ayyoob 41:1-34
-
parmeshvar ne adbhut livyatan ke baare mein bataya (1-34)
41 kya tu machhli pakadnevale kaante se livyatan*+ ko pakad sakta hai?ya uski jeebh ko rassi se kas sakta hai?
2 kya tu uski naak mein nakel* daal sakta hai?ya uske jabdon ko kaante se chhed sakta hai?
3 kya woh tujhse reham ki bheekh maangega?tujhse meethi-meethi baatein karega?
4 umra-bhar teri gulami karne ke liyetujhse karar karega?
5 kya tu uske saath aise khelega, jaise chidiya se khelta hai?ya use baandhkar rakhega ki woh teri bachchiyon ka man bahlaye?
6 kya use pakadnevale machhuvare uska sauda kareinge?
use kaatkar vyapariyon mein baanteinge?
7 kya tu machhli maarnevale bhaalon se uski khaal chhalni kar sakta hai?+ya uske sir ke aar-paar bhaala ghusa sakta hai?
8 zara use haath lagakar to dekh!aisi muthbhed hogi ki zindagi-bhar yaad rahegiaur dobara tu yah galti nahin karega.
9 use pakadne ki aas rakhna bekar hai,
use dekhte hi tere haath-pair fool jaayenge.
10 jab kisi mein itni himmat nahin ki use chhed sake,
to mere khilaf khade hone ki jurrat kaun karega?+
11 kaun hai jisne mujhe kuch diya hai, jo mujhe lautana pade?+
aakash ke neeche jo kuch hai, sab mera hai!+
12 main batata hoon uske haath-pairon ki banavat kaisi hai,usmein kitni taakat hai, use kis khoobsoorti se tarasha gaya hai.
13 kaun uski khaal nikaal sakta hai?
uske mazboot jabdon ke paas fatak sakta hai?
14 kaun unhein* kholne ka saahas kar sakta hai?
uske daant dekhkar koi bhi kaanp uthe.
15 uski peeth aisi nazar aati hai,maano dhaalein kataar mein ek-doosre se sati hon.*
16 woh is kadar aapas mein judi hoti hainki unke beech hava tak nahin jaa sakti.
17 unka jod itna mazboot hota haiki unhein alag nahin kiya jaa sakta.
18 uski naak se tez fuhar raushni ki tarah damakti hai,uski aankhein, subah ki kirnon jaisi chamakti hain.
19 uske munh se bijli kaundhti hai,chingariyaan chhootti hain.
20 uske nathnon se aisa dhuaan paayenge hai,jaise aag ki bhatthi mein ghaas jal rahi ho.
21 uski foonk se maano koyle sulag uthte hain,uske munh se aag ki laptein uthti hain.
22 uski gardan mein zabardast taakat hai,dar uske saamne se bhaag khada hota hai.
23 uske pet ki partein lohe jitni sakht hoti hain,unhein hilana naamumkin hai.
24 uska dil patthar ki tarah mazboot hota hai,haan, chakki ke nichle paat jitna mazboot.
25 jab woh harkat mein aata hai, to achhe-achhe ghabra jaate hain,dar ke maare sudh-budh kho baithte hain.
26 us par talvar, bhaale,barchhi ya teer ka koi asar nahin hota.+
27 woh lohe ko bhoosaaur tambe ko gali hui lakdi samajhta hai.
28 woh teer se darkar bhaagta nahingofan ke pattharon ka vaar, us par ghaas-foos ki bauchhar hai.
29 woh dande ko ghaas-foos samajhta hai,barchhi se lalkare jaane par hansta hai.
30 uska pet theekre jaisa paina hota hai,keechad par woh aise nishan chhod jaata hai,maano daanvne ki patiya chalayi gayi ho.+
31 woh gehre saagar mein aisi halchal machata hai, maano haandi ubaal rahi ho,samundar mein aisa ufan laata hai, maano haandi mein khushboodar tel ufan raha ho.
32 woh paani mein apne peechhe ek chamkeeli lakeer chhod jaata hai,
aisa lagta hai ki saagar ka safed baal nikaal aaya ho.
33 uske jaisa poori dharti par koi nahin,use is tarah banaya gaya hai ki woh kisi se nahin darta.
34 woh bade-bade jaanvaron ko ghoorta hai,
jangli jaanvaron ka woh baadshah hai.”
kai footnote
^ shaayad magarmachh
^ jal-beint se bani rassi.
^ shaa., “munh ke darvaze.”
^ ya shaayad, “use apni dhaalon ki kataar par ghamand hai.”