi chattan par raat guzarta haiaur chattan ki choti par apna gadh banata hai? 29  vahaan se woh khaane ki talash mein,+door-door tak apni nazar daudata hai. 30  uske chooze khoon peete hain,jahaan laash hoti hai vahin woh pahunch jaata hai.”+

kai footnote

ya “gorkhar.”
ya “charni.”
ya “heinga khinchne.”
shaa., “hathiyaron ka saamna karne.”
shaa., “zameen ko nigal jaata hai.”
ya shaayad, “use yakeen nahin hota.”