ayyoob 5:1-27
5 zara aavaz lagakar dekh! kya koi hai jo tujhe javab de?
madad ke liye tu kis swargdoot* ko pukarega?
2 man ki kudhan, moorkh ki jaan le leti hai,irshya, naasamajh insan ko maar daalti hai.
3 mainne dekha hai, moorkh falta-foolta hai,lekin achanak uske ghar par shaap aa padta hai.
4 uske beton ko koi suraksha nahin milti,shehar ke faatak par+ unhein nyayi kuchalte hain,unka bachanevala koi nahin.
5 bhookhe log us moorkh ki fasal khaa jaate hain,kanteeli jhaadiyon ke beech se bhi uski fasal nikaal lete hain,woh uska aur uske bachchon ka sabkuch hadap lete hain.
6 ab aisa to nahin ki museebatein mitti se paida hui hon!aur dukh ke ankur zameen se fute hon!
7 aag hai to chingari uthegi hi,insan paida hua hai to uski zindagi mein dukh aayenge hi.
8 main teri jagah hota to parmeshvar se fariyad karta,apna maamla uske aage pesh karta.
9 uske kaam itne mahan hain ki hamari samajh se pare hain,uske laajavab kaamon ki koi ginti nahin.
10 dharti par woh paani barsata hai,kheton ko sinchta hai.
11 woh deen-dukhiyon ko oopar uthata hai,udas manvalon ki hifazat* karta hai.
12 woh dhoort ki chaalein naakam kar deta hai,jisse unke haath ke kaam safal nahin hote.
13 woh buddhimanon ko unhin ki chaalaaki mein fansa deta hai,+tedhe logon ki saazish dhari-ki-dhari reh jaati hai.
14 din ke ujale mein andhkar unhein aa gherta hai,bhari dopahri mein woh aise tatolte hain maano raat ho.
15 woh unki jeebh ki dhaar se logon ko bachata hai,woh gareebon ko taakatvaron ke changul se chhudata hai.
16 isliye deen-dukhiyon ke liye ummeed hai,magar burai karnevalon ke munh band kar diye jaayenge.
17 sukhi hai woh jise parmeshvar daant lagata hai!isliye sarvashaktiman tujhe sudhaarne ke liye jo seekh de, use mat thukra.
18 kyonki jab woh chot deta hai to patti bhi baandhata hai,jab woh maarta hai to apne haathon se changa bhi karta hai.
19 woh ek-ke-baad-ek chhe vipattiyon se tujhe bachayega,saatvin to tujhe chhoo bhi nahin paayegi.
20 akaal ke vakt woh tujhe bhookhon marne nahin dega,maidane-jang mein tujhe talvar ki bheint chadhne nahin dega.
21 jab shabdon ke kode barseinge,+ to teri hifazat ki jaayegi,tabahi aane par tu na ghabrayega.
22 vinash aur akaal par tu hansega,jangli jaanvaron se na darega.
23 maidan ke patthar tujhe thokar nahin khilayenge,*maidan ke jangli jaanvar bhi tere saath shaanti se raheinge.
24 tujhe yakeen hoga ki tera tamboo mehfooz hai,apne charagah ko dekhne par tujhe koi kami nazar nahin aayegi.
25 tera ghar bachchon se aabad rahega,teri aanevali peedhiyaan maidan ki ghaas ki tarah foole-faleingi.
26 jaise paki baalein khalihan mein laayi jaane tak lahlahati hain,vaise hi kabraa mein jaane tak tujhmein damkham hoga.
27 hamne ye baatein parkhi hain aur inhein sach paaya hai,
isliye inhein sun aur maan.”
kai footnote
^ shaa., “pavitra jan.”
^ ya “ka uddhaar.”
^ ya “tere saath karar (ya samjhauta) kareinge.”